phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai KHvaab saare toot kar kahii sifar jaane ko hain ghonsla wahm-o-gumaan ka phir se ujad jaane ko hai zakham vo purane phir nikhar aane ko hain saara jahaan maano gahri neend men so gaya hai ye man meraa phir un haseen yaadon men kho gaya hai qalam jaise phir koi nazm likhne ki zid pe adi hai shareef dil ki ye aadat aaj bhi bahut burii hai aankhoñ se neend phir gum si gaii hai seene men dhadkan jaise tham si gaii hai ye chanchal hawaaen ye gum sum ghataaen mujhe KHud se kahii door le ja rahi hain vo sunsaan sadken vo veeraan galiyaan mujhe phir se apne paas bula rahi hain harek parwaane ko jaise bas shama ki talash hai lehron ke man men bhi koi adhuri si pyaas hai sitaare ab chamak chamak kar thak se ga.e hain patte bhi poori tarah shabnam se lipt ga.e hain vaqt jaise ret ki tarah fisal raha hai chaand teji se falak ki or badh raha hai ye sukoon-e-andhera phir se utar jaane ko hai ye khoobsurat nazaare phir se bikhar jaane ko hain phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai
Related Nazm
meri dastaan vo din bhi kitne ajeeb the jab ham dono qareeb the shabab-e-hizr na tu na main sab apne-apne naseeb the tu hi meri duniya thii main hi teraa jahaan tha mujhe tere hone ka gurur tha tujhe mere hone par gumaan tha tere saath bitaaye the woh din vo raate kitnii haseen thius kamre men thii jannat saari ek bistar par hi zameen thii teri god men sar rakhkar main gazle apni sunaata tha tu sunkar shayari so jaati thii main teri khushbu men kho jaata tha meri kaamyaabi ki khabren sun mujhse zyaada jhooma karti thii vo bewajah baaton-baaton men meraa maatha chooma karti thii meri har pareshaani men woh meri hamdard thii,हमसाया thius se badhkar kuchh na tha bas vahii ek sarmaaya thii mulaqaat na ho to kahti thii main kaise aaj so paaoongi mujhe gale laga kar kahti thii main tumse juda na ho paaoongi ik aaina thii woh meraa usse kuchh bhi nahin chhupa tha har cheez jaanti thii meri meraa sab kuchh use pata tha yaar vahii chehre hain apne vahii ehsaas dil men hai phir kyuuñ dooriyaan badh si gaii kyuuñ rishte aaj mushkil men hai kaii sawaal hain dil men ek-ek karke sab sunogi kya main shuroo karta hooñ shuroo se ab sabka javaab dogi kya kyuuñ lautaa dii angu thii mujhe kyuuñ badal ga.e sab iraade tere kya hua teri sab kasmon ka ab kahaan ga.e sab vaade tere tere in mehn dii waale haathon men kisi or ka ab naam hain ik haadsa hain mere li.e ye maana tere li.e inaam hain apne hijr ki vo pahli raat tab khayal to meraa aaya hogaa aayi hogii sab yaaden puraani meri baaton ne bhi rulaaya hogaa jaise mujh men koi cheekh raha hain meri rooh-rooh tak so rahi hain main apni daastaan likh raha hooñ aur meri shayari ro rahi hain bas yahii iltijaa hain KHuda se koi itnaa bhi pyaara na bane kaii sooraten ho saamne nazar ke par koi hamaara na bane
"Nadeem khan' Kaavish"
16 likes
tark-e-ishq suno premika oe anamikaa main tumhaare li.e nahin likhta likhte honge jo likhte honge main nahin likhta main likhta hooñ kyonki main banaa hooñ likhne ke li.e main bikta hooñ kyonki main banaa hooñ bikne ke li.e main likhta hooñ kyonki meraa man karta hai tum meri geet men kaise ho tum jaano meri ghazal men kaise ho tum jaano tum meri kavita. men kaise ho tum jaano tum meri nazm men kaise ho tum jaano main kyuuñ jaanoon jab main tumhein nahin likhta aur main kyuuñ likhoon tumhaare li.e kya kiya hai tumne hamaare li.e vahii samajhdari bharii baatein jo tum hamesha se karti aayi ho jab bhi milti samajhdari bharii baatein karti aur main paagalon kii tarah tumhaari haan men haan milta main akshar hi chup rehta tha kyonki kabhi to javaab nahin hote the aur kabhi main sankoch jaata magar tum karti thii kyuuñ nahin karogi tez thii naakarogi hi vaise main tumhein bataa doon ki mujhe chhod jaane ka faisla bhi tumhaara tha pata nahin kisne kah diya ki muhabbat paagalon ko pasand karti hai mujhe to kabhi nahin kiya KHair itnaa badaa faisla tumne kiya itnaa sahi faisla tumne kiya to ye tay raha ki tum samajhdaar thii aur main paagal to paagal likha nahin karte tum samajhdaar ho tez ho tum likhna mere li.e main padhoonga kyonki main paagal hooñ gar be-zubaan nahin likhoonga nahin magar padhoonga aur zaroor padhoonga
