dekh to gori kise pukaare bastii bastii dwaare dwaare bar men jholi haath men kaasa ghoom raha hai peet ka pyaasa dil men aag dabii hai darna aankhoñ men ashkon ka jharna lab par dard ka baara-maasa ghoom raha hai peet ka pyaasa kaanton se chhalni hain paanv dhoop mili chehre par chaanv aas mili aankhoñ men niraasa ghoom raha hai peet ka pyaasa baat hamaari maan ke gori sab duniya se chori chori ghoonghat ka pat khol zaraa sa ghoom raha hai peet ka pyaasa soorat hai insha'-ji ki si baal pareshaan aañkhen neechi naam bhi kuchh insha'-ji ka sa ghoom raha hai peet ka pyaasa soch nahin saajan ko bula le aage badh seene se laga le tujh-bin de ise kaun dilaasa ghoom raha hai peet ka pyaasa
Related Nazm
ham ghoom chuke bastii ban men ik aas ki phaans li.e man men koi saajan ho koi pyaara ho koi deepak ho koi taara ho jab jeevan raat andheri ho ik baar kaho tum meri ho jab saawan baadal chhaaye hon jab phaagun phool khilaaye hon jab chanda roop lutaata ho jab suraj dhoop nahaata ho ya shaam ne bastii gheri ho ik baar kaho tum meri ho haandil ka daaman faila hai kyungori ka dil maila hai ham kab tak peet ke dhoke men tum kab tak door jharoke men kab deed se dil ko seeri ho ik baar kaho tum meri ho kya jhagda sood khasaare ka ye kaaj nahin banjaare ka sab sona roopa le jaa.e sab duniya duniya le jaa.e tum ek mujhe bahuteri ho ik baar kaho tum meri ho
Ibn E Insha
22 likes
darakht-e-zard nahin maaloom zaryoon ab tumhaari umr kya hogii vo kin KHvaabon se jaane aashna na-aashnaa hogii tumhaare dil ke is duniya se kaise silsile honge tumhein kaise gumaan honge tumhein kaise gile honge tumhaari subh jaane kin khayaalon se nahaati ho tumhaari shaam jaane kin malaalon se nibhaati hona jaane kaun doshizaa tumhaari zindagi hogina jaane us ki kya baysatgi shaistagi hogii use tum pahone karte aur khat likhte rahe hogena jaane tum ne kitnii kam galat urdu likhi hogii ye khat likhna to daqyaanoos ki peedhi ka qissa hai ye sinf-e-nasr ham na-baaligon ke fan ka hissa hai vo hansati ho to shaayad tum na rah paaate ho haalon men gadha nanha sa paad jaata ho shaayad us ke gaalon men gumaan ye hai tumhaari bhi rasai na-rasaai ho vo aayi ho tumhaare paaas lekin aa na paaai ho vo shaayad maide ki gand bir yaanii na khaati ho vo naan-e-be-khameer-e-maida kam-tar hi chabaati ho vo doshizaa bhi shaayad dastaanon ki ho dil-daada use maaloom hogaa zaal tha sohrab ka daada tahmatan yaanii rustam tha giraami saam ka waaris giraami saam tha sulb-e-nar-e-'maani ka khush-zaada ye mirii ek KHvaahish hai jo mushkil hai vo naghm-aafandi-e-marhoom ko to jaanti hogii vo naauhon ke adab ka tarz to paahchaanti hogii use kad hogii shaayad un sabhi se jo lapaaa dii honna honge KHvaab us ka jo gawayye aur khilaa dii hon hadf honge tumhaara kaun tum kis ke hadf hogena jaane vaqt ki paaikaar men tum kis taraf hoge hai ran ye zindagi ik ran jo barpaa lamha lamha hai ha men is ran men kuchh bhi ho kisi jaanib to hona hai so ham bhi is nafs tak hain sipaaahi ek lashkar ke hazaaron saal se jeete chale aa.e hain mar mar ke shuhood ik fan hai aur mirii adavat be-fanon se hai mirii paaikaar azal se ye khusro meer ghalib ka kharaabaa bechta kya hai hamaara ghalib-e-aazam tha chor aqaa-e-'bedil ka so rizq-e-fakhr ab ham kha rahe hain meer-e-bismil ka sidhaar bhi tha sharminda ki do-aabe ka baasi tha tumhein maaloom hai urdu jo hai paaali se nikli hai vo goya us ki hi ik paur-numoo daali se nikli hai ye kadvaahat ki baatein hain mithaas in ki na paoochho tum nam-e-lab ko tarasti hain so payaas in ki na paoochho tum ye ik do juroon ki ik chuhl hai aur chuhl men kya hai awamunnas se paoochho bhala al-kuhl men kya hai ye