nazmKuch Alfaaz

yah bachcha kaala kaala-sa yah kaala sa matiyaala sa yah bachcha bhukha bhukha sa yah bachcha sukha sukha sa yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha kaisa bachcha hai jo ret par tanha baitha haina iske pet men roti haina iske tan par kapda haina iske sar par topi haina iske pair men joota haina iske paas khilauna men koi bhaalu hai koi ghoda haina iska jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina iski jeb men dhela haina iske haath men paisa haina iske ammi-abbu hainna iski aapaakhaala hai yah saare jag men tanhaa hai yah bachcha kaisa bachcha hai yah sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai yah sehra bhookh ka sehra hai yah sehra maut ka sehra hai yah bachcha kaise baitha hai yah bachcha kab se baitha hai yah bachcha kya kuchh poochta hai yah bachcha kya kuchh kahtaa hai yah duniya kaisi duniya hai yah duniya kiski duniya hai is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir-ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal atariya hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje yah resham hai yah deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhookh ke dukh ki duniya men yah kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain yah kis duniya ka hissa hai ham jis aadam ke bete hain yah us aadam ka beta hai yah aadam ek hi aadam hai woh gora hai ya kaala hai yah dharti ek hi dharti hai yah duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab-pachchim farq nahin is dharti par haq sabka hai yah tanha bachcha bechaara yah bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhookh mite kya mushkil hai ho sakaa hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bahu teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhiye kaisa bachcha hai yah kitna pyaara bachcha hai is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai woh sabka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sabka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai woh daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai woh saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha sabka bachcha hai

Related Nazm

maasoom KHoon jin aankhoñ se khushi bahti thii un men khauf bhar daala mere haathon ne ik maasoom bachcha qatl kar daala vo hansta tha hansaata tha s abhii ko aur mujh...ko bhi zamaane kii na koii fikr vo sabka dulaara tha vo ik bachcha mujhe saare jahaan men sabse pyaara tha thii kya hi umr uski tha athaarah ka abhii bas vo vo meraa chaand tha lekin laga mujh...ko amaavas vo use kuchh aur din jeena tha hansna-khelna tha par mere bezaar dil ne bachpana uskaa kutar daala mere haathon ne ik maasoom bachcha qatl kar daala mujhe jab meri hi naakaamiyaan dasne lagii ik din achaanak tab mujhe uski khushi chubhne lagii ik din kiya sauda phir un naakaamiyon ka uski KHushiyon se s abhii naakaamiyon ka bojh maine uske sar daala mere haathon ne ik maasoom bachcha qatl kar daala

Rehaan

1 likes

"Parichay garibi ka"

Navneet krishna

8 likes

Sunahare manzar bade pahaadon se gir ke

ZARKHEZ

0 likes

sukha saawan

Uday Divakar

0 likes

ek choohiya ye boli bete se tujh se aañkhen mirii hui raushan ham yahaañ ke purane saakin hain kaii pushton ka guzra hai bachpan vo jo is ghar ka hai badaa daalaanus men rahte hain khaane ke bartan paas ik tokri bhi rahtii haius men hain aaloo gobhi aur baigan ne'ematein sau hain tere khaane ko lekin ai noor-e-chashm-o-jaan-e-man usii ghar ke hai ek kone men taar ki jaaliyon ka ek maskan log use choohe-daan kahte hain hai ye chuhiiyon ki qaum ka dushman chahe us men hon ne'ematein laakhon hain vo sab teri maut ke kaaran tere jitne buzurg guzre hain hazm unhen kar gaya yahii dushman tu agar us ke paas ja pahuncha ho gaii teri jaañ ko uljhan rahna har vaqt choohe-daan se door aur phirna har ek samt magan chuhe ka bachcha baaz rah na sakaa kuchh to laalach tha aur kuchh bachpan raat ko us ke paas aa hi gaya ek luq men ki thii jo us ko lagan sar badhaate hi lag gaya khatka fans gaii choohe-daan men gardan

Jibreel Siddiqi

0 likes

More from Ibn E Insha

shehr-e-dil ki galiyon men shaam se bhatkte hain chaand ke tamannaai be-qaraar saudaai dil-gudaaz taarikee rooh-o-jaan ko dasti hai rooh-o-jaan men bastii hai shehr-e-dil ki galiyon men taak shab ki belon par shabnameen sarishkon ki be-qaraar logon ne be-shumaar logon ne yaadgaar chhodi hai itni baat thodii hai sad hazaar baatein theen heelaa-e-shakebaai sooraton ki zebaai kaamton ki raa'naai in siyaah raaton men ek bhi na yaad aayi jaa-ba-jaa bhatkte hain kis ki raah takte hain chaand ke tamannaai ye nagar kabhi pahle is qadar na veeraan tha kehne waale kahte hain qarya-e-nigaaraan tha KHair apne jeene ka ye bhi ek saamaan tha aaj dil men veeraani abr ban ke ghir aayi aaj dil ko kya kahiye ba-wafa na harjaai phir bhi log deewane aa ga.e hain samjhaane apni vahshat-e-dil ke bun li.e hain afsaane khush-khyaal duniya ne garmiyaan to jaati hain vo rutein bhi aati hain jab malool raaton men doston ki baaton men jee na chain paayega aur oob jaayega aahaton se goonjegi shehr-e-dil ki pahnaai aur chaand raaton men chaandni ke shaidai har bahaane niklengay aazmaane niklengay aarzoo ki gehraai dhoondhne ko ruswaai sard sard raaton ko zard chaand bakhshishga be-hisaab tanhaaii be-hijaab tanhaaii shehr-e-dil ki galiyon men

Ibn E Insha

0 likes

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

Ibn E Insha

0 likes

dil peet ki aag men jalta hai haan jalta rahe use jalne do is aag se logon door raho thandi na karo pankha na jhlo ham raat dina yuñ hi ghulte rahen koi pooche ki ham ko na pooche koi saajan ho ya dushman ho tum zikr kisi ka mat chhedo sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khaate hain ye deewane saada hi sahi par itne bhi saada nahin yaaro kis baithi tapish ke maalik hain thithuri hui aag ke angiyaare tum ne kabhi senka hi nahin tum kya samjho tum kya jaano dil peet ki aag men jalta hai haan jalta hai ise jalne do is aag se tum to door raho thandi na karo pankha na jhlo har mehfil men ham dono ki kya kya nahin baatein hoti hain in baaton ka mafhoom hai kya tum kya samjho tum kya jaano dil chal ke labon tak aa na sakaa lab khul na sake gham ja na sakaa apna to bas itnaa qissa tha tum apni sunaao apni kaho vo shaam kahaan vo raat kahaan vo vaqt kahaan vo baat kahaan jab marte the marne na diya ab jeete hain ab jeene do dil peet ki aag men jalta hai haan jalta rahe ise jalne do is aag se insha door raho thandi na karo pankha na jhlo logon ki to baatein sacchi hain aur dil ka bhi kehna karna hua par baat hamaari maano to ya un ke bano ya apne raho raahi bhi nahin rehzan bhi nahin bijli bhi nahin khirman bhi nahin aisa bhi bhala hota hai kahii tum bhi to ajab deewane ho is khel men har baat apni kahaan jeet apni kahaan maat apni kahaan ya khel se yaksar uth jaao ya jaati baazi jaane do dil peet ki aag men jalta hai

Ibn E Insha

0 likes

dil dard ki shiddat se khoon-gashta o see-paara is shahar men firta hai ik vahshi-o-aawaara shayar hai ki aashiq hai jogi hai ki banjaara darwaaza khula rakhna seene se ghatta utthe aankhoñ se jha dii barase phaagun ka nahin baadal jo chaar-gha dii barase barkha hai ye bhaadon ki barase to ba dii barase darwaaza khula rakhna aankhoñ men to ik aalam aankhoñ men to duniya hai honton pe magar mohrein munh se nahin kahtaa hai kis cheez ko kho baitha kya dhoondhne niklaa hai darwaaza khula rakhna haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori saajan hai tira saajan ab tujh se to kya chori ye jis ki munaa dii hai bastii men tiri gori darwaaza khula rakhna shikvon ko utha rakhna aankhoñ ko bichha rakhna ik shama' dariche ki chaukhat pe jala rakhna mayus na phir jaaye haan paas-e-wafa rakhna darwaaza khula rakhna darwaaza khula rakhna

Ibn E Insha

1 likes

insha'-ji ye kaun aaya kis des ka baasi hai honton pe tabassum hai aankhoñ men udaasi hai KHvaabon ke gulistaan ki khush-boo-e-dil-aara hai ya subh-e-tamannaa ke maathe ka sitaara hai tarsi hui nazaron ko ab aur na tarsa re ai husn ke saudaagar ai roop ke banjaare ramna dil-e-'insha ka ab teraa thikaana ho ab koi bhi soorat ho ab koi bahaana ho khaakistar-e-dil ko hai phir shola-b-jaan hona hairat ka jahaan hona hasrat ka nishaan hona ai shaKHs jo tu aakar yuñ dil men samaaya hai tu dard ki darmaan hai to dhoop ki saaya hai nainaan tire jaadu hain gesu tire khushboo hain baatein kisi jungle men bhatka hua aahu hain maqsood-e-wafa sun le kya saaf hai saada hai jeene ki tamannaa hai marne ka iraada hai

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.