ghazalKuch Alfaaz

ye kaun khvab men chhu kar chala gaya mire lab pukarta huun to dete nahin sada mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na gae magar qarib se guzre hain bar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-nasib mire kaan be-nava mire lab ye shakhsana-e-vahm-o-guman tha shayad kuja vo samra-e-baghh-e-talab kuja mire lab ye kaun khwab mein chhu kar chala gaya mere lab pukarta hun to dete nahin sada mere lab ye aur baat kisi ke labon talak na gae magar qarib se guzre hain bar-ha mere lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai wo jis ke nam se hote na the juda mere lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-nasib mere kan be-nawa mere lab ye shakhsana-e-wahm-o-guman tha shayad kuja wo samra-e-bagh-e-talab kuja mere lab

Related Ghazal

jab se usne kheecha hai khidki ka parda ek taraf uskaa kamra ek taraf hai baaki duniya ek taraf maine ab tak jitne bhi logon men KHud ko baanta hai bachpan se rakhta aaya hooñ teraa hissa ek taraf ek taraf mujhe jal dii hai uske dil men ghar karne ki ek taraf vo kar deta hai rafta rafta ek taraf yuñ to aaj bhi teraa dukh dil dahla deta hai lekin tujh se juda hone ke baad ka pehla hafta ek taraf uski aankhoñ ne mujhse meri khuddaari cheeni varna paanv ki thokar se kar deta tha main duniya ek taraf meri marzi thii main zarre chunta ya lahren chunta usne sehra ek taraf rakha aur dariyaa ek taraf

Tehzeeb Hafi

122 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

More from Ahmad Mushtaq

ye kaun KHvaab men choo kar chala gaya mire lab pukaarta hooñ to dete nahin sadaa mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na ga.e magar qareeb se guzre hain baar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-naseeb mire kaan be-nava mire lab ye shaakhsaana-e-wahm-o-gumaan tha shaayad kuja vo samraa-e-baagh-e-talb kuja mire lab

Ahmad Mushtaq

1 likes

haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko

Ahmad Mushtaq

0 likes

khoon-e-dil se kisht-e-gham ko seenchta rehta hooñ main khaali kaaghaz par lakeeren kheenchta rehta hooñ main aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaq haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rehta hooñ main tu dayaar-e-husn hai unchi rahe teri faseel main hooñ darwaaza mohabbat ka khula rehta hooñ main shaam tak kheeche li.e firte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadaamat par pada rehta hooñ main haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawaa rehta hooñ main ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin bhool jaane par bhi soorat-aashna rehta hooñ main

Ahmad Mushtaq

0 likes

kis shay pe yahaañ vaqt ka saaya nahin hota ik khwaab-e-mohabbat hai ki boodha nahin hota vo vaqt bhi aata hai jab aankhoñ men hamaari phirti hain vo shaklein jinhen dekha nahin hota baarish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal dekho to kahii abr ka tukda nahin hota ghir jaata hai dil dard ki har band gali men chaaho ki nikal jaayen to rastaa nahin hota yaadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamaana milta hai vo paighaam ki pahuncha nahin hota tanhaaii men karne to hai ik baat kisi se lekin vo kisi vaqt akela nahin hota kya us se gilaa keejie barbaadi-e-dil ka ham se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota

Ahmad Mushtaq

0 likes

ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie

Ahmad Mushtaq

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.