taan-o-tanz ki harza-saraai ho nahin sakti ki mirii jaañ mire dil se rishta kho nahin sakti nasha chadhne laga hai aur chadhna chahiye bhi tha abas ka nirakh to is vaqt badhna chahiye bhi tha ajab be-maajra be-taur bezaar aanaa haalat hai vujood ik vaham hai aur vaham hi shaayad haqeeqat hai garz jo haal tha vo nafs ke bazaar hi ka tha hai z bazaar men to darmiyaañ zaryoon men awwal to ye ibraafaneeqi khelte harfon se the har paal to ye zaryoon jo hai kya ye aflatoon hai koi amaan zaryoon hai zaryoon vo maajoon kyun hota hain maajoonein mufeed arwaah ko maajoon yuñ hota suno tafriq kaise ho bhala ashkhaas o ashya men bahut janjaal hain paar ho yahaañ to ya men aur ya men tumhaari jo hamaasa hai bhala us ka to kya kehna hai shaayad mujh ko saari umr us ke seher men rahna magar mire gareeb ajdaad ne bhi kuchh kiya hogaa bahut tuccha sahi un ka bhi koi maajra hogaa ye ham jo hain hamaari bhi to hogii koi nautanki hamaara KHoon bhi sach-much ka sehne paar baha hogaa hai aaKHir zindagi KHoon az-bun-e-naakhun bar-aavar-tar qayamat saanehaa matlab qayamat faajiaa paarvar nahin ho tum mire aur miraa farda bhi nahin miraa so main ne saaht-e-deeroz men daala hai ab dera mire deeroz men zahar-e-halaahal tegh-e-qaatil hai mire ghar ka vahii sarnaam-tar hai jo bhi bismil hai guzisht-e-waqt se paaimaan hai apana ajab sa kuchh so ik maamool hai imraan ke ghar ka ajab sa kuchh hasan naami hamaare ghar men ik suqraat guzra hai vo apani nafi se isbaat tak maashar ke paahuncha hai ki khoon-e-raaygaan ke amr men paadna nahin ham ko vo sood-e-haal se yaksar ziyaan-kaar aanaa guzra hai talab thii KHoon ki qay ki use aur be-nihaayat thii so fauran bint-e-ashash ka pailaaya pee gaya hogaa vo ik lamhe ke andar sarmadiyyat jee gaya hogaa tumhaari arjumand ammi ko main bhoola bahut din men main un ki rang ki taskin se nimta bahut din men vahii to hain jinhon ne mujh ko paaiham rang thukvaaya vo kis rag ka lahu hai jo miyaan main ne nahin thooka lahu aur thooknaa us ka hai kaarobaar bhi miraa yahii hai saakh bhi mirii yahii meaar bhi miraa main vo hooñ jis ne apane KHoon se mausam khil aa.e hain na-jaane vaqt ke kitne hi aalam aazm aa.e hain main ik taarikh hooñ aur mirii jaane kitnii faslen hain mirii kitnii hi farein hain mirii kitnii hi aslen hain hawadis maajra hi ham rahe hain ik zamaane se shadaayad saanehaa hi ham rahe hain ik zamaane se hamesha se bapaaa ik jang hai ham us men qaaim hain hamaari jang KHair o shar ke bistar ki hai zaa'ida ye charkh-e-jabr ke davvaar-e-mumkin ki hai girveeda ladai ke li.e maidaan aur lashkar nahin laazim sinaan o gurz o shamsheer o tabar khanjar nahin laazim bas ik ehsaas laazim hai ki ham buadain hain dono ki nafi-e-ain-e-ain o sar-b-sar ziddiin hain dono luis-urbina ne mirii ajab kuchh gham-gusaari ki b-sad dil daanishi guzraan apani mujh pe taari ki bahut us ne pailaai aur peene hi na dii mujh ko paaalak tak us ne marne ke li.e jeene na dii mujh ko main tere ishq men ranjeeda hooñ haan ab bhi kuchh kuchh hooñ mujhe teri khayaanat ne ghazab majrooh kar daala magar taish-e-shadeed aanaa ke b'ad aaKHir zamaane men raza ki jaavid aanaa jabr ki naubat bhi aa paahunchee mohabbat ek paaspaaai hai paur-ahvaal haalat ki mohabbat apani yak-tauree men dushman hai mohabbat ki sukhun maal-e-mohabbat ki dukaan-aaraai karta hai sukhun sau tarah se ik ramz ki ruswaai karta hai sukhun bakwaas hai bakwaas jo thehra hai fan miraa vo hai taabeer ka aflaas jo thehra hai fan miraa sukhun yaanii labon ka fan suKHan-var yaanii ik paur-fan suKHan-var eizd achha tha ki aadam ya pahir ahreeman mazid aanki sukhun men vaqt hai vaqt ab se ab yaanii kuchh aisa hai ye main jo hooñ ye