nazmKuch Alfaaz

1 ye bachcha kaisa bachcha hai ye bachcha kaala kaala sa ye kaala sa matiyaala sa ye bachcha bhooka bhooka sa ye bachcha sookha sookha sa ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha kaisa bachcha hai jo ret pe tanhaa baitha haina is ke pet men roti haina is ke tan par kapda haina is ke sar par topi haina is ke pair men joota haina is ke paas khilauno men koi bhaalu hai koi ghoda haina is ka jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina is ki jeb men dhela haina is ke haath men paisa haina is ke ammi abboo hainna is ki aapa khaala hai ye saare jag men tanhaa hai ye bachcha kaisa bachcha hai 2 ye sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai ye sehra bhook ka sehra hai ye sehra maut ka sehra hai 3 ye bachcha kaise baitha hai ye bachcha kab se baitha hai ye bachcha kya kuchh poochta hai ye bachcha kya kuchh kahtaa hai ye duniya kaisi duniya hai ye duniya kis ki duniya hai 4 is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal ataariyaan hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje ye resham hai ye deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhook ke dukh ki duniya men ye kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain ye kis duniya ka hissa hai 5 ham jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai ye gora hai ya kaala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab pachchham farq nahin is dharti par haq sab ka hai 6 ye tanhaa bachcha be-chaara ye bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhook mite kya mushkil hai ho saka hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bah teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhe kaisa bachcha hai ye kitna pyaara bachcha hai 7 is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai vo sab ka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sab ka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai vo daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai vo saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha sab ka bachcha hai

Related Nazm

zindagi zindagi ek ladke ka man hai jise bas akelaa hi beeraan ke guband ke peeche bane lawn men raqs karti hui aur bikhrti hui neem ke ped ki pattiyaan dekhni hain zindagi ek bacche ki zid hai jise koi duniya nahin sirf phoolon pe baithi hui titliyan dekhni hain zindagi ek jogan ke pairo'n ke padne pe nikli hui taal se maat khaata hua ek mridang hai zindagi zindagi ke nashe men hi doobe hue ek musavvir ki koochi se chhitkaa hua rang hai zindagi apne mahboob ko apni baanhon men be-KHauf sote hue dekhna hai aur use choomne ki KHvaahish ka dil men na aanaa hai zindagi ik na dii ke kinaare pe chupchaap baithe hue din bit aanaa hai zindagi zinda rahne ka achha bah aanaa hai zindagi mere kamre ke baahar banii balkani men badalte hue mausamon ka mazaa le rahi billiyaan hain zindagi baar baar aaina dekhkar KHud pe marti hui apni tasveerein letii hui baavli ladkiyaan hain zindagi apni masti men doobi hui gungunaati hui lakdiyaan beenne door jaati hui ek pahaadan ke gaalon pe bikhri hui dhoop hai ghaur se dekhne par pata chaltaa hai zindagi har jagah har dafa apna KHud ka hi badla hua roop hai ye kitaabon ka duniya ka logon ka koi ganit uske bilkul bhi palle nahin pad raha zindagi ek naaraz bachcha hai jo maar khaakar bhi school bas men nahin chadh raha zindagi meraa dil hai jo har ik naye zakhm par mujhse bilkul nayi shayari chahta hai zindagi shayari se bhi aage ka kuchh hai jahaan likhne vaala likhe isse pahle kaii roz tak KHaamushi chahta hai zindagi se main zyaada mila to nahin par mujhe itni pahchaan hai zindagi shaahjaa dii ke jhumke nahin uski muskaan hai zindagi mere seene men barson se faila bayaabaan hai zindagi apni soorat men sab kuchh hai lekin ispe ab bhi yahii ek ilzaam hai zindagi maut ka doosra naam hai KHair ab main chaloon mujh...ko tanhaaiyon se bahut kaam hai

Vikram Gaur Vairagi

5 likes

"Parichay garibi ka"

Navneet krishna

8 likes

suna hai suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai suna hai she'r ka jab pet bhar jaa.e to vo hamla nahin karta darakhton ki ghani chaanv men ja kar late jaata hai hawa ke tez jhonke jab darakhton ko hilaate hain to maina apne bacche chhod kar kawwe ke andon ko paron se thaam letii hai suna hai ghonsle se koi bachcha gir pade to saara jungle jaag jaata hai suna hai jab kisi nad dii ke paani men bae ke ghonsle ka gandumee rang larzata hai to nad dii ki ruphali machliyaan us ko pardosan maan letii hain kabhi toofaan aa jaa.e koi pul toot jaa.e to kisi lak dii ke takhte par gilhari saanp bakri aur cheeta saath hote hain suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai khudaavanda jaleel o mo'tabar daana o beena munsif o akbar mere is shahar men ab junglon hi ka koi qaanoon naafiz kar

Zehra Nigaah

4 likes

tanhaaii tira sansaar jeene ke li.e kab tha yahaañ aa.e hain marne ke li.e ham sab wahin karne hooñ aaya kar raha hooñ main to dar kaisa vaba men bheed marti hain hamaara to nahin koi yahaañ ulta hua hain sab ke sab ek rog se zakhmi talab jo thii davaa hain ab vo tanhaaii main ek toota hua taara karega jo dua is baar tumhaare salaamat ki

Vikas Rajput

3 likes

hijr manaane kyun nahin dete jaanaan ye mere aas-paas jama khushnumaa log tumhaara hizr manaane kyun nahin dete ye mujhe rone kyun nahin dete gar seene men dard ho to rona zabt kyun ho inhen to maaloom hi nahin rote kyun hai dard kaisa hota hai jeete-ji maut kya hoti hai tum to jaanti ho jaanaan aao aur inhen batlaao ye mere aas-paas jama khushnumaa log tumhaara hizr manaane kyun nahin dete ye mujhe rone kyun nahin dete gar rona zabt hai chashma nam kyun banaya gaya in logon ko bhi to kabhi aata hogaa rona phir mujhe kyun rokte hain tumhi batlaao jaanaan jiska dil mar chuka ho duniyaan nazro ke saamne raakh ho jaa.e vo jo apni haalat par gaur karne se dartaa ho logon ke kah-kaho se sahm jaata ho jiske seene men dard thehra ho jo palken jhapakne se bhi dartaa ho jiski aankhoñ men ab maut khwaab bankar rahtii ho sheeshon se bhi khau khaane lage kya kare...gar aansoo aane lagen tum to jaanti ho jaanaan aao aur inhen batlaao inhen batlaao ki kyun naala-e-dard gale men kharaashe na dale cheek-cheek kar koi kyun seene men daraaren na dale aansuon ke zor se chashmen chatkha na dale main rota hooñ haan kyunki mere aab deeda hain in men itnaa paani hai ki sab kuchh baha sakaa hooñ phir kyun ye dard nahin baha sakaa tumhaara hizr nahin manaa sakaa tum to jaanti ho jaanaan aao aur inhen batlaao ye mere aas-paas jama khushnumaa log tumhaara hizr manaane kyun nahin dete ye mujhe rone kyun nahin dete

Navneet Vatsal Sahil

4 likes

More from Ibn E Insha

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

Ibn E Insha

0 likes

munni tere daant kahaan hain daant the main ne doodh pila kar saath baras men pale aa kar un ko le ga.e chuhe lambi monchoń waale gud ka un ko maat mila tha meetha aur mazedaar laakh khushamad kar ke mujh se le li.e daant udhaar munni tere daant kahaan hain billi thii ik maami mausi chupke chupke aayi panjo par thii deg ki khurchan honton par baalaai boli gud ke maat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadho-aadh rahega de do daant udhaar munni tere daant kahaan hain baa'd men boodha moti aaya ronee shakl banaaye bola bibi is billi ka kuchh to karen u paa.e doodh na chhode gosht na chhode hain buddha laachaar is ko karoon shikaar jo mujh ko de do daant udhaar achchhii munni tum ne apne itne daant ganwaaye kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne paa.e baaki jo do-chaar rahe hain vo ham ko dilvaao ik daawat men aaj milenge tikke aur polaav murgi ke paa.e ka saalan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se maanguun haan diye udhaar baba haan haan diye udhaar munni tere daant kahaan hain