Rakesh Mahadiuree
22 likes
meraa sansaar mere man ka sukoon bhi tum ho tum hi meri manzil uskaa junoon bhi tum ho meraa din bhi tum ho meri raat bhi tum ho meri neend bhi tum ho mere jazbaat bhi tum ho meraa har lamha tum ho mere haalaat bhi tum ho meraa jeevan bhi tum ho iski masti bhi tum ho hooñ agar main majhdhaar to phir iski kashtii bhi tum ho agar hooñ main shareer to iski asthi bhi tum ho aur hooñ agar main aatma to iski mukti bhi tum ho meraa vairaagya bhi tum ho meri aasakti bhi tum ho meraa eeshwar bhi tum ho meri bhakti bhi tum ho main agar dil hooñ to iski dhadkan bhi tum ho meri har baat tum ho meri tardpan bhi tum ho meri swatantrata bhi tum ho meraa bandhan bhi tum ho meraa sukh bhi tum ho meri muskaan bhi tum ho meraa dukh bhi tum ho meraa sammaan bhi tum ho meraa bal bhi tum ho meraa swaabhimaaan bhi tum ho meri praarthana bhi tum ho meraa abhimaan bhi tum ho meraa har kaam bhi tum ho thak jaaun to aaraam bhi tum ho bheje hain tujhko chaand ke haathon vo saare paigaam bhi tum ho saanson men bas teraa naam hai meraa to anjaam bhi tum ho meraa to aadhaar hi tum ho meri to sarkaar hi tum ho meri to faqeeri bhi tum ho khazane ka ambaar bhi tum ho mere labon ka maun bhi tum ho mere dil ki pukaar bhi tum ho meri to kutiya bhi tum ho meraa raaj-darbaar bhi tum ho meraa har vikaar bhi tum ho meraa to shrungaar bhi tum ho meri jeet-haar bhi tum ho meraa gussa-pyaar bhi tum ho meraa to ghar baar hi tum ho jeene ke aasaar hi tum ho kaise main bataau tujhe tumhaare bin main kuchh bhi nahin meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho meraa to sansaar hi tum ho
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya
Faiz Ahmad Faiz
160 likes
tumhaara phone aaya hai ajab si oob shaamil ho gayi hai roz jeene men palon ko din men din ko kaat kar jeena maheene men mahj maayusiyaan jagti hain ab kaisi bhi aahat par hazaaron uljhnon ke ghonsle latke hain chaukhat par achaanak sab ki sab ye chuppiyaan ik saath pighli hain ummeedein sab simat kar haath ban jaane ko machli hain mere kamre ke sannaate ne angadaai si to dii hai meri KHaamoshiyon ne ek naghma gungunaaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai sati ka chaitra dik jaa.e jaise roop-baari men ki jaise chhath ke mauke par jagah mil jaa.e gaa dii men meri awaaz se jaage tumhaare baam-o-dar jaise ye namumkin si hasrat hai khyaali hai magar jaise ba dii naakaamiyon ke baad himmat ki lehar jaise ba dii bechainiyon ke baad raahat ka pahar jaise ba dii gumnaamiyon ke baad shohrat ki mehr jaise subah aur shaam ko saadhe hue ik dopahar jaise bade unwaan ko baandhe hue chhoti bahar jaise nayi dulhan ke sharmate hue shaam-o-sehar jaise hatheli par rachi mehn dii achaanak muskuraai hai meri aankhoñ men aañsu ka sitaara jagmagaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai
Kumar Vishwas
81 likes
More from Rehaan
Afsos 2
Rehaan
0 likes
suno main ghar waapas aa raha hooñ achha tumhein ek khabar suna raha hooñ suno main ghar waapas aa raha hooñ poore nau dinon kii chuttiyaan mili hain magar chuttiyaan to mahaj ek bahaana hai asl men to tumse milnaa chahta hooñ tumhein roo-b-roo dekhna chahta hooñ ik dafa phir baahon men bharna chahta hooñ asl men main thoda-sa thak gaya hooñ tumhaari god men kuchh der sona chahta hooñ safar kii dhoop men bahut jal chuka hooñ zaraa zulfon kii panaah men rahna chahta hooñ anjaan raahon pe badaa bhatak liya hooñ tumhaare dil ke makaan men theharna chahta hooñ bas nau hi din mile hain mujhe mariyam har pal tumhaare saath guzaarna chahta hooñ aur chahta hooñ ki meraa intizaar karna theek vaise hi un haseen shaamon kii tarah usii safed salwaar aur kurtee men sanwarna aur gale men lehraata vahii surkh dupatta apni chhat kii munder par tum khadi rahna guzarunga jab main gali se tumhaari to rokna na KHud ko tum muskuraane se magar is baar fer loonga nazarein main tumse tum bhi rok lena KHud ko qadam badhaane se hai qasam ham dono ko us rishte kii jiska vujood koii naam koii haisiyat nahin maine khat men u uupar likkha hai jo kuchh bhi un baaton kii mariyam ab koii ahmiyat nahin socho phir tumhein vo baatein kyun bataa raha hooñ suno main ghar waapas aa raha hooñ