main apane siva hooñ main so apane aapa men shaayad nahin waqe hua hooñ main jo hone men ho vo har lamha apana gair hota hai ki hone ko to hone se ajab kuchh bair hota hai yoonhi bas yoonhi zeenu ne yakaayak KHud-kushi kar li ajab hiss-e-zarafat ke the maalik ye ravaaqi bhi bidah yaara azaan baada ki dahkaan paarvard aan-ra b sozad har mata-e-intimae doodmaanaan raa b-sozad een zameen-e-e'itibaar-o-aasmaanaan raa b-sozad jaañ o dil raahm bayaasaayad dil o jaañ raa dil o jaañ aur aasaaish ye ik kauni tamaskhur hai humuq ki abqariyyat hai safaahat ka tafakkur hai humuq ki abqariyyat aur safaahat ke tafakkur ne ha men tazai-e-mohlat ke li.e akwaan bakshe hain aur aflaatoon-e-aqdas ne ha men a'yaan bakshe hain suno zaryoon tum to ain-e-a'yaan-e-haqeeqat ho nazar se door manzar ka sar-o-saamaan-e-sarvat ho hamaari umr ka qissa hisaab andoz-e-aani hai zamaani zad men zan ki ik gumaan-e-laazimaani hai gumaan ye hai ki baaki hai baqa har aan faani hai kahaanii sunne waale jo bhi hain vo KHud kahaanii hain kahaanii kehne vaala ik kahaanii ki kahaanii hai paaiya pe ye gadaazish ye gumaan aur ye gile kaise sila-sozi to miraa fan hai pahir is ke sile kaise to main kya kah raha tha yaanii kya kuchh sah raha tha main amaan haan mez paar ya mez paar se bah raha tha main ruko main be-sar-o-pa apane sar se bhag niklaa hooñ ila ya ayyuhal-abjad zaraa yaanii zaraa thehro there is an absurd i in absurdity shaayad kahii apane siva yaanii kahii apane siva thehro tum is absurdity men ik radif ik qaafiya thehro radif o qaafiya kya hain shikast-e-na-rava kya hai shikast-e-naarva ne mujh ko paaara paaara kar daala ana ko mirii be-andaaza-tar be-chaara kar daala main apane aapa men haara hooñ aur khwaar aanaa haara hooñ jigar-chaak aanaa haara hooñ dil-afgaar aanaa haara hooñ jise fan kahte aa.e hain vo hai khoon-e-jigar apana magar khoon-e-jigar kya hai vo hai qattaal-tar apana koi khoon-e-jigar ka fan zaraa taabeer men l aa.e magar main to kahooñ vo paahle mire saamne aa.e vujood o she'r ye dono define ho nahin sakte kabhi mafhoom men hargiz ye kaain ho nahin sakte hisaab-e-harf men aata raha hai bas hasab un ka nahin maaloom eizd eizdaan ko bhi nasab un ka hai eizd eizdaan ik ramz jo be-ramz nisbat hai miyaan ik haal hai ik haal jo be-haal-e-haalat haina jaane jabr hai haalat ki haalat jabr hai yaanii kisi bhi baat ke ma'ni jo hain un ke hain kya ma'ni vujood ik jabr hai miraa adam auqaat hai mirii jo mirii zaat hargiz bhi nahin vo zaat hai mirii main roz-o-shab nigaarish-kosh KHud apane adam ka hooñ main apana aadmi hargiz nahin lauh-o-qalam ka hooñ hain kadvaahat men ye bheege hue lamhe ajab se kuchh saraasar be-hisaab aanaa saraasar be-sabab se kuchh saraabo ne saraabo paar bahut baadal hain bars aa.e sharaabon ne maabad ke tamooz o baal nahl aa.e yaqeenan qaafiya hai yaava-farmaai ka sar-chashma hain nahl aa.e hain barsaayena jaane aariba kyun aa.e kyun mustaarbaa aa.e muzir ke log to chhaane hi waale the so vo chh aa.e mire jad haashim-e-aali ga.e ghazzzaa men dafn aa.e main naqe ko pailaaoonga mujhe waan tak vo le jaa.e lidoo lilmautee wabnoo lilhizaabi san kharaabaati vo mard-e-oos kahtaa hai haqeeqat hai khuraafaati ye zalim teesra paaig ik aqaanee bidaayat hai uloohee harza-farmaai ka sirr-e-toor-e-luknat hai bhala hoorb ki jhaa dii ka vo ramz-e-aatishiin kya tha magar hoorb ki jhaa dii kya ye kis se kis ki nisbat hai ye nisbat ke bahut se qaafiye hain hai gilaa is ka magar tujh ko to yaara qaafiyon ki be-tarah lat hai gumaan ye hai ki shaayad bahar se khaariz nahin hooñ main zaraa bhi haal ke aahang men haarij nahin hooñ tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan nahin mehnat-kashon ka tan na paairaahanna paairaahan na paoori aadhi roti ab raha saalan ye saale kuchh bhi khaane ko na paaa.e gaaliyaan khaayein hai in ki be-hisi men to muqaddas-tar haraami-pan magar aahang miraa kho gaya shaayad kahaan jaane koi mauj-e koi mauj-e-shumaal-e-jaavedaan jaane shumaal-e-jaavedaan ke apane hi qisse the jo guzre vo ho guzre to pahir KHud main ne bhi j aanaa vo ho guzre shumaal-e-jaavedaan apana shumaal-e-jaavedaan-e-jaaan hai ab bhi apani paounji ik malaal-e-jaavedaan-e-jaaan nahin maaloom zaryoon ab tumhaari umr kya hogii yahii hai dil ka mazmoon ab tumhaari umr kya hogii hamaare darmiyaañ ab ek beja-tar zam aanaa hai lab-e-tishna pe ik zahr-e-haqeeqat ka fasana hai ajab furqat muyassar aayi hai dil jaañ rishte kona dil ko aazm aanaa hai na jaañ ko aazm aanaa hai kaleed-e-kisht-zaar-e-khwaab bhi gum ho gaii aaKHir kahaan ab jaada-e-khurram men sar-sabz aanaa j aanaa hai kahooñ to kya kahooñ miraa ye zakhm-e-jaaved aanaa hai vahii dil ki haqeeqat jo kabhi jaañ thii vo ab aaKHir fasana dar fasana dar fasana dar fasana hai hamaara baahmi rishta jo haasil-tar tha rishton ka hamaara taur-e-be-zaari bhi kitna waalihana hai kisi ka naam likkha hai mirii saari bayaazon paar main himmat kar raha hooñ yaanii ab us ko mit aanaa hai ye ik shaam-e-azaab-e-be-sarokaar aanaa haalat hai hue jaane ki haalat men hooñ bas furqat hi furqat hai nahin maaloom tum is vaqt kis maaloom men hogena jaane kaun se ma'ni men kis mafhoom men hoge main tha mafhoom na-mafhoom men gum ho chuka hooñ main main tha maaloom na-maaloom men gum ho chuka hooñ main nahin maaloom zaryoon ab tumhaari umr kya hogii mire KHud se guzarne ke zamaane se siva hogii mire qamat se ab qamat tumhaara kuchh fuzoon hogaa miraa farda mire deeroz se bhi KHush numoon hogaa hisaab-e-maah-o-saal ab tak kabhi rakha nahin main ne kisi bhi fasl ka ab tak mazaa chakkha nahin main ne main apane aapa men kab rah sakaa kab rah sakaa aaKHir kabhi ik paal ko bhi apane li.e socha nahin main ne hisaab-e-maah-o-saal o roz-o-shab vo sokhta-boodsh musalsal jaan-kani ke haal men rakhta bhi to kaise jise ye bhi na ho maaloom vo hai bhi to kyoon-kar hai koi haalat dil-e-paamaal men rakhta bhi to kaise koi nisbat bhi ab to zaat se baahar nahin mirii koi bistar nahin miraa koi chadar nahin mirii b-haal-e-na-shita sad-zakhm-haa o khoon-haa khoordam b-hardam shookraan aamekhta maajoon-haa khoordam tumhein is baat se matlab hi kya aur aaKHirsh kyun ho kisi se bhi nahin mujh ko gilaa aur aaKHirsh kyun ho jo hai ik nang-e-hasti us ko tum kya jaañ bhi loge agar tum dekh lo mujh ko to kya paahchaan bhi loge tumhein mujh se jo nafrat hai vahii to mirii raahat hai mirii jo bhi aziyyat hai vahii to mirii lazzat hai ki aaKHir is jahaan ka ek nizaam-e-kaar hai aaKHir jazaa ka aur saza ka koi to hanjaar hai aaKHir main KHud men jhenktaa hooñ aur seene men bhadakta hooñ mire andar jo hai ik shaKHs main us men fadakta hooñ hai mirii zindagi ab roz-o-shab yak-majlis-e-gham-haa azaa-haa marsiya-haa giryaa-haa aashob-e-maatam-haa tumhaari tarbiyat men miraa hissa kam raha kam-tar zabaan mirii tumhaare vaaste shaayad ki mushkil ho zabaan apani zabaan main tum ko aaKHir kab sikha paaaya azaab-e-sad-shamaatat aaKHirsh mujh paar hi naazil ho zabaan ka kaam yuñ bhi baat samjh aanaa nahin hota samajh men koi bhi matlab kabhi aanaa nahin hota kabhi KHud tak bhi matlab koi paahunch aanaa nahin hota gumaanon ke gumaan ki dam-b-dam aashob-kaari hai bhala kya e'itibaari aur kya naa-e'itibaari hai gumaan ye hai bhala men juz gumaan kya tha gumaanon men sukhun hi kya fasaanon ka dhara kya hai fasaanon men miraa kya tazkira aur Vaaqaii