ghazalKuch Alfaaz

ye jan-gudaz safar dam-e-khvab ho na kahin ravan hai jis men safina sarab ho na kahin yuun hi utarta na ja sard gahre paani men chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin khada jo jhankta hai kab se garm kamron men gali men thithura hua mahtab ho na kahin hava ye kaun si chalti hai ar-par mire khula hua kisi khvahish ka baab ho na kahin dilon pe kyuun nahin kartin asar tiri baten zamin to thiik hai paani kharab ho na kahin ghhubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit garaj raha hai jo sar men sahab ho na kahin sajae phirta hai vo jis ko coat par 'shahin' mire hi khuun ka mahakta gulab ho na kahin ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin yun hi utarta na ja sard gahre pani mein chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin khada jo jhankta hai kab se garm kamron mein gali mein thithura hua mahtab ho na kahin hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere khula hua kisi khwahish ka bab ho na kahin dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten zamin to thik hai pani kharab ho na kahin ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin' mere hi khun ka mahakta gulab ho na kahin

Related Ghazal

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai

Tehzeeb Hafi

182 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Shaheen.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Shaheen's ghazal.