zaraa mohtaath hona chahiye tha baghair ashkon ke rona chahiye tha ab un ko yaad kar ke ro rahe hain bichhadte vaqt rona chahiye tha mirii vaada-khilaafi par vo chup hai use naaraz hona chahiye tha chala aata yaqeenan KHvaab men vo ha men kal raat sona chahiye tha sui dhaaga mohabbat ne diya tha to kuchh seena pirona chahiye tha hamaara haal tum bhi poochte ho tumhein maaloom hona chahiye tha vafaa majboor tum ko kar rahi thii to phir majboor hona chahiye tha
Related Ghazal
dil ko teri KHvaahish pahli baar hui is sehra men baarish pahli baar hui maangne waale heere moti maangte hain ashkon ki basaaoge pahli baar hui doobne waale ik ik kar ke aa jaayen dariyaa men gunjaish pahli baar hui
Abrar Kashif
46 likes
patthar pahle KHud ko patthar karta hai uske baad hi kuchh kaarigar karta hai ek zaraa si kashtii ne lalkaara hai ab dekhen kya dhong samandar karta hai kaan laga kar mausam ki baatein suniye qudrat ka sab haal ujaagar karta hai uski baaton men ras kaise paida ho baat bahut hi soch-samajhkar karta hai jis..ko dekho daanish ka deewaana hai kya vo koi jadoo-mantra karta hai
Madan Mohan Danish
27 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
vo ghazal waalon ka usloob samjhte honge chaand kahte hain kise khoob samjhte honge itni milti hai mirii ghazalon se soorat teri log tujh ko mira mahboob samjhte honge main samajhta tha mohabbat ki zabaan KHushboo hai phool se log use khoob samjhte honge dekh kar phool ke aoraq pe shabnam kuchh log tira ashkon bhara maktub samjhte honge bhool kar apna zamaana ye zamaane waale aaj ke pyaar ko maayub samjhte honge
Bashir Badr
21 likes
More from Fahmi Badayuni
seharaaon ne maanga paani daryaon par barsa paani buni yaaden kamzor nahin theen deewaron se aaya paani aaKHir kis kis neem ki jad men kab tak daalen meetha paani chat ka haal bataa deta hai parnaale se girta paani fikr-o-masaail yaad-e-jaanaan garm hawaaein thanda paani pyaase bacche khel rahe hain machhlii machhlii kitna paani
Fahmi Badayuni
11 likes
chaarasaazon ke bas ki baat nahin main davaaon ke bas ki baat nahin chahta hoon main deemakon se najaat jo kitaabon ke bas ki baat nahin teri KHushboo ko qaid men rakhna itrdaanon ke bas ki baat nahin khatm kar de azaab kabron ka taajmahalon ke bas ki baat nahin aansuon men jo jhilmilahat hai vo sitaaron ke bas ki baat nahin aisa lagta hai ab teraa deedaar sirf aankhoñ ke bas ki baat nahin
Fahmi Badayuni
30 likes
parinde sah men sah men ud rahe hain barabar men farishte ud rahe hain khushi se kab ye tinke ud rahe hain hawa ke dar ke maare ud rahe hain kahii koi kamaan taane hue hai kabootar aadhe-tirche ud rahe hain tumhaara khat hawa men ud raha hai ta'aqub men lifaafe ud rahe hain bahut kahti rahi aandhi se chidiya ki pahli baar bacche ud rahe hain shajar ke sabz patton ki hawa se fazaa men khushk patte ud rahe hain
Fahmi Badayuni
13 likes
chalti saanson ko jaam karne laga vo nazar se kalaam karne laga raat farhaad KHvaab men aaya aur farsi salaam karne laga phir main zahreeli kaar-khaano men zinda rahne ka kaam karne laga saaf inkaar kar nahin paaya vo mira ehtiraam karne laga leila ghar men silaai karne lagii qais dilli men kaam karne laga hijr ke maal se dil-e-naadaañ vasl ka intizaam karne laga
Fahmi Badayuni
16 likes
vo kahii tha kahii dikhaai diya main jahaan tha wahin dikhaai diya KHvaab men ik haseen dikhaai diya vo bhi parda-nasheen dikhaai diya jab talak tu nahin dikhaai diya ghar kahii ka kahii dikhaai diya roz chehre ne aaine badle jo nahin tha nahin dikhaai diya bad-maza kyun hain aasmaañ waale main zameen tha zameen dikhaai diya us ko le kar chali gaii gaadi phir ha men kuchh nahin dikhaai diya
Fahmi Badayuni
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fahmi Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Fahmi Badayuni's ghazal.







