haan dekha kal ham ne us ko dekhne ka jise armaan tha vo jo apne shahar se aage qarya-e-baag-o-bahaarań tha soch raha hooñ jang se pahle jhulsi si is bastii men kaisa kaisa ghar ka maalik kaisa kaisa mehmaan tha sab galiyon men tarnajan the aur har tarnajan men sakhiyaan theen sab ke jee men aane waali kal ka shauq-e-faraavan tha melon theloń bajon gaanjoń baaraton ki dhoomen theen aaj koi dekhe to samjhe ye to sadaa biyaabaan tha chaaron jaanib thande choolhe ujde ujde aangan hain warna har ghar men the kamre har kamre men saamaan tha ujli aur pur-noor shabeehein roz namaaz ko aati theen masjid ke in taqon men bhi kya kya diya farozaan tha ujadi mandi laaghar kutte toote khambhe khaali khet kya is nahar ke pul ke aage aisa shehr-e-khamaoshaan tha aaj ki ik roti ki khaatir card dikhaata firta hai poore kamp ko roti de de aisa aisa dahkaan tha taab nahin har ek se poochen baba tujh par kya guzri ek ko rok ke poocha ham ne seena us ka baryań tha bola log to aayen jaayen bastii ko phir basna hai mere tinkon ki khaatir aaya saara toofaan tha aag ke andar aur tapish hai aag ke baahar aur hi aanch shaayad koi deewana hogaa be-shak chaak-girebaan tha
Related Nazm
haal-e-dil meri dilruba tum khoobsurat ho soorat se nahin seerat se mujhe tumhaari seerat se muhabbat hai isi li.e seerat ka jaanta hooñ sharm dahshat pareshaani jinhen sukhnavaron kaviyaan ne ishq kii lazzat bataaya hai filhaal ye mere darmiyaañ aa rahe hain bahaal meri chahten tumhaare nafs men dhadkati hain zinda rahtii hain maine tumhein dekha hai dekhte hue mujhe chahte hue mujhe sochte hue aur mere li.e pareshaan hote hue vaise chaahat ho to kehna laazmi hota hai zaroori hota hai lekin ishq kii qaaynaat men lafz KHaamosh rahte hain aur nigaahein baat kar letii hain mujhe pata hai ek din tum meri nigahon se baat kar logi pooch logi aur tumhein javaab milega haan main bhi chahta hooñ khoob chahta hooñ vaise main bhi apne nagmon apni ghazlon men muhabbat khoob likhta hooñ haalaanki sadaqat ye hai ki main bhi kehne men khauf khaata hooñ vaise bura na maanna ki maine tumse kabhi izhaar nahin kiya soch lena ki theory aur practical men farq hota hai khairab jo meraa maujooda haal hai vo ye hai ki aa.e din dil aur dimaagh mas'ala khada kar dete hain dil kahtaa hai tum khoobsurat ho dimaagh kahtaa hai manzil pe ikhtiyaar karo bahaal tum khoobsurat ho tum ziyaada khoobsurat ho tum sabse ziyaada khoobsurat ho tum hi khoobsurat ho
Rakesh Mahadiuree
25 likes
kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
banda aur KHuda ek mukhtasar si kahaanii hai jo zafar ki muh-zabaani hai ye hukoomat aasmaani hai har maKHlooq roohani hai ye KHuda ki meherbaani hai ki sajdon men jhukti peshaani hai ye saari duniya faani hai har shaKHs ko maut aani hai ye insaaniyat ayyaashi ki deewani hai har shaKHs ki dhalti jawaani hai qudrat ki pakad se koi nahin bacha ye aa rahe azaab qayamat ki nishaani hai ye logon ki gumaahi aur badi nadaani hai ki kahaan u uupar KHuda ko shakl ha men dikhaani hai
ZafarAli Memon
20 likes
baatein main aur meri qalam akshar baat karte hain ye chaand suraj kya lagte hain ye dono uski aañkhen hain to phir ye taare kya hain sab taare uski baali hain to baadal kya lagte hain phir ye baadal uski zulfen hain to indradhanush kya lagta hai ye indradhanush hai nath uski ye mausam kya lagte hain phir sab mausam uske nakhray hain to phir hawa kya lagti hai hawa to uskaa aanchal hai ye nadiyaan to phir rah gayeen ye nadiyaan uskaa kangan hain to phir samandar kya hua ye samandar paayal hai uski phir prakriti kya lagti hai ye prakriti uski saadi hai ye poori dharti rah gaii ye dharti uski god hai in sab men phir tum kya ho mujh...ko uskaa dil samajh lo tumhaara dil phir kya hua uske dil men phool samajh lo uske dil men ugta hai uske dil men khilta hai us men hi phir milta hai roz subah se raat tak dekhne mujh...ko aata hai saath vo har pal chaltaa hai kangan paayal khanakata hai chhatk kar apni zulfen vo jal mujh par barsaata hai nath pehanta hai vo KHud kaajal vo mujhe lagata hai god men rakh kar sir meraa aanchal se laad ladaata hai baat nahin karta hai vo par roz milne aata hai uskaa meraa jo bhi hai bahut puraana naata hai paas vo harpal rehta hai par yaad bahut vo aata hai bas yaad bahut vo aata hai main aur meri qalam akshar ye baat karte hain
Divya 'Kumar Sahab'
27 likes
main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ
Gulzar
107 likes
More from Ibn E Insha
lab par naam kisi ka bhi ho dil men teraa naqsha hai ai tasveer banaane waali jab se tujh ko dekha hai be-tere kya vehshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukoon tu hi apna shahar hai jaani tu hi apna sehra hai neele parbat udi dharti chaaron koot men tu hi tu tujh se apne jee ki khilwat tujh se man ka mela hai aaj to ham bikne ko aa.e aaj hamaare daam laga yusuf to baazaar-e-wafa men ek tike ko bikta hai le jaani ab apne man ke pairaahan ki girhen khol le jaani ab aadhi shab hai chaar taraf sannaata hai toofaanon ki baat nahin hai toofaan aate jaate hain tu ik narm hawa ka jhonka dil ke baagh men thehra hai ya tu aaj ha men apna le ya tu aaj hamaara ban dekh ki vaqt guzarta jaa.e kaun abad tak jeeta hai farda mahaj fusoon ka parda ham to aaj ke bande hain hijr o vasl vafaa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakha hai
Ibn E Insha
0 likes
shehr-e-dil ki galiyon men shaam se bhatkte hain chaand ke tamannaai be-qaraar saudaai dil-gudaaz taarikee rooh-o-jaan ko dasti hai rooh-o-jaan men bastii hai shehr-e-dil ki galiyon men taak shab ki belon par shabnameen sarishkon ki be-qaraar logon ne be-shumaar logon ne yaadgaar chhodi hai itni baat thodii hai sad hazaar baatein theen heelaa-e-shakebaai sooraton ki zebaai kaamton ki raa'naai in siyaah raaton men ek bhi na yaad aayi jaa-ba-jaa bhatkte hain kis ki raah takte hain chaand ke tamannaai ye nagar kabhi pahle is qadar na veeraan tha kehne waale kahte hain qarya-e-nigaaraan tha KHair apne jeene ka ye bhi ek saamaan tha aaj dil men veeraani abr ban ke ghir aayi aaj dil ko kya kahiye ba-wafa na harjaai phir bhi log deewane aa ga.e hain samjhaane apni vahshat-e-dil ke bun li.e hain afsaane khush-khyaal duniya ne garmiyaan to jaati hain vo rutein bhi aati hain jab malool raaton men doston ki baaton men jee na chain paayega aur oob jaayega aahaton se goonjegi shehr-e-dil ki pahnaai aur chaand raaton men chaandni ke shaidai har bahaane niklengay aazmaane niklengay aarzoo ki gehraai dhoondhne ko ruswaai sard sard raaton ko zard chaand bakhshishga be-hisaab tanhaaii be-hijaab tanhaaii shehr-e-dil ki galiyon men
Ibn E Insha
0 likes
ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata
Ibn E Insha
0 likes
munni tere daant kahaan hain daant the main ne doodh pila kar saath baras men pale aa kar un ko le ga.e chuhe lambi monchoń waale gud ka un ko maat mila tha meetha aur mazedaar laakh khushamad kar ke mujh se le li.e daant udhaar munni tere daant kahaan hain billi thii ik maami mausi chupke chupke aayi panjo par thii deg ki khurchan honton par baalaai boli gud ke maat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadho-aadh rahega de do daant udhaar munni tere daant kahaan hain baa'd men boodha moti aaya ronee shakl banaaye bola bibi is billi ka kuchh to karen u paa.e doodh na chhode gosht na chhode hain buddha laachaar is ko karoon shikaar jo mujh ko de do daant udhaar achchhii munni tum ne apne itne daant ganwaaye kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne paa.e baaki jo do-chaar rahe hain vo ham ko dilvaao ik daawat men aaj milenge tikke aur polaav murgi ke paa.e ka saalan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se maanguun haan diye udhaar baba haan haan diye udhaar munni tere daant kahaan hain
Ibn E Insha
0 likes
phailta phailta shaam-e-gham ka dhuaan ik udaasi ka tanta hua saaebaan unche unche minaaron ke sar pe ravaan dekh pahuncha hai aaKHir kahaan se kahaan jhaankta soorat-e-khel-e-aawaargaan ghurfa ghurfa bahar kaakh-o-koo shahar men dafatan sail-e-zulmaat ko cheerata jal utha door bastii ka pehla diya panchiyon ne bhi pachhim ka rastaa liya KHair jaao azeezo magar dekhna ek jugnoo bhi mish'aal si le ke chala hai use bhi koi justuju shahar men aasmaañ par ravaan sur main baadlo haan tumheen kya udo aur unche udo baagh-e-aalam ke taaza shagufta guloo be-niyaazaana mahka karo KHush raho lekin itnaa bhi socha kabhi zaalimo ham bhi hain aashiq-e-rang-o-boo shahar men koi dekhe ye majbooriyaan dooriyaan ek hi shahar men ham kahaan tum kahaan doston ne bhi chhodi hain dil-daariyaan aaj waqf-e-gham-e-ulfaat-e-raaegaan ham jo firte hain vehshat-zada sargiraan the kabhi saahib-e-aabroo shahar men log taano se kya kya jataate nahin aise raahi to manzil ko paate nahin jee se ik doosre ko bhulaate nahin saamne bhi magar aate jaate nahin aur jaayen to aañkhen milaate nahin haaye kya kya nahin guftugoo shahar men chaand niklaa hai daaghoon ki mish'aal li.e door girja ke minaaron ki ot se aa mirii jaan aa ek se do bhale aaj phere karen koocha-e-yaar ke aur hai kaun dard-aashna baawre ek main shahar men ek tu shahar men
Ibn E Insha
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn E Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.