kya tazkira miraa main ik afsos tha afsos hooñ guzre zamaanon men hai shaayad dil miraa be-zakhm aur lab paar nahin chaale mire seene men kab sozinda-tar daaghoon ke hain thaale magar dozakh paighal jaa.e jo mire saans apana le tum apani maam ke behad muraa dii minnaton waale mire kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin baale magar paahle kabhi tum se miraa kuchh silsila to tha gumaan men mire shaayad ik koi guncha khila to tha vo mirii jaaved aanaa be-dui ka ik sila to tha so us ko ek abboo naam ka ghoda mila to tha saaya-e-daamaan-e-rahmat chahiye thoda mujhe main na chhodun ya nabi tum ne agar chhodaa mujhe eed ke din mustafa se yuñ lage kehne husain sabz joda do hasan ko surkh do joda mujhe adab adab kutte tire kaan kaatoon zaryoon ke byah ke naan baatoon taaron bhare jagar jagar khwaan baatoon aa ja ri nindiya tu aa kyun na ja zaryoon ko aa ke sula kyun na ja tumhaare byah men shajra paadha j aanaa tha naushaa vaastee dulha chauki aangan men bichi vaastee dulha ke li.e makke madine ke paaak musalle paayambar ghar navaase shaah-e-mardaan ameer-ul-momineen hazrat-'ali ke paote hazrat imam-'hasan hazrat imam-'husain ke paote hazrat imam-ali-'naqi ke paote sayyad-'jaafar saani ke paote sayyad abul-farh saidwaail-vaastee ke paote meeraan sayyad-'ali'-buzurg ke paote sayyad-'husain'-sharafuddin shaah-vilaayat ke paote qaazi sayyad-'ameer'-ali ke paote deevaan sayyad-'haamid ke paote allaama sayyad-'shafeeq'-hasan-eliya ke paote sayyad-'jaun'-eliya hasni-ul-husaini sapaoot-jaah magar naazir hamaara sokhta-sulb aaKHiri nassaab ab marne hi vaala hai bas ik paal haf sa dii ka faisla karne hi vaala hai suno zaryoon bas tum hi suno yaanii faqat tum hi vahii raahat men hai jo aam se hone ko apana le kabhi koi bhi paar ho koi bahman yaar ya zeenu tumhein behka na paaa.e aur bairooni na kar dale main saari zindagi ke dukh bhugat kar tum se kahtaa hooñ bahut dukh degi tum men fikr aur fan ki numoo mujh ko tumhaare vaaste behad sahoolat chahta hooñ main davaam-e-jahl o haal-e-istiraahat chahta hooñ mainna dekho kaash tum vo KHvaab jo dekha kiya hooñ main vo saare KHvaab the qassaab jo dekha kiya hooñ main kharaash-e-dil se tum be-rishta be-maqdoor hi thehro mire jahmeem-e-zaat-e-zaat se tum door hi thehro koi zaryoon koi bhi clerk aur koi kaarinda koi bhi bank ka afsar senator koi paaawanda har ik hawaan-e-sarkaari ko tattu jaanta hooñ main so zaahir hai ise shay se ziyaada maanta hooñ main tumhein ho subh-dam taufeeq bas akhbaar paadhne ki tumhein ai kaash beemaarii na ho deewaar paadhne ki ajab hai saartr aur rasel bhi akhbaar paadhte the vo maaloomaat ke maidaan ke shauqeen boodhe the nahin maaloom mujh ko aam shahri kaise hote hain vo kaise apana banjar naam banjar-pan men bote hain main urr se aaj tak ik aam shahri ho nahin paaaya isee baa'is main hooñ amboh ki lazzat se be-maaya magar tum ik do-paaya raast qamat ho ke dikhl aanaa suno raay-dahinda bin hue tum baaz mat aanaa faqat zaryoon ho tum yaanii apana saabika chhodo faqat zaryoon ho tum yaanii apana laahiqaa chhodo magar main kaun jo chaahoon tumhaare baab men kuchh bhi bhala kyun ho mire ehsaas ke asbaab men kuchh bhi tumhaara baapa yaanii main abas main ik abs-tar main magar main yaanii jaane kaun achha main saraasar main main kaasa-baaz o keena-saaz o kaasa-tan hooñ kutta hooñ main ik nangeen-e-boodsh hooñ pa tum to sirr-e-mun'am ho tumhaara baapa roohul-quds tha tum ibn-e-maryam ho ye qulqul teesra paaig ab to chautha ho gumaan ye hai gumaan ka mujh se koi khaas rishta ho gumaan ye hai gumaan ye hai ki main jo ja raha tha aa raha hooñ main magar main aa raha kab hooñ paiyaape ja raha hooñ main ye chautha paaig hai oon-hoon zalaalat ki gaii mujh se zalaalat ki gaii mujh se khayaanat ki gaii mujh se jozaami ho gaii wazzaah ki mahboob vaavila magar is ka gilaa kya jab nahin aaya koi ela suno mirii kahaanii paar miyaan mirii kahaanii kya main yaksar raigaani hooñ hisaab-e-raigaani kya bahut kuchh tha kabhi shaayad paar ab kuchh bhi nahin hooñ mainna apana ham-nafs hooñ main na apana hum-nasheen hooñ main kabhi ki baat hai fariyaad miraa vo kabhi yaanii nahin is ka koi matlab nahin is ke koi ma'ni main apane shahar ka sab se giraami naam ladka tha main be-hangaam ladka tha main sad-hangaam ladka tha mire dam se ghazab hangaama rehta tha mohallon men main hashraaghaz ladka tha main hashr-anjaam ladka tha mire hindu musalmaan sab mujhe sar paar bithaate the unhi ke faiz se ma'ni mujhe ma'ni sikhaate the sukhun bahta chala aata hai be-baais ke honton se vo kuchh kahtaa chala aata hai be-baais ke honton se main ashraaf-e-kameena-kaar ko thokar pe rakhta tha so main mehnat-kashon ki jootiyaan mimbar pe rakhta tha main shaayad ab nahin hooñ vo magar ab bhi vahii hooñ main ghazab hangaama-parwar kheera-sara ab bhi vahii hooñ main magar miraa tha ik taur aur bhi jo aur hi kuchh tha magar miraa tha ik daur aur bhi jo aur hi kuchh tha main apane shahr-e-ilm-o-fan ka tha ik naujavaan kaahin mire tilmeez-e-ilm-o-fan mire baba ke the hum-sin miraa baba mujhe KHaamosh aawaazen sunaata tha vo apane-aapa men gum mujh ko paur-haali sikhaata tha vo haiat-daan vo aalim naaf-e-shab men chat pe jaata tha rasad ka rishta sayyaaron se rakhta tha nibhaata tha use KHvaahish thii shohrat ki na koi hirs-e-daulat thii bade se qutr ki ik doorbeen us ki zaroorat thii mirii maa ki tamannaon ka qaateel tha vo qallama mirii maa mirii mahbooba qayamat ki haseena thii sitam ye hai ye kehne se jhijakta tha vo fahhaama tha behad ishtiaal-angez bad-qismat o allaama khalaf us ke khazaf aur be-nihaayat na-khalf nikle ham us ke saare bete intihaai be-sharaf nikle main us aalim-tareen-e-dehr ki fikrat ka munkir tha main fastaai tha jaahil tha aur mantiq ka maahir tha paaar ab mirii ye shohrat hai ki main bas ik sharaabi hooñ main apane doodmaan-e-ilm ki khana-kharaabi hooñ sagan-e-khookh zaad-e-barzan o bazaar-e-be-maghzi mirii jaanib ab apane thobde shaahana karte hain zina-zaade mirii izzat bhi gustaakh aanaa karte hain kameene sharm bhi ab mujh se be-sharm aanaa karte the mujhe is shaam hai apane labon paar ik sukhun l aanaa ali darvesh tha tum us ko apana jadd na batl aanaa vo sibtain-e-mohammad jin ko jaane kyun bahut arfaa tum un ki door ki nisbat se bhi yaksar mukar j aanaa ki is nisbat se zahar o zakham ko sahna zaroori hai ajab ghairat se ghaltiida-b-khoon rahna zaroori hai vo shajra jo kan aanaa fahar ghalib kaab marra se qusai o hashim o sheba abu-taalib tak aata tha vo ik andoh tha taarikh ka andoh-e-sozinda vo naamon ka darakht-e-zard tha aur us ki shaakhon ko kisi tannoor ke hizam ki khaakistar hi banna tha use shola-zada boodsh ka ik bistar hi banna tha hamaara fakhr tha faqr aur daanish apani paounji thii nasb-naamon ke ham ne kitne hi paarcham lapete hain mire ham-shehr zaryoon ik fusoon hai nasl ham dono faqat aad ke bete hain faqat aadam ke bete hain main jab ausaan apane khone lagta hooñ to hansta hooñ main tum ko yaad kar ke rone lagta hooñ to hansta hooñ hamesha main KHuda haafiz hamesha main KHuda haafiz KHuda haafiz KHuda haafiz
Jaun Elia
18 likes
haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho
Rakesh Mahadiuree
25 likes
hausla hausla rakh raaste dikhne lagenge yah andhere subh tak chhatne lagenge qafile par qafile guzre yahaañ se dekhna kuchh naqsh-e-paa aage milenge lad-khadaate hauslon ko phir utha kar subh hote hi safar par chal padenge thokron se kah do ke dam-kham laga den ham girengे phir uthenge par chalenge
MAHESH CHAUHAN NARNAULI
15 likes
teri yaad hai main hooñ ye kaali andheri raat hai tanhaaii hai aur teri yaad hai mere haath men kalam hai paas men rakha ek gilaas hai jo sharaab se bhara hai tujhe yaad ki.e ja raha hooñ sharaab peete hue nazm likhte ja raha hooñ suno mere likhe nazm to padhogi na KHvaabon men mulaqaat to karogi napyaar se na sahi nafrat se hi mujhe yaad to karogi najab yaad aa.e meri to ye bhi khyaal karna main teri awaaz sunne ko pareshaan rehta hooñ main tujhe ek baar dekhna chahta hooñ main chahta hooñ ki tu phir se mere sar pe haath phere main ye bhi chahta hooñ ki tu phir se aa.e mere paas aur aakar phir kabhi na jaa.e par aisa to ho hi nahin saka aisa hona to naamumkin hai
Rovej sheikh
10 likes
More from Ibn E Insha
ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata
Ibn E Insha
0 likes
insha'-ji ye kaun aaya kis des ka baasi hai honton pe tabassum hai aankhoñ men udaasi hai KHvaabon ke gulistaan ki khush-boo-e-dil-aara hai ya subh-e-tamannaa ke maathe ka sitaara hai tarsi hui nazaron ko ab aur na tarsa re ai husn ke saudaagar ai roop ke banjaare ramna dil-e-'insha ka ab teraa thikaana ho ab koi bhi soorat ho ab koi bahaana ho khaakistar-e-dil ko hai phir shola-b-jaan hona hairat ka jahaan hona hasrat ka nishaan hona ai shaKHs jo tu aakar yuñ dil men samaaya hai tu dard ki darmaan hai to dhoop ki saaya hai nainaan tire jaadu hain gesu tire khushboo hain baatein kisi jungle men bhatka hua aahu hain maqsood-e-wafa sun le kya saaf hai saada hai jeene ki tamannaa hai marne ka iraada hai
Ibn E Insha
0 likes
1 ye bachcha kaisa bachcha hai ye bachcha kaala kaala sa ye kaala sa matiyaala sa ye bachcha bhooka bhooka sa ye bachcha sookha sookha sa ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha kaisa bachcha hai jo ret pe tanhaa baitha haina is ke pet men roti haina is ke tan par kapda haina is ke sar par topi haina is ke pair men joota haina is ke paas khilauno men koi bhaalu hai koi ghoda haina is ka jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina is ki jeb men dhela haina is ke haath men paisa haina is ke ammi abboo hainna is ki aapa khaala hai ye saare jag men tanhaa hai ye bachcha kaisa bachcha hai 2 ye sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai ye sehra bhook ka sehra hai ye sehra maut ka sehra hai 3 ye bachcha kaise baitha hai ye bachcha kab se baitha hai ye bachcha kya kuchh poochta hai ye bachcha kya kuchh kahtaa hai ye duniya kaisi duniya hai ye duniya kis ki duniya hai 4 is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal ataariyaan hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje ye resham hai ye deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhook ke dukh ki duniya men ye kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain ye kis duniya ka hissa hai 5 ham jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai ye gora hai ya kaala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab pachchham farq nahin is dharti par haq sab ka hai 6 ye tanhaa bachcha be-chaara ye bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhook mite kya mushkil hai ho saka hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bah teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhe kaisa bachcha hai ye kitna pyaara bachcha hai 7 is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai vo sab ka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sab ka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai vo daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai vo saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha sab ka bachcha hai
Ibn E Insha
1 likes
shehr-e-dil ki galiyon men shaam se bhatkte hain chaand ke tamannaai be-qaraar saudaai dil-gudaaz taarikee rooh-o-jaan ko dasti hai rooh-o-jaan men bastii hai shehr-e-dil ki galiyon men taak shab ki belon par shabnameen sarishkon ki be-qaraar logon ne be-shumaar logon ne yaadgaar chhodi hai itni baat thodii hai sad hazaar baatein theen heelaa-e-shakebaai sooraton ki zebaai kaamton ki raa'naai in siyaah raaton men ek bhi na yaad aayi jaa-ba-jaa bhatkte hain kis ki raah takte hain chaand ke tamannaai ye nagar kabhi pahle is qadar na veeraan tha kehne waale kahte hain qarya-e-nigaaraan tha KHair apne jeene ka ye bhi ek saamaan tha aaj dil men veeraani abr ban ke ghir aayi aaj dil ko kya kahiye ba-wafa na harjaai phir bhi log deewane aa ga.e hain samjhaane apni vahshat-e-dil ke bun li.e hain afsaane khush-khyaal duniya ne garmiyaan to jaati hain vo rutein bhi aati hain jab malool raaton men doston ki baaton men jee na chain paayega aur oob jaayega aahaton se goonjegi shehr-e-dil ki pahnaai aur chaand raaton men chaandni ke shaidai har bahaane niklengay aazmaane niklengay aarzoo ki gehraai dhoondhne ko ruswaai sard sard raaton ko zard chaand bakhshishga be-hisaab tanhaaii be-hijaab tanhaaii shehr-e-dil ki galiyon men
Ibn E Insha
0 likes
yah bachcha kaala kaala-sa yah kaala sa matiyaala sa yah bachcha bhukha bhukha sa yah bachcha sukha sukha sa yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha kaisa bachcha hai jo ret par tanha baitha haina iske pet men roti haina iske tan par kapda haina iske sar par topi haina iske pair men joota haina iske paas khilauna men koi bhaalu hai koi ghoda haina iska jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina iski jeb men dhela haina iske haath men paisa haina iske ammi-abbu hainna iski aapaakhaala hai yah saare jag men tanhaa hai yah bachcha kaisa bachcha hai yah sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai yah sehra bhookh ka sehra hai yah sehra maut ka sehra hai yah bachcha kaise baitha hai yah bachcha kab se baitha hai yah bachcha kya kuchh poochta hai yah bachcha kya kuchh kahtaa hai yah duniya kaisi duniya hai yah duniya kiski duniya hai is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir-ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal atariya hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje yah resham hai yah deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhookh ke dukh ki duniya men yah kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain yah kis duniya ka hissa hai ham jis aadam ke bete hain yah us aadam ka beta hai yah aadam ek hi aadam hai woh gora hai ya kaala hai yah dharti ek hi dharti hai yah duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab-pachchim farq nahin is dharti par haq sabka hai yah tanha bachcha bechaara yah bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhookh mite kya mushkil hai ho sakaa hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bahu teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhiye kaisa bachcha hai yah kitna pyaara bachcha hai is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai woh sabka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sabka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai woh daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai woh saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha sabka bachcha hai
Ibn E Insha
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn E Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.