Ibn E Insha

0 likes

lab par naam kisi ka bhi ho dil men teraa naqsha hai ai tasveer banaane waali jab se tujh ko dekha hai be-tere kya vehshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukoon tu hi apna shahar hai jaani tu hi apna sehra hai neele parbat udi dharti chaaron koot men tu hi tu tujh se apne jee ki khilwat tujh se man ka mela hai aaj to ham bikne ko aa.e aaj hamaare daam laga yusuf to baazaar-e-wafa men ek tike ko bikta hai le jaani ab apne man ke pairaahan ki girhen khol le jaani ab aadhi shab hai chaar taraf sannaata hai toofaanon ki baat nahin hai toofaan aate jaate hain tu ik narm hawa ka jhonka dil ke baagh men thehra hai ya tu aaj ha men apna le ya tu aaj hamaara ban dekh ki vaqt guzarta jaa.e kaun abad tak jeeta hai farda mahaj fusoon ka parda ham to aaj ke bande hain hijr o vasl vafaa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakha hai

Ibn E Insha

0 likes

yuñ kehne ko raahen mulk-e-wafaa ki ujaal gaya ik dhund mili jis raah men paik-e-khyaal gaya phir chaand ha men kisi raat ki god men daal gaya ham shahar men thehre aisa to jee ka rog nahin aur ban bhi hain soone un men bhi ham se log nahin aur kooche ko tere lautne ka to sawaal gaya tire lutf-o-ata ki dhoom sahi mehfil mehfil ik shaKHs tha insha naam-e-mohabbat men kaamil ye shaKHs yahaañ paamaal raha paamaal gaya tiri chaah men dekha ham ne b-haal-e-kharaab ise par ishq o vafaa ke yaad rahe aadaab ise tira naam o maqaam jo poocha hañs kar taal gaya ik saal gaya ik saal naya hai aane ko par vaqt ki bhi ab hosh nahin deewane ko dil haath se is ke wahshi hiran ki misaal gaya ham ahl-e-wafa ranjoor sahi majboor nahin aur shehr-e-wafa se dasht-e-junoon kuchh door nahin ham KHush na sahi par tere sar ka vabaal gaya ab husn ke gadh aur shahr-panahein sooni hain vo jo aashna the un sab ki nigaahen sooni hain par tu jo gaya har baat ka jee se malaal gaya

Ibn E Insha

0 likes

tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e vaqt ki be-unwaan kahaanii kab tak be-unwaan rahe ai mire soch-nagar ki raani ai mire khuld-e-khyaal ki hoor itne dinon jo main ghulta raha hooñ tere bina yoonhi door hi door soch to kya phal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya shehar-e-watan men ajnabi thehra aaKHir shehar-e-watan se gaya rooh ki pyaas bujhaani thii par yahaañ honton ki pyaas bhi bujh na saki bachte sambhalte bhi ek sulagta rog banii mire jee ki lagii door ki baat na soch abhii mire haath men tu zaraa haath to de tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e baagh men hai ik belee ka takhta bheenee hai is belee ki sugandh ai kaliyo kyun itne dinon tum rakhe raheen ise god men band kitne hi ham se roop ke rasiya aa.e yahaañ aur chal bhi diye tum ho ki itne husn ke hote ek na daaman thaam sake sehan-e-chaman par bhaunroń ke baadal ek hi pal ko chhaayenge phir na vo ja kar laut sakenge phir na vo ja kar aayenge ai mire soch-nagar ki raani vaqt ki baatein rang aur boo har koi saath kisi ka dhunde gul hon ki belee main hooñ ki tu jo kuchh kehna hai abhii kah le jo kuchh sunna hai sun le tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e dil ki na poochho kya kuchh chahe dil ka to faila hai daaman geet se gaal ghazal si aañkhen saad-e-seemeen barg-e-dahan jude ke inheen phoolon ko dekho kal ki si in men baas kahaan ek ik taara kar ke doobi maathe ki tannaaz afshaan sahne ka dukh sah na sake ham kehne ki baatein kah na sake paas tire k abhii aa na sake ham door bhi tujh se rah na sake kis se kahe ab rooh ki bipata kis ko sun aa.e man ki baat door ki raah bhatkata raahi jeevan-raat ghaneeri raat honton ki pyaas bujhaani hai ab tire jee ko ye baat lage na lage tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere li.e nahin apne li.e

Ibn E Insha

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.