ghazalKuch Alfaaz

ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur niir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gavahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur anjam ko pahunchunga main anjam se pahle khud meri kahani bhi sunaega koi aur tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghhayyur jab shaam dhale laut ke aaega koi aur ummid-e-sahar bhi to virasat men hai shamil shayad ki diya ab ke jalaega koi aur kab bar-e-tabassum mire honton se uthega ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur is baar huun dushman ki rasai se bahut duur is baar magar zakhm lagaega koi aur shamil pas-e-parda bhi hain is khel men kuchh log bolega koi hont hilaega koi aur ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur anjam ko pahunchunga main anjam se pahle khud meri kahani bhi sunaega koi aur tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghayyur jab sham dhale laut ke aaega koi aur ummid-e-sahar bhi to wirasat mein hai shamil shayad ki diya ab ke jalaega koi aur kab bar-e-tabassum mere honton se uthega ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur is bar hun dushman ki rasai se bahut dur is bar magar zakhm lagaega koi aur shamil pas-e-parda bhi hain is khel mein kuchh log bolega koi hont hilaega koi aur

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Aanis Moin

vo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi ajeeb shaKHs hai apna bhi hai paraaya bhi ye intizaar sehar ka tha ya tumhaara tha diya jalaya bhi main ne diya bujhaaya bhi main chahta hooñ thehar jaa.e chashm-e-dariya men larzata aks tumhaara bhi meraa saaya bhi bahut maheen tha parda larzatee aankhoñ ka mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chhupaaya bhi bayaaz bhar bhi gaii aur phir bhi saada hai tumhaare naam ko likkha bhi aur mitaaya bhi

Aanis Moin

5 likes

vo kuchh gahri soch men aise doob gaya hai baithe baithe nadi kinaare doob gaya hai aaj ki raat na jaane kitnii lambi hogii aaj ka suraj shaam se pahle doob gaya hai vo jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha paani paani kahte kahte doob gaya hai mere apne andar ek bhanwar tha jis men meraa sab kuchh saath hi mere doob gaya hai shor to yuñ utha tha jaise ik toofaan ho sannaate men jaane kaise doob gaya hai aakhiri KHvaahish poori kar ke jeena kaisa aanas bhi saahil tak aa ke doob gaya hai

Aanis Moin

0 likes

baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai dariyaa ke us paar bhi gahra sannaata hai shor tha men to shaayad sadiyaan beet chuki hain ab tak lekin sehama sehama sannaata hai kis se boluun ye to ik sehra hai jahaan par main hooñ ya phir goonga bahra sannaata hai jaise ik toofaan se pahle ki khaamoshi aaj mirii bastii men aisa sannaata hai nayi sehar ki chaap na jaane kab ubharegi chaaron jaanib raat ka gahra sannaata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahar men kitna sannaata hai mahv-e-khwaab hain saari dekhne waali aañkhen jaagne vaala bas ik andha sannaata hai darna hai to an-jaani awaaz se darna ye to aanis dekha-bhala sannaata hai

Aanis Moin

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Aanis Moin.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Aanis Moin's ghazal.