Rehaan
4 likes
bas phir se sadak par daud chali hai bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main kam ho rahi har ek meel kii doori pe apne dil kii dhadkanein badha raha hooñ main din guzra hai aaj phir waisa hi thakaan bhara par KHud ko abhii bahut amlaan pa raha haan main chaaya hai aakaash men andhera ghana amaavas ka khayaalon men tere roop-sa chaand basaa raha hooñ main maankar saakshi peechhe chhootte har ek gaav ko ateet kii s abhii ranjishon se kasak mita raha hooñ main raat kuchh kat chuki hai kuchh dhalni ab bhi baaki hai savera jald hone kii ummeed laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar ko aa raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main badh rahi har ek meel kii doori pe tere ki.e vo s abhii vaayde bhula raha hooñ main raat tere KHvaabon se neend mukammal shaadaab hui jaane phir kyun KHud ko itnaa klaant pa raha hooñ main maaloom hai chaand ko ab mohabbat nahin chakor se phir bhi baadlon ko hi doshi thehra raha hooñ main koshishon men koii kamii shaayad mujhse hi rah gaii hogii tujhse naaraz is dil ko har baar yahii samjha raha hooñ main chubhne lage hain ab ye fuzool ke ujaale aankhoñ men andhera jald hone kii ardaas laga raha hooñ main bas phir se sadak par daud chali hai phir tere shahar se khaali haath ja raha hooñ main
Rehaan
1 likes
tum poochhte ho ki vo kya hai tum poochhte ho ki vo kya hai kyun us par dil meraa yuñ fida hai main karta hooñ bas baatein usii kii jaane mujhe ye ho kya gaya hai meri ghazal-shayari men bas naam usii ka vo radha aur main bas shyaam usii ka lage hai jag jhoota bas vo hi ek sacchi soorat ki jaise koii maasoom-si bacchi vo hanse to honthon se phool jhare nigaahen bas usii ko dhoondhaa karen vo dekhe to lagtein haseen lamhaat hain sanwaare jab zulfen to kya baat hai vo jaan hai meri vo meri mehram hai taarifein jitni bhi karoon uski kam hain vo sitaaron ka aasmaañ vo bahaaron ka gulistaan vo poonam kii chaandni koii dilkash-si raagini vo jaade kii dhoop vo apsara ka svaroop vo ghalib kii ghazal vo radha-si saral vo saraswati kii veena aur meera ka ektaara vo ganga-si paawan aur yamuna kii dhaara vo pariyon kii raani vo sangam ka paani vo tulsi-si pavitr uskaa sita-sa charitr vo murli kii taan vo vedon ka gyaan vo phoolon-si komal hai chandan-si sheetal vo mathura kii subah aur awadh kii shaam vo banaras kii galiyaan aur vo hi chaaron dhaam hai khoobsurat vo us men haya bhi hai vo davaa bhi hai vo dua bhi hai hain raatein usii se usii se savera vo roothe to chhaa jaa.e jag men andhera vo bole to fizaaen bahna chhod den shayar bhi shayari kehna chhod den vo chahe to chaand ko zameen pe bula de ghataon se kahiin bhi baarish kara de vo muskuraaye to mausam khush-numa ho jaa.e har musaafir uskaa rehnuma ho jaa.e vo jaise ki farvari ka mahina hai hai kaashi vo vo hi madeena hai vo chhath bhi hai vo ramzaan bhi hai vo geeta bhi hai vo quraan bhi hai vo ladki nahin vo meri KHuda hai aur tum poochhte ho ki vo kya hai
Rehaan
2 likes
aisa kyun hota hai aisa kyun hota hai jaata hai koii to laut ke phir na vo aata dobaara aisa kyun hota hai chanda ke jaane se lagta falak ye soona saara duniya ye pyaar kii dushman isse na paar paata hai dil aisa kyun hota hai maula apnon se haar jaata hai dil aisa kyun hota hai dil jo bichhadte hain din na guzarte hain shaamen na kattee hain raatein na chhatti hain lagta nahin kahiin dil ye bechaara aisa kyun hota hai rahtii hain aañkhen nam ho nahin paata hai guzaara vaade ki.e the usne jo vaade the uske saare jhoothe jitna use tha kal chaaha KHud se hain aaj utne roothe aisa kyun hota hai bhoolna chaahoon to dil ko manaauun to dil na samajhta hai mujhse ulajhta hai karta hai uspe hi bas ye ishaara aisa kyun hota hai jab bhi yuñ hota hai dil ye ho jaata be-sahaara
Rehaan
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rehaan.
Similar Moods
More moods that pair well with Rehaan's nazm.







