nazmKuch Alfaaz

ik tarafaa mohabbat jaan-e-jigar ai kyoon tu mere li.e mat KHvaab saja jannat kii shehzaa dii hai tu main galiyon ka aawaara dil dene kii baat na kar yuñ mere li.e fariyaad na kar mere peeche-peeche mat aa vaqt apna barbaad na kar tu mahlon men rahtii main sadkon pe guzaara karta hooñ tu arbon kii maalik hai main sabzi becha karta hooñ pachtaayegi preet badha mat kahtaa hooñ phir dobara jannat kii shehzaa dii hai tu main galiyon ka aawaara maara maara firta hooñ main phir bhi mujh pe marti hai raat ko mere dard men khoob uth uth ke roya karti hai main mohtaaz nivaale ka tu chaand se khela karti hai mujhse mohabbat karne kii tu phir bhi socha karti hai ishq mohabbat kya jaanoon main to hooñ paagal bechaara jannat kii shehzaa dii hai tu main galiyon ka aawaara tu gadde par soti hai aur main sota hooñ sadkon par tu rahtii hai mahlon men aur main rehta futpaathon par raat ko chain se sote hain sab main mazdoori karta hooñ roz nivaale kii khaatir main jaan pe khela karta hooñ tujhko kahaan pe rakkhoonga naa ghar meraa naa chaubara jannat kii shehzaa dii hai tu main galiyon ka aawaara

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii

Tehzeeb Hafi

236 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

More from Prashant Kumar

sada-e-muflis main dene ke laayeq nahin kuchh kisi ko so apne badan kii qaba de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ mirii zindagi kii dua karne waalon tumhein aakhiri main dua de raha hooñ mubarak ho sabko khushi ka thikaana ye mehfil khushi kii tumhein de raha hooñ mire paas khaane ko kuchh bhi nahin hai sabhi ke li.e ye jawa de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ are mat karo koii ehsaan mujh par utaarunga kaise ye ehsaan logon mujhe umr-bhar gaaliyaan doge phir sab hamesha rahoge pareshaan logon zaroorat nahin kuchh bhi dene kii mujh...ko main tumko tumhaari vafaa de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ mujhe koii KHush rahne kii mat dua do ye gham hi mirii zindagi ban gaya hai mujhe dard-e-dil hi sabhi log dena yahii to mirii bandagi ban gaya hai mirii zindagi aag ka ek gola hai aise men tujhko hawa de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ kabhi to milegi mujhe mirii manzil yahii soch kar ke chala ja raha hooñ mujhe kuchh na lena na dena kisi se zamaane men sabse main tanhaa raha hooñ main dushman hooñ sabka magar dekh phir bhi sabhi ke li.e dil men ja de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ koii ye na kehna kabhi unse jaakar ki zaKHmon ko kaise main ab sii raha hooñ agar haal meraa koii tumse pooche to kehna yahii pee ke main jee raha hooñ ab isse ziyaada nahin dene ko kuchh tumhein apna rang-e-nasha de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ ye dil kii sadaa hai ise dil se sunna kahiin bhi na phir ye dobaara milegi mirii zindagi muflisi men kati hai isi men kategi isi men kategi mire haal par koii rona nahin main bas aise hi KHud ko saza de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ mire paas jaañ ke siva kuchh nahin hai jise de raha hooñ yahii de raha hooñ main sab jaanta hooñ mujhe mat sikhaao main jo de raha hooñ sahi de raha hooñ ameeron kii auqaat ke jo hai baahar faqeeron ko main vo ata de raha hooñ mujhe bhi to dete hue sharm aati hai pariyon kii raani ko kya de raha hooñ

