suna hai suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai suna hai she'r ka jab pet bhar jaa.e to vo hamla nahin karta darakhton ki ghani chaanv men ja kar late jaata hai hawa ke tez jhonke jab darakhton ko hilaate hain to maina apne bacche chhod kar kawwe ke andon ko paron se thaam letii hai suna hai ghonsle se koi bachcha gir pade to saara jungle jaag jaata hai suna hai jab kisi nad dii ke paani men bae ke ghonsle ka gandumee rang larzata hai to nad dii ki ruphali machliyaan us ko pardosan maan letii hain kabhi toofaan aa jaa.e koi pul toot jaa.e to kisi lak dii ke takhte par gilhari saanp bakri aur cheeta saath hote hain suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai khudaavanda jaleel o mo'tabar daana o beena munsif o akbar mere is shahar men ab junglon hi ka koi qaanoon naafiz kar
Related Nazm
banda aur KHuda ek mukhtasar si kahaanii hai jo zafar ki muh-zabaani hai ye hukoomat aasmaani hai har maKHlooq roohani hai ye KHuda ki meherbaani hai ki sajdon men jhukti peshaani hai ye saari duniya faani hai har shaKHs ko maut aani hai ye insaaniyat ayyaashi ki deewani hai har shaKHs ki dhalti jawaani hai qudrat ki pakad se koi nahin bacha ye aa rahe azaab qayamat ki nishaani hai ye logon ki gumaahi aur badi nadaani hai ki kahaan u uupar KHuda ko shakl ha men dikhaani hai
ZafarAli Memon
20 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
rahne ko sadaa dehr men aata nahin koi tum jaise ga.e aise bhi jaata nahin koi dartaa hoon kahii khushk na ho jaa.e samundar raakh apni kabhi aap bahaata nahin koi ik baar to KHud maut bhi ghabra gaii hogii yoon maut ko seene se lagata nahin koi maana ki ujaalon ne tumhein daagh diye the be-raat dhale shama bujhaata nahin koi saaqi se gilaa tha tumhein may-khaane se shikwa ab zahar se bhi pyaas bujhaata nahin koi har subh hila deta tha zanjeer zamaana kyun aaj deewane ko jagaata nahin koi ar thii to utha lete hain sab ashk baha ke naaz-e-dil-e-betaab uthaata nahin koi
Kaifi Azmi
42 likes
ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii
Tehzeeb Hafi
236 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zehra Nigaah.
Similar Moods
More moods that pair well with Zehra Nigaah's nazm.







