nazmKuch Alfaaz

dil dard ki shiddat se khoon-gashta o see-paara is shahar men firta hai ik vahshi-o-aawaara shayar hai ki aashiq hai jogi hai ki banjaara darwaaza khula rakhna seene se ghatta utthe aankhoñ se jha dii barase phaagun ka nahin baadal jo chaar-gha dii barase barkha hai ye bhaadon ki barase to ba dii barase darwaaza khula rakhna aankhoñ men to ik aalam aankhoñ men to duniya hai honton pe magar mohrein munh se nahin kahtaa hai kis cheez ko kho baitha kya dhoondhne niklaa hai darwaaza khula rakhna haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori saajan hai tira saajan ab tujh se to kya chori ye jis ki munaa dii hai bastii men tiri gori darwaaza khula rakhna shikvon ko utha rakhna aankhoñ ko bichha rakhna ik shama' dariche ki chaukhat pe jala rakhna mayus na phir jaaye haan paas-e-wafa rakhna darwaaza khula rakhna darwaaza khula rakhna

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii

Tehzeeb Hafi

236 likes

"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men

Muneer Niyazi

108 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

More from Ibn E Insha

tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e vaqt ki be-unwaan kahaanii kab tak be-unwaan rahe ai mire soch-nagar ki raani ai mire khuld-e-khyaal ki hoor itne dinon jo main ghulta raha hooñ tere bina yoonhi door hi door soch to kya phal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya shehar-e-watan men ajnabi thehra aaKHir shehar-e-watan se gaya rooh ki pyaas bujhaani thii par yahaañ honton ki pyaas bhi bujh na saki bachte sambhalte bhi ek sulagta rog banii mire jee ki lagii door ki baat na soch abhii mire haath men tu zaraa haath to de tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e baagh men hai ik belee ka takhta bheenee hai is belee ki sugandh ai kaliyo kyun itne dinon tum rakhe raheen ise god men band kitne hi ham se roop ke rasiya aa.e yahaañ aur chal bhi diye tum ho ki itne husn ke hote ek na daaman thaam sake sehan-e-chaman par bhaunroń ke baadal ek hi pal ko chhaayenge phir na vo ja kar laut sakenge phir na vo ja kar aayenge ai mire soch-nagar ki raani vaqt ki baatein rang aur boo har koi saath kisi ka dhunde gul hon ki belee main hooñ ki tu jo kuchh kehna hai abhii kah le jo kuchh sunna hai sun le tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e dil ki na poochho kya kuchh chahe dil ka to faila hai daaman geet se gaal ghazal si aañkhen saad-e-seemeen barg-e-dahan jude ke inheen phoolon ko dekho kal ki si in men baas kahaan ek ik taara kar ke doobi maathe ki tannaaz afshaan sahne ka dukh sah na sake ham kehne ki baatein kah na sake paas tire k abhii aa na sake ham door bhi tujh se rah na sake kis se kahe ab rooh ki bipata kis ko sun aa.e man ki baat door ki raah bhatkata raahi jeevan-raat ghaneeri raat honton ki pyaas bujhaani hai ab tire jee ko ye baat lage na lage tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e

Ibn E Insha

0 likes

chaand kab se hai sar-e-shaakh-e-sanobar atka ghaas shabnam men sharaabor hai shab hai aadhi baam soona hai kahaan dhunden kisi ka chehra log samjhenge ki be-rabt hain baatein apni she'r ugte hain dukhi zehan se konpal konpal kaun mausam hai ki bharpoor hain gham ki belen door pahunchen hain sarkate hue ude baadal chaand tanhaa hai agar us ki balaaen le len dosto jee ka ajab haal hai lena badhna chaandni raat hai kaatik ka mahina hogaa meer-e-maghfoor ke ashaar na paiham padhna jeene waalon ko abhii aur bhi jeena hogaa chaand thithka hai sar-e-shaakh-e-sanobar kab se kaun sa chaand hai kis rut ki hain raatein logon dhund udne lagii bunne lagii kya kya chehre achchhii lagti hain deewano ki si baatein logon bheegti raat men dubka hua jheenger bola kamsaati kisi jhaadi men se khushboo lapki koi kaakul koi daaman koi aanchal hogaa ek duniya thii magar ham se sameti na gaii ye badaa chaand chamakta hua chehra khole baitha rehta hai sar-e-baam-e-shabistaan shab ko ham to is shahar men tanhaa hain humeen se bole kaun is husn ko dekhega ye is se poochho sone lagti hai sar-e-shaam ye saari duniya in ke huzron men na dar hai na dareecha koi in ki qismat men shab-e-maah ko rona kaisa in ke seene men na hasrat na tamannaa koi kis se is dard-e-judai ki shikaayat kahiye yaa to seene men niyastaan ka niyastaan hogaa kis se is dil ke ujadne ki hikaayat kahiye sunne vaala bhi jo hairaan nahin hairaan hogaa aisi baaton se na kuchh baat banegi apni sooni aankhoñ men niraasha ka ghulega kaajal khaali sapnon se na auqaat banegi apni ye shab-e-maah bhi kat jaayegi be-kal be-kal jee men aati hai ki kamre men bula len is ko chaand kab se hai sar-e-shaakh-e-sanobar atka raat us ko bhi nigal jaayegi bolo bolo baam par aur na aayega kisi ka chehra

Ibn E Insha

0 likes

munni tere daant kahaan hain daant the main ne doodh pila kar saath baras men pale aa kar un ko le ga.e chuhe lambi monchoń waale gud ka un ko maat mila tha meetha aur mazedaar laakh khushamad kar ke mujh se le li.e daant udhaar munni tere daant kahaan hain billi thii ik maami mausi chupke chupke aayi panjo par thii deg ki khurchan honton par baalaai boli gud ke maat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadho-aadh rahega de do daant udhaar munni tere daant kahaan hain baa'd men boodha moti aaya ronee shakl banaaye bola bibi is billi ka kuchh to karen u paa.e doodh na chhode gosht na chhode hain buddha laachaar is ko karoon shikaar jo mujh ko de do daant udhaar achchhii munni tum ne apne itne daant ganwaaye kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne paa.e baaki jo do-chaar rahe hain vo ham ko dilvaao ik daawat men aaj milenge tikke aur polaav murgi ke paa.e ka saalan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se maanguun haan diye udhaar baba haan haan diye udhaar munni tere daant kahaan hain

Ibn E Insha

0 likes

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

Ibn E Insha

0 likes

insha'-ji ye kaun aaya kis des ka baasi hai honton pe tabassum hai aankhoñ men udaasi hai KHvaabon ke gulistaan ki khush-boo-e-dil-aara hai ya subh-e-tamannaa ke maathe ka sitaara hai tarsi hui nazaron ko ab aur na tarsa re ai husn ke saudaagar ai roop ke banjaare ramna dil-e-'insha ka ab teraa thikaana ho ab koi bhi soorat ho ab koi bahaana ho khaakistar-e-dil ko hai phir shola-b-jaan hona hairat ka jahaan hona hasrat ka nishaan hona ai shaKHs jo tu aakar yuñ dil men samaaya hai tu dard ki darmaan hai to dhoop ki saaya hai nainaan tire jaadu hain gesu tire khushboo hain baatein kisi jungle men bhatka hua aahu hain maqsood-e-wafa sun le kya saaf hai saada hai jeene ki tamannaa hai marne ka iraada hai

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.