ghazalKuch Alfaaz

yuun saja chand ki jhalka tire andaz ka rang yuun faza mahki ki badla mire hamraz ka rang saya-e-chashm men hairan rukh-e-raushan ka jamal surkhi-e-lab men pareshan tiri avaz ka rang be-piye huun ki agar lutf karo akhir-e-shab shisha-e-mai men dhale subh ke aghhaz ka rang chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lai badli to maddham hua har saaz ka rang ik sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera harf-e-sada ko inayat kare eajaz ka rang yun saja chand ki jhalka tere andaz ka rang yun faza mahki ki badla mere hamraaz ka rang saya-e-chashm mein hairan rukh-e-raushan ka jamal surkhi-e-lab mein pareshan teri aawaz ka rang be-piye hun ki agar lutf karo aakhir-e-shab shisha-e-mai mein dhale subh ke aaghaz ka rang chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lai badli to maddham hua har saz ka rang ek sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera harf-e-sada ko inayat kare eajaz ka rang

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

tum sarvat ko padhti ho kitnii achchhii ladki ho baat nahin sunti ho kyun ghazlein bhi to sunti ho kya rishta hai shaamon se suraj ki kya lagti ho log nahin darte rab se tum logon se darti ho main to jeeta hooñ tum men tum kyun mujh pe marti ho aadam aur sudhar jaa.e tum bhi had hi karti ho kis ne jeans kari mamnoo'a pahno achchhii lagti ho

Ali Zaryoun

48 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

dil men ab yuñ tere bhule huye gham aate hain jaise bichhde huye kaabe men sanam aate hain ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan meri manzil ki taraf tere qadam aate hain raqs-e-may tez karo saaz ki lay tez karo soo-e-maikhana safeeraan-e-haram aate hain kuchh humeen ko nahin ehsaan uthaane ka dimaag vo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain

Faiz Ahmad Faiz

5 likes

qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain ham kuchh imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi koo-e-sitam men sab ko KHafaa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen feeka hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye sau baar un ki khoo ka gilaa kar chuke hain ham

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.