nazmKuch Alfaaz

phailta phailta shaam-e-gham ka dhuaan ik udaasi ka tanta hua saaebaan unche unche minaaron ke sar pe ravaan dekh pahuncha hai aaKHir kahaan se kahaan jhaankta soorat-e-khel-e-aawaargaan ghurfa ghurfa bahar kaakh-o-koo shahar men dafatan sail-e-zulmaat ko cheerata jal utha door bastii ka pehla diya panchiyon ne bhi pachhim ka rastaa liya KHair jaao azeezo magar dekhna ek jugnoo bhi mish'aal si le ke chala hai use bhi koi justuju shahar men aasmaañ par ravaan sur main baadlo haan tumheen kya udo aur unche udo baagh-e-aalam ke taaza shagufta guloo be-niyaazaana mahka karo KHush raho lekin itnaa bhi socha kabhi zaalimo ham bhi hain aashiq-e-rang-o-boo shahar men koi dekhe ye majbooriyaan dooriyaan ek hi shahar men ham kahaan tum kahaan doston ne bhi chhodi hain dil-daariyaan aaj waqf-e-gham-e-ulfaat-e-raaegaan ham jo firte hain vehshat-zada sargiraan the kabhi saahib-e-aabroo shahar men log taano se kya kya jataate nahin aise raahi to manzil ko paate nahin jee se ik doosre ko bhulaate nahin saamne bhi magar aate jaate nahin aur jaayen to aañkhen milaate nahin haaye kya kya nahin guftugoo shahar men chaand niklaa hai daaghoon ki mish'aal li.e door girja ke minaaron ki ot se aa mirii jaan aa ek se do bhale aaj phere karen koocha-e-yaar ke aur hai kaun dard-aashna baawre ek main shahar men ek tu shahar men

Related Nazm

shanaasaai raat ke haath pe jaltee hui ik sham-e-wafa apna haq maangti hai door KHvaabon ke jazeera men kisi rozan se subh ki ek kiran jhaankti hai vo kiran darpa-e-azaar hui jaati hai mirii gham-khwaar hui jaati hai aao kirnon ko andheron ka kafan pahnaaye ik chamakta hua suraj sar-e-maqtal laayein tum mire paas raho aur yahii baat kaho aaj bhi harf-e-wafaa bais-e-