ghazalKuch Alfaaz

zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki diid ka rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi us raat der tak vo raha mahv-e-guftugu masruf main bhi kam tha faraghhat use bhi thi mujh se bichhad ke shahr men ghul-mil gaya vo shakhs halanki shahr-bhar se adavat use bhi thi vo mujh se badh ke zabt ka aadi tha ji gaya varna har ek saans qayamat use bhi thi sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyan shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi tanha hua safar men to mujh pe khula ye bhed saae se pyaar dhuup se nafrat use bhi thi 'mohsin' main us se kah na saka yuun bhi haal dil darpesh ek taaza musibat use bhi thi zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki did ka rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi us raat der tak wo raha mahw-e-guftugu masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi mujh se bichhad ke shahr mein ghul-mil gaya wo shakhs haalanki shahr-bhar se adawat use bhi thi wo mujh se badh ke zabt ka aadi tha ji gaya warna har ek sans qayamat use bhi thi sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi tanha hua safar mein to mujh pe khula ye bhed sae se pyar dhup se nafrat use bhi thi 'mohsin' main us se kah na saka yun bhi haal dil darpesh ek taza musibat use bhi thi

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

More from Mohsin Naqvi

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

hawa-e-hijr men jo kuchh tha ab ke KHaak hua ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun badan se rooh ka is darja ishtiraak hua yahii ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke li.e ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua usii ke qurb ne taqseem kar diya aaKHir vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua shadeed vaar na dushman diler tha mohsin main apni be-khabri se magar halaak hua

Mohsin Naqvi

0 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

tire badan se jo choo kar idhar bhi aata hai misaal-e-rang vo jhonka nazar bhi aata hai tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya hawa ki raah men ik aisa ghar bhi aata hai vo mujh ko toot ke chahega chhod jaayega mujhe khabar thii use ye hunar bhi aata hai ujaad ban men utarta hai ek jugnoo bhi hawa ke saath koi hum-safar bhi aata hai vafaa ki kaun si manzil pe us ne chhodaa tha ki vo to yaad ha men bhool kar bhi aata hai jahaan lahu ke samundar ki had thaharti hai wahin jazeera-e-laal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki paarsaai ka to zer-e-bahs maqaam-e-bashar bhi aata hai abhii sinaan ko sambhaale rahen adoo mere ki un safoon men kahii meraa sar bhi aata hai k abhii k abhii mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-subh ki soorat utar bhi aata hai isee li.e main kisi shab na so sakaa mohsin vo mahtaab k abhii baam par bhi aata hai

Mohsin Naqvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.