ghazalKuch Alfaaz

ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen yunhi kab talak khudaya ghham-e-zindagi nibahen kahin zulmaton men ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar kahin jagmaga uthi hain mire naqsh-e-pa se rahen tire khanuman-kharabon ka chaman koi na sahra ye jahan bhi baith jaaen vahin in ki bargahen kabhi jada-e-talab se jo phira huun dil-shikasta tiri aarzu ne hans kar vahin daal di hain banhen mire ahd men nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen yunhi kab talak khudaya gham-e-zindagi nibahen kahin zulmaton mein ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar kahin jagmaga uthi hain mere naqsh-e-pa se rahen tere khanuman-kharabon ka chaman koi na sahra ye jahan bhi baith jaen wahin in ki bargahen kabhi jada-e-talab se jo phira hun dil-shikasta teri aarzu ne hans kar wahin dal di hain banhen mere ahd mein nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen

Related Ghazal

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha

Himanshi babra KATIB

43 likes

ham jee rahe hain koi bahaana ki.e baghairus ke baghair us ki tamannaa ki.e baghair ambaar us ka parda-e-hurmat banaa miyaan deewaar tak nahin giri parda ki.e baghair yaaraan vo jo hai miraa maseeha-e-jaan-o-dil be-had aziz hai mujhe achha ki.e baghair main bistar-e-khayaal pe leta hooñ us ke paas subh-e-azl se koi taqaza ki.e baghair us ka hai jo bhi kuchh hai miraa aur main magar vo mujh ko chahiye koi sauda ki.e baghair ye zindagi jo hai use maana bhi chahiye vaa'da ha men qubool hai ifa ki.e baghair ai qaatilon ke shahar bas itni hi arz hai main hooñ na qatl koi tamasha ki.e baghair murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai tum chhodio na shahar ko sehra ki.e baghair un aangaanon men kitna sukoon o suroor tha aaraish-e-nazar tiri parwa ki.e baghair yaaraan khusa ye roz o shab-e-dil ki ab ha men sab kuchh hai khush-gawaar gawara ki.e baghair giryaa-kunaan ki fard men apna nahin hai naam ham giryaa-kun azal ke hain giryaa ki.e baghair aaKHir hain kaun log jo bakshe hi jaayenge taarikh ke haraam se tauba ki.e baghair vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafaa ne jaun shiaa banaa diya ha men shiaa ki.e baghair ab tum kabhi na aaoge ya'ni kabhi kabhi ruksat karo mujhe koi vaa'da ki.e baghair

Jaun Elia

36 likes

usne do chaar kar diya mujh...ko zehni beemaar kar diya mujh...ko kyuuñ nahin dastaras men tu mere kyuuñ talabgaar kar diya mujh...ko kabhi patthar kabhi KHuda usne chaaha jo yaar kar diya mujh...ko usse koi sawaal mat karna usne inkaar kar diya mujh...ko ek insaan hi to maanga tha us..ko bhi maar kar diya mujh...ko

Himanshi babra KATIB

51 likes

More from Majrooh Sultanpuri

jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

1 likes

yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain

Majrooh Sultanpuri

4 likes

ham hain mata-e-koocha-o-bazaar ki tarah uthatii hai har nigaah khareedaar ki tarah is koo-e-tishnagi men bahut hai ki ek jaam haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarah vo to kahii hai aur magar dil ke aas-paas phirti hai koi shay nigah-e-yaar ki tarah seedhi hai raah-e-shauq pe yoonhi kahii kahii KHam ho gaii hai gesoo-e-dildaar ki tarah be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaan har naqsh-e-paa buland hai deewaar ki tarah ab ja ke kuchh khula hunar-e-naakhun-e-junoon zakham-e-jigar hue lab-o-rukhsaar ki tarah majrooh likh rahe hain vo ahl-e-wafa ka naam ham bhi khade hue hain gunahgaar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

0 likes

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

Majrooh Sultanpuri

1 likes

koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamaara na raha shaam tanhaaii ki hai aayegi manzil kaise jo mujhe raah dikha de vahii taara na raha ai nazaaro na haso mil na sakunga tum se tum mire ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataaun main kahaan yoonhi chala jaata hooñ jo mujhe phir se bula le vo ishaara na raha

Majrooh Sultanpuri

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.