ghazalKuch Alfaaz

zindagi tujh pe ab ilzaam koi kya rakhe apna ehsaas hi aisa hai jo tanhaa rakhe kin shikaston ke shab-o-roz se guzra hogaa vo musavvir jo har ik naqsh adhoora rakhe khushk miTTi hi ne jab paanv jamaane na diye bahte dariyaa se phir ummeed koi kya rakhe aa gham-e-dost usii mod pe ho jaaun juda jo mujhe meraa hi rahne de na teraa rakhe aarzooon ke bahut KHvaab to dekho ho waseem jaane kis haal men be-dard zamaana rakhe

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Waseem Barelvi

vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai

Waseem Barelvi

6 likes

andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai

Waseem Barelvi

10 likes

apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de

Waseem Barelvi

7 likes

k itnaa dushwaar tha duniya ye hunar aanaa bhi tujh se hi fasla rakhna tujhe apn aanaa bhi kaisi aadaab-e-numaish ne lagaaiin shartein phool hona hi nahin phool nazar aanaa bhi dil ki bigdi hui aadat se ye ummeed na thii bhool jaayega ye ik din tira yaad aanaa bhi jaane kab shahar ke rishton ka badal jaa.e mizaaj itnaa aasaan to nahin laut ke ghar aanaa bhi aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin teraa hona bhi nahin aur tira kahl aanaa bhi KHud ko pahchaan ke dekhe to zaraa ye dariyaa bhool jaayega samundar ki taraf j aanaa bhi jaanne waalon ki is bheed se kya hogaa waseem is men ye dekhiye koi mujhe pahch aanaa bhi

Waseem Barelvi

7 likes

rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e

Waseem Barelvi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.