Sunahare manzar bade pahaadon se gir ke
Related Nazm
koi nahin samajhta koi baat nahin samajhta koi jazbaat nahin samajhta koi samajh leta hai KHvaabon ko par koi raat nahin samajhta koi doori nibhaana jaanta hai par koi saath nahin samajhta koi baghair dekhe chun leta hai saa thii par koi zaat-paat nahin samajhta koi jaan leta hai jhoo thii hañsi par koi haalaat nahin samajhta koi baat nahin samajhta to koi jazbaat nahin samajhta
ZafarAli Memon
15 likes
taiyab vo akshar mujhse kahti thii suno jab ham bade honge ham apna ghar basaayenge to apne bete ko ham pyaar se taiyab bulaaenge abhii kuchh din hi beete the ki taiyab aa gaya ik din ye taiyab vo nahin tha jo mere KHvaabon ka hissa tha ye taiyab vo tha jo uski yaadon men rehta tha nahin samjhe ho jo ab bhi suno tumko main samjhaaoon main apni pahli mohabbat ka dooja ishq tha pyaare suna hai ab vo kahti hai suno taiyab suno taiyab kaho to apne bete ko aanand pukaare ab
Anand Raj Singh
7 likes
tumhaari yaad tumhaari yaad aate hi dil ko thaam leta hooñ tumhein hi yaad karta hun tumhaara naam leta hooñ tumhaari yaad laati hai tabassum mere chehre par khayaalon men sanvarta hooñ nikal aate sunhare par tumhaara yaad aanaa zindagi dushwaar hona hai tumhaari yaad kho j aanaa meraa beemaar hona hai tumhaari yaad aati hai to sabkuchh bhool jaata hooñ main jab kuchh bhool jaata hooñ tumhaari yaad aati hai tumhaari yaad aati hai to aañkhen band karta hooñ main aañkhen band karta hooñ tumhaari yaad aati hai tumhaari yaad aane se tumhaari yaad jaane tak jo waqfa bhi guzarta hai tumhaari yaad aati hai
S M Afzal Imam
10 likes
tum akeli nahin ho saheli tum akeli nahin ho saheli jise apne veeraan ghar ko sajaana tha aur ek shayar ke lafzon ko sach maan kar uski pooja men din kaatne thein tum se pahle bhi aisa hi ek KHvaab jhoothi tassalli men jaañ de chuka hai tumhein bhi vo ek din kahega ki vo tum se pahle kisi ko zabaan de chuka hai vo to shayar hai aur saaf zaahir hai shayar hawa ki hatheli pe likhi hui vo paheli hai jisne abad aur azl ke dareechon ko uljha diya hai vo to shayar hai shayar tamannaa ke sehraa men ram karne vaala hiran hai shobda shaas subaho ki pahli kiran hai adab gahe ulfat ka memaar hai aur KHud apne KHvaabon ka gaddaar hai vo to shayar hai shayar ko bas fikr loh kalam hai use koi dukh hai kisi ka na gham hai vo to shayar hai shayar ko kya khauf marne se shayar to KHud shah savaar-e-azal hai use kis tarah taal saka hai koi ki vo to atal hai main use jaanti hooñ saheli vo samandar ki vo lehar hai jo kinaaro se waapas palatte huye meri khurdaari adiyon pe lagii ret bhi aur mujhe bhi baha le gaya vo mere junglon ke darakhton pe baithi huyi shahad ki makkhiyaan bhi uda le gaya usne mere badan ko chhua aur meri haddiyon se vo nazmen qasee dii jinhen padhke main kaanp uthatii hooñ aur sochti hooñ ki ye masla dilbari ka nahin KHuda ki qasam kha ke kahti hooñ vo jo bhi kahtaa rahe vo kisi ka nahin saheli meri baat maano tum use jaanti hi nahin vo khuda-e-sipah-e-sukhan hai aur tum ek patthar pe naakhun. se likhi hui usii ki hi ek nazm
Tehzeeb Hafi
41 likes
ye ham kidhar ko chal rahe hain daryaon ne rukh mod diye darakhton se hare patte jhad rahe hain kadvi sharaab ke khaatir yaaron bechaare meethe phal sad rahe hain ye ham kidhar ko chal rahe hain naav nahin chalti ab baarish men kaaghaz ke jahaaz bhi kahaan udte hain bacchon ne khilauno ki zid chhod dii ab vo seedhe coding seekhte hain ye ham kidhar ko chal rahe hain daulat ke nashe men is had tak choor hain apnon ke khaatir apnon se door hain waqt-o-haalat ke kaarkhaane men maalik bhi majboori ke mazdoor hai ye ham kidhar ko chal rahe hain upanyaas ab koi nahin khareedta hai dastaan men lagte hain vaqt ke mehnge kharche bazaar saara mobile kha dakar gaya roz kitnon ke dhundhe pad rahe hain thande ye ham kidhar ko chal rahe hain shehron men sab rakhte hain kaam se kaam kaam ki matlab se matlab rakhte hain daur dooriyon ka aur vaqt faaslon ka gaavon men bhi kahaan pahle se mele padte hain ye ham kidhar ko chal rahe hain facebook par thehre yaar dost hazaar zaroorat padne par ginti ke chaar koi KHoon dene vaala nahin milta hai laik comment karne waale hain beshumaar ye ham kidhar ko chal rahe hain umr-daraaz doosri shaa dii kar rahe hain kacchi umr waale KHud-kushi kar rahe hain baat ye mazaak ki nahin ghaur karne ki hai zindagi sirf kaat rahe ham ya jee bhi rahe hain ye ham kidhar ko chal rahe hain daal baston ka bojh bacchon ke kandhon par laga rakha hai sabko kitaabon ki khoj men aazaa dii se pahle ka ho ya phir baad ka premchand ka watan aaj talak soz men ye ham kidhar ko chal rahe hain na dii mailee lagti jheel men utarne se darte hain tairne ke shauqeen swimming pool ko chalte hain beshak vaqt ki qadr pahle se kaafi badh gaii lekin gha dii ab sirf shauq se pehante hain ye ham kidhar ko chal rahe hain bachpan chhalaang kar seedhe bade ho rahe hain adhedh mar ga.e log seedhe boodhe ho rahe hain parwaane maafiq shama' ko machal rahe hain davaa kha ke bhi kitne jal dii jal rahe hain ye ham kidhar ko chal rahe hain
Jagveer Singh
6 likes
More from ZARKHEZ
the last goodbye
ZARKHEZ
0 likes
Hope
ZARKHEZ
0 likes
but-taraash tumhaare dil ne hamesha mujhse shikaayaten kii ki mere seene men dil nahin hai jo dooriyaan jaan-gusil nahin hain main chahta hooñ kabhi tum apni shikaayaton ke tamaam khanjar mere badan men shareek kar ke bade bade se suraakh kar do aur un men dekho mujhe yaqeen hai tumhein vahaañ ik haya taqalluf jhijhak ka maara rivaaj-o-rasm-e-jahan ka qaai dii milega jo KHud shadeed furqat ke pattharon par tumhaari soorat nikhaarta hai tumhaare but ko taraashta hai
ZARKHEZ
3 likes
shartein vo ek lamha jo uski meri ameek qurbat kii raushni tha hamaari dono kii zindagi tha ajeeb sharton pe jal raha hai vo lamha karvat badal raha hai vo kah rahi hai ki mujhse milne kii aarzoo tum jab itni ziyaada shadeed kar lo ki saans lene men mushkilein hon to mujh...ko aakar gale lagana aur apni saari ukhdati saanson kii qaid pariyaan chhuda le jaana lihaaza ik din main jaise taise tamaam apni ukhdati saanson kii qaid pariyaan bachaane niklaa chhudaane niklaa to bhed jaana kise khabar thii ki meri saansen jab ek manzil pe ja rukenge to uski shartein nakar denge vo ek lamha jo uski meri ameek qurbat kii raushni tha hamaari dono kii zindagi tha halaak sharton ko kar gaya hai kisi andhere men mar gaya hai
ZARKHEZ
4 likes
sawaal udaasiyon ke safar men jaanaan tumhaari yaadon ke saare zarre main andaroon se utha-utha kar guzishta lamhon kii rah-guzar par bikherta hooñ sametta hooñ tum hi batao ye saare zarre mere hi dasht-e-wujood ke hain ya phir tumhaari namood ke hain
ZARKHEZ
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on ZARKHEZ.
Similar Moods
More moods that pair well with ZARKHEZ's nazm.







