vaqt mushkil kat raha hai aur to sab theek hai dil zaraa naashaad sa hai aur to sab theek hai aankh ke baadal barsate ja rahe hain raat din gaav men sookha pada hai aur to sab theek hai vo jo do paude laga kar tum ga.e the shahar ko un men ik murjha gaya hai aur to sab theek hai zakham tha to dard se bhi jee bahl jaata tha kuchh ab to vo bhi bhar gaya hai aur to sab theek hai koshishein karte hain shab bhar neend par aati nahin kaam se jee bhaagta hai aur to sab theek hai rooh to pahle hi tere saath rukhsat ho gaii jism aadha rah gaya hai aur to sab theek hai tere bin kya theek hai aur kya nahin ye tu samajh maine yuñ hi kah diya hai aur to sab theek hai
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
More from Varun Anand
marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke nikle hain mire zakham talabgaar namak ke aaya koi sailaab kahaanii men achaanak aur ghul ga.e paani men vo kirdaar namak ke dono hi kinaaron pe thii beemaaron ki majlis is paar the meethe ke to us paar namak ke us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari phir us ne hi pahnaaye ha men haar namak ke kahti thii ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti theen zaKHmon ki dawaayein sunte hain ki ab hain vahaañ bazaar namak ke
Varun Anand
9 likes
kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e
Varun Anand
11 likes
ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham
Varun Anand
13 likes
kaash ki main bhi hota patthar gar tha un ko pyaara patthar logon ki to baat karen kya teraa dil bhi niklaa patthar ham dono men banti kaise ek tha sheesha dooja patthar sheesha to kamzor badaa tha phir bhi kaise toota patthar sab ke hisse heere motimere hisse aaya patthar paaras tha vo tum ne jaana sab ne jis ko samjha patthar kal tak phool the jin haathon men un haathon men aaj tha patthar
Varun Anand
21 likes
KHud apne KHoon men pahle nahaaya jaata hai vaqaar KHud nahin banta banaya jaata hai kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den to haal dil ka shajar ko sunaaya jaata hai hamaari pyaas ko zanjeer baandhi jaati hai tumhaare vaaste dariyaa bahaaya jaata hai nawaazta hai vo jab bhi azeezon ko apne to sab se baa'd men ham ko bulaayaa jaata hai humeen talash ke dete hain raasta sab ko humeen ko baa'd men raasta dikhaaya jaata hai
Varun Anand
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Varun Anand.
Similar Moods
More moods that pair well with Varun Anand's ghazal.