Prashant Kumar

1 likes

chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe kyun hai itni jawaan kyun hai itni haseen naam kisne rakha teraa zohra-jabeen tang sii top pahne ab aanaa nahin chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe raah men dekhta hai palat ke tujhe mujh...ko dar hai kahiin le na jaa.e tujhe raah men dekhta hai palat ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe chaand men daagh hai phir bhi maghroor hai lag raha apni aadat se majboor hai tu jidhar ja raha chaand udhar aa raha ye tujhe dekh kar kitna sharma raha aad men dekhta hai simat ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe khoobsurat bahut lag rahi aaj tu aaj se ban gaii mirii mumtaaz jab kaisi kaarigari hai KHuda kii qasam zulf se paanv tak zahar hai tu sanam main tiri jaañ hooñ tu mirii jaañ hai KHvaab men dekhta hooñ lipt ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe apni soorat dikha de KHuda ke li.e mujh...ko dil men basaa le KHuda ke li.e ab to ghar se nikal aa KHuda ke li.e mujh...ko apna banaa le KHuda ke li.e umr bhar ke li.e baahon men thaam le o mirii jaan-e-man dil se tu kaam le aisi baarish men dekhooñ rapat ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe maal zevar chhupe teri poshaak men hain farishte KHuda sab tiri taak men jaañ aise men ghar se nikalna nahin koii le jaayega tujhko aflaak men kuchh na kuchh baat to tujh men hai jaan-e-man yuñ hi thodii lutate hain sab jaan-e-tan teri baahon men dekhooñ lipt ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe tu akelaa dukele na j aanaa kahiin tujhko samjha raha hooñ mirii hum-nasheen main kahiin rah na paaooñga tere bina tu mujhe chhod kar yaar j aanaa nahin teri aankhoñ se mausam badlne laga teri zulfon men jaadu sa chalne laga tere kaandhe se pallu sarkne laga jisne dekha nazaara ye jalne laga neend men dekhta hooñ uchat ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe jaañ tire naam kii josh hi josh men KHud ko rakkhoonga ab teri aaghosh men aate jaate sabhi chhedte hain tujhe taktaki baandh ke dekhte hain tujhe haan bahut der tak dekhte hain tujhe chaand taare tujhe taadte hain sabhi faaltu men hi munh phaadhte hain sabhi sabse le jaaunga main jhapat ke tujhe chaand takta hai raaton ko chhat se tujhe

Prashant Kumar

1 likes

khwaab-nagar ka deewaana hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ KHvaab men tujhko baal banaate chhat par dekha karta hooñ teri gali ke bachchon men phir main bhi khela karta hooñ chhat par aane kii main tujhse roz guzarish karta hooñ haal-e-dil bhi kaaghaz par likh likh ke fenka karta hooñ aaj bhi teri galiyon men main raas rachaane aaya hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ lat bikhraakar ek taraf tu mujh...ko dekha karti hai aankh dikhaaya karti hai sab ghar hain bataaya karti hai jal dii se phir kaaghaz tu ghoonghat men chhupaaya karti hai mere li.e aur ghusse men tu chaat dikhaaya karti hai ghussa achha lagta hai ghussa dilwane aaya hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ khwaab-nagar kii raajkumaari dil men mujh...ko rahne de ishq ka dariyaa dil ke saath nigaahon se bhi bahne de teraa dil jo bhi kahtaa hai rok na us..ko kehne de teraa gham meraa bhi gham hai saath men milke sahne de KHvaabon hi KHvaabon men teraa dil dhadkaane aaya hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ teri nigaahen sur kii devi chhed den pal men saaz abhii ye chahe to badal ke rakh den shaair ka andaaz abhii aankhoñ hi aankhoñ men chhu paa.e tune dil ke raaz abhii ishq mohabbat ka jal dii se kar de tu aaghaaz abhii main bhi itni door se tujh par jaan lutaane aaya hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ baat to sun khaatoon mirii ye dil hai meraa prem-nagar main to abhii aa jaaun rahne kah de tu ik baar agar tu ho mere saath agar to chaand pe bhi kar loonga ghar tere bina lagta hai adhoora ishq mohabbat ka ye safar is duniya men main tujhse hi byah rachaane aaya hooñ khwaab-nagar ka deewaana hooñ KHvaab churaane aaya hooñ tujhse mohabbat karta hooñ bas ye batlaane aaya hooñ

Prashant Kumar

4 likes

' Aankhein tumhaarii ' Bahut khoobsuurat hain aankhein tumhaarii

Prashant Kumar

0 likes

magar tujhko iski khabar hi nahin hai tu sabse juda hai tu sabse haseen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai zamaane men tujhsa na koii kahiin hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai tujhe dekh kar hi nikalta hai suraj tujhe dekhkar roz dhalta hai suraj tu ik ba-wazoo apsara hai mirii jaañ KHuda bhi to tujhpe fida hai mirii jaañ tujhi se mohabbat karega yaqeen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai tujhe kaam sab chhod kar dekhte hain bina baat ke phool bhi fenkte hain ki mumtaaz bhi tere jaisi nahin hai yahaañ ek tu hi jeet hai bahut khoobsurat hai zohra-jabeen hai magar tujhko iski khabar hi nahin hai

Prashant Kumar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Prashant Kumar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Prashant Kumar's nazm.