tum akeli nahin ho saheli tum akeli nahin ho saheli jise apne veeraan ghar ko sajaana tha aur ek shayar ke lafzon ko sach maan kar uski pooja men din kaatne thein tum se pahle bhi aisa hi ek KHvaab jhoothi tassalli men jaañ de chuka hai tumhein bhi vo ek din kahega ki vo tum se pahle kisi ko zabaan de chuka hai vo to shayar hai aur saaf zaahir hai shayar hawa ki hatheli pe likhi hui vo paheli hai jisne abad aur azl ke dareechon ko uljha diya hai vo to shayar hai shayar tamannaa ke sehraa men ram karne vaala hiran hai shobda shaas subaho ki pahli kiran hai adab gahe ulfat ka memaar hai aur KHud apne KHvaabon ka gaddaar hai vo to shayar hai shayar ko bas fikr loh kalam hai use koi dukh hai kisi ka na gham hai vo to shayar hai shayar ko kya khauf marne se shayar to KHud shah savaar-e-azal hai use kis tarah taal saka hai koi ki vo to atal hai main use jaanti hooñ saheli vo samandar ki vo lehar hai jo kinaaro se waapas palatte huye meri khurdaari adiyon pe lagii ret bhi aur mujhe bhi baha le gaya vo mere junglon ke darakhton pe baithi huyi shahad ki makkhiyaan bhi uda le gaya usne mere badan ko chhua aur meri haddiyon se vo nazmen qasee dii jinhen padhke main kaanp uthatii hooñ aur sochti hooñ ki ye masla dilbari ka nahin KHuda ki qasam kha ke kahti hooñ vo jo bhi kahtaa rahe vo kisi ka nahin saheli meri baat maano tum use jaanti hi nahin vo khuda-e-sipah-e-sukhan hai aur tum ek patthar pe naakhun. se likhi hui usii ki hi ek nazm
Related Nazm
mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain
Tehzeeb Hafi
161 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
Nazm ik baras aur kat gaya shariq roz saanson ki jang ladte hue sab ko apne KHilaaf karte hue yaar ko bhoolne se darte hue aur sab se badaa kamaal hai ye saansen lene se dil nahin bharta ab bhi marne ko jee nahin karta
Shariq Kaifi
46 likes
kacchi umr ke pyaar ye kacchi umr ke pyaar bhi bade pakke nishaan dete hain aaj par kam dhyaan dete hain bahke bahke bayaan dete hain unko dekhe hue muddat hui aur ham ab bhi jaan dete hain kya pyaar ek baar hota hai nahin ye baar-baar hota hai to phir kyuuñ kisi ek ka intizaar hota hai vahii to saccha pyaar hota hai achha pyaar bhi kya insaan hota hai kabhi saccha kabhi jhoota be-iimaan hota hai uski ragon men bhi kya khaandaan hota hai aur maqsd-e-hayaat nafa nuqsaan hota hai pyaar to pyaar hota hai
Yasra rizvi
47 likes
More from Tehzeeb Hafi
kitna arsa laga na-ummee dii ke parbat se patthar hataate hue ek bifri hui lehar ko raam karte hue na-khudaon men ab peeche kitne bache hain raushni aur andhere ki tafriq men kitne logon ne aañkhen ganwa deen kitnii sadiyaan safar men guzaari magar aaj phir us jagah hain jahaan se ha men apni maon ne ruksat kiya tha apne sab se bade KHvaab ko apni aankhoñ ke aage ujdate hue dekhne se bura kuchh nahin hai teri qurbat men ya tujh se doori pe jitni guzaari teri chudiyon ki qasam zindagi daayron ke siva kuchh nahin hai kuhaniyon se ha men apna munh dhanp kar khaasne ko badon ne kaha tha to ham un pe hanste the aur sochte the ki un ko tissue-papero ki mahak se allergy hai lekin ha men ye pata hi nahin tha ki un pe vo aafat tooti hain jin ka ha men ik sa dii baa'd phir saamna hai vaba ke dinon men kise hosh rehta hai kis haath ko chhodna hai kise thaamna hai ik riyaazi ke ustaad ne apne haathon men parkaar le kar ye duniya nahin dayra kheenchana tha KHair jo bhi hua tum bhi purkhon ke naqsh-e-qadam par chalo aur apni hifazat karo kuchh maheene tumhein apne tasmee nahin baandhne is se aage to tum pe hai tum apni manzil pe pahuncho ya phir raaston men raho is se pahle ki tum apne mahboob ko ventilator pe dekho gharo men raho
Tehzeeb Hafi
21 likes
mujhe bahut hai ke main bhi shaamil hooñ teri zulfon ki zaireeno men jo amaavas ki kaali raaton ka rizq banne se bach ga.e mujhe kasam hai udaas raaton men dasne waale yateem saanpon ki zahar-aalood zindagi ki tere chhue jism bistar-e-marg par pade hain tere labon ki khifee jumbish se zalzalon ne zameen ka zevar utaar fenka teri darkhaan hateliyon par badalte mausam ke jaaykon se pata chala hai ke is talluq ki sar zameen par kheejaa bahut der tak rahegi main jaanta hooñ ke maine mamnoo shahon se ho ke aise bahut se babon ki sair ki hai jahaan se tu rokti bahut thii ye haath jinko tere badan ki chamak ne barso nidhaal rakha haraam hai ke inhonne shaakhon se phool tode ho ya kisi bhi ped ke lachakdaar bajuon se kisi bhi mausam ka fal utaara ho aur agar aisa ho bhi jaata to phir bhi teri sharisht men inteqaam kab hai abhii mohabbat ki subah roshan hai shaam kab hai ye dil ke sheeshe par padne waali malaal ki dhool saaf kar de main tujh se chhup kar agar kisi se mila to mujhe muaaf kar de
Tehzeeb Hafi
25 likes
subhen raushan thii aur garmiyon ki thaka dene waale dinon men saari duniya se azaad ham machliyon ki tarah mailee nahron men gote lagaate apne chehron se keechad lagaakar daraate the ek doosre ko kinaaron par baithe hue hamne jo ahd ek doosre se li.e the uske dhuñdhle se naqshe aaj bhi mere dil par kahii naksh hai KHuda roz suraj ko taiyaar karke hamaari taraf bhejta tha aur ham saaya-e-kufr men ik dooje ke chehre ki taabindagi ki dua maangte theus ka chehra kabhi meri aankhoñ se ojhal nahin ho sakaa uskaa chehra agar meri aankhoñ se hatta to main kaaynaaton men phaile hue un mazaahir ki tafheem nazmon men karta ki jis par bazid hai ye beemaar jin ko KHud apni tamannaon ki aatmaon ne itnaa daraaya ki inko havas ke qafas men mohabbat ki kirnon ne choone ki koshish bhi ki to ye us se pare ho ga.e inke bas men nahin ki ye mehsoos karte ek mohabbat bhare haath ka lams jinse inkaar kar kar ke inke badan khurdure ho ga.e ek din jo KHuda aur mohabbat ki ek qist ko agle din par nahin taal sakte KHuda aur mohabbat par raaye-zani karte thakte nahin aur is par bhi ye chahte hain ki main inki marzi ki naz men kahooñ jin men in ki tashaffi ka samaan ho aadmi padh ke hairaan ho jis ko ye ilm kahte hai us ilm ki baat ho falsafa deen taarikh science samaaj aqeeda zabaan-e-maashi musawaat insaan ke rang-o-adaat-o-atwaar ijaad taqleed amn intishaar lenin ki azmat ke kisse fitri balaaon se aur devataaon se jang sulh-naama li.e tez raftaar ghodon par sah men sipaahi naziya-e-samaawaat men kaan men kya kaha aur uski juraabon ke feeton ki dibiyaa keemiya ke khazaanon ka munh kholne vaala baabul kaun tha jis ne paare ko patthar men dhaala aur harshal ki aankhe jo bas aasmaanon par rahtii kya vo ingland ka mohsin nahin samandar ki taskheer aur atlantic pe aabaadiyaan machliyaan kashtiyon jaisi kyuuñ hai aur rafael ke haath par matti kaise lagii kya ye nietzsche ka matlab bhi nishte ki tarah nahin to nahin hai ye sawaal aur ye saari baatein mere kis kaam ki pichhle das saal se uski awaaz tak main nahin sun sakaa aur ye poochte hai ki hegel ke nazdeek taarikh kya hai
Tehzeeb Hafi
18 likes
main sapnon men oxygen plant install kar raha hooñ aur har marne waale ke saath mar raha hooñ main apne lafzon ke jariye tumhein saanson ke cylinder bhejoonga jo tumhein is jang men haarne nahin denge aur tumhaari dekhbhaal karne waalon ke haathon ko kaampane nahin denge oxygen stock khatm hone ki khabren gardish bhi karen to kya main tumhaare li.e apni nazmon se ventilator banaoonga aspataalon ke bistar bhar bhi jaayen kuchh log tumse bichhad bhi jaayen to hausla mat haarna kyunki raat chahe jitni marzi kaali ho guzar jaane ke li.e hoti hai rang utar jaane ke li.e hote hain aur zakham bhar jaane ke hote hain
Tehzeeb Hafi
46 likes
taarikh kya hai subah roshan thii aur garmiyon ke thaka dene waale dinon men saari duniya se azaad ham machliyon ki tarah mailee nehron men gote lagaate apne chehre pe keechad laga kar daraate thein ek doosre ko kinaaro pe baithe huye hamne jo ahd ek doosre se liye thein uske dhundle se naqshe aaj bhi mere dil par kahii naksh hain KHuda roz suraj ko taiyaar karke hamaari taraf bhejta tha aur ham saaya-e-kufr men ek dooje ke chehre ki taabindagi ki dua maangte thein uskaa chehra kabhi meri aankhoñ se ojhal nahin ho sakaa uskaa chehra agar meri aankhoñ se hatta to main kaayenaat men phaile huye un mazaahir ki tafeem nazmon men karta ki jis par bazid ne ye beemaar jinn ko KHud apni tamannoon ki aatmaon ne itnaa daraaya ke inko havas ke kaaf men mohabbat ki kiranoon ne choone ki koshish bhi ki to ye usse pare ho gaye inke bas men nahin ki ye mehsoos karte ik mohabbat bhare haath ka lams jisse inkaar kar karke inke badan khuradare ho gaye ek din jo KHuda aur mohabbat ki ik kist ko agle din par nahin taal sakte KHuda aur mohabbat pe raayzni karte thakte nahin aur is par bhi ye chahte hain ki main inki marji ki naz men kahooñ jin men inki tashaffi ka samaan ho aadmi padhke hairaan ho jis..ko ye ilm kahte hain us ilm ki baat ho falsafa deen taarikh saay samaaj aqeeda zabaan maashi mashaavaat insaan ke rang-o-aadaaton atwaar ijaad takleed aml intishaar nainan ki azmad ke qisse khitri balaaon se aur devataaon se jang sulhaanaama liye tez raftaar ghodon pe sah men sipaahi nazariya-e-samaavaat ke kaat ne kya kaha aur uske juraabon ke feiton ki dibbiyaan kimiyaan ke khazaanon ka munh kholne vaala baabl kaun tha jisne paare ko patthar men dhaala aur harshal ki aañkhen jo bas aasmaanon pe rahtii kya vo iglend ka mosin nahin samandar ki takseer aur atlantic pe aabaadiyaan machliyaan qashtio jaisi kyuuñ hain aur rafael ke haath par miTTi kaise lagii ye sawaal aur ye saari baate mere kis kaam ki pichhle das saal se uski awaaz tak main nahin sun sakaa aur ye poochte hain ki hegel ke nazdeek taarikh kya hai
Tehzeeb Hafi
26 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's nazm.







