zarron men kunmunati hui kaenat huun jo muntazir hai jismon ki main vo hayat huun donon ko pyasa maar raha hai koi yazid ye zindagi husain hai aur main furat huun neza zamin pe gaad ke ghode se kuud ja par main zamin pe abla-pa khali haat huun kaisa falak huun jis pe samundar savar hai suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat huun andhe kuen men maar ke jo phenk aae the un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat huun aati hui train ke jo aage rakh gai us maan se ye na kahna ba-qaid-e-hayat huun bazar ka naqib samajh kar mujhe na chhed khamosh rahne de main tire ghar ki baat huun zarron mein kunmunati hui kaenat hun jo muntazir hai jismon ki main wo hayat hun donon ko pyasa mar raha hai koi yazid ye zindagi husain hai aur main furaat hun neza zamin pe gad ke ghode se kud ja par main zamin pe aabla-pa khali hat hun kaisa falak hun jis pe samundar sawar hai suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hun andhe kuen mein mar ke jo phenk aae the un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat hun aati hui train ke jo aage rakh gai us man se ye na kahna ba-qaid-e-hayat hun bazar ka naqib samajh kar mujhe na chhed khamosh rahne de main tere ghar ki baat hun
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai
Bashir Badr
2 likes
agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe
Bashir Badr
9 likes
KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise
Bashir Badr
1 likes
chamak rahi hai paron men udaan ki KHushboo bula rahi hai bahut aasmaan ki KHushboo bhatk rahi hai puraani dulaaiyaan odhe haveliyon men mire khaandaan ki KHushboo suna ke koi kahaanii ha men sulaati thii duaon jaisi bade paan-daan ki KHushboo daba tha phool koi mez-posh ke neeche garaj rahi thii bahut pechvaan ki KHushboo ajab vaqaar tha sukhe sunhare baalon men udaasiyon ki chamak zard lawn ki KHushboo vo itr-daan sa lahjaa mire buzurgon ka rachi-basi hui urdu zabaan ki KHushboo ghazal ki shaakh pe ik phool khilne vaala hai badan se aane lagii zaafaraan ki KHushboo imaarton ki bulan dii pe koi mausam kya kahaan se aa gaii kacche makaan ki KHushboo gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahaadiyon se utarti azaan ki KHushboo
Bashir Badr
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







