zamaana is li.e lahjaa badal raha hai dost hamaara vaqt zaraa peeche chal raha dost main muskuraa raha hooñ teri rukhsati pe agar to mujh men kaun hai jo haath mal raha hai dost na mil saki mire hisse ki raushni bhi mujhe mira charaaghh kahii aur jal raha hai dost paleed kar ke hamaare vujood ki miTTi hamaare naam ka suraj nikal raha hai dost bataayen kya tujhe ab khasta-haali-e-dil raaz shikasta KHvaab ke tukdon pe pal raha hai dost
Related Ghazal
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna
Anand Raj Singh
54 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Ismail Raaz
roo-b-roo tere bahut der bithaaya gaya main vajd men aaya nahin vajd men laaya gaya main silsila khatm na hogaa ye dil-aazaari ka is se pahle bhi kaii baar manaaya gaya main yuñ laga sab ne gawaahi dii ki tu meraa hai jab tire naam se bastii men sataaya gaya main jab jab asraar mirii zaat ke khulne se rahe chhed kar zikr tira vajd men laaya gaya main mujh se raaste men thehrne ki aziyyat poochho thokren maar ke raaste se hataaya gaya main
Ismail Raaz
9 likes
thokron men asar nahin aaya dil abhii raah par nahin aaya KHud men dekha jo jhaank kar tire baad mujh ko main bhi nazar nahin aaya muddaton se sukoot cheekhta hai lekin ab tak asar nahin aaya chaand kis tamkanat se niklega tu agar baam par nahin aaya kab se ghar chhod kar gaya hua hooñ kab se main laut kar nahin aaya
Ismail Raaz
10 likes
padi hai raat koi gham-shanaas bhi nahin hai sharaab khaane men aadha gilaas bhi nahin hai main dil ko lekar kaha nikluun itni raat ga.e makaan uskaa kahii aaspaas bhi nahin hai yahaan to ladkiyaan achha sa ghar bhi chahti hai hamaare paas to achha libaas bhi nahin hai
Ismail Raaz
19 likes
ab is bhram men har ek raat kaatni hai mujhe ke aane waali tere saath kaatni hain mujhe tujhe dilaana hai ehsaas apne is dukh ka tu kuchh to bol teri baat kaatni hai mujhe mujhe tuloo-e-sehr ki tasalliya mat de abhii to ye shab-e-julmaat kaatni hain mujhe
Ismail Raaz
24 likes
zindagi tune sulook aise ki.e saath mere vo to achha hai ki baandhe hue hain haath mere roz main lautaa hooñ KHud men nadaamat ke saath roz mujh...ko kahii fenk aate hain jazbaat mere mujh...ko suniye nazar-andaaz na kijeye sahab mere haalaat se achchhe hai khayaalaat mere
Ismail Raaz
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ismail Raaz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ismail Raaz's ghazal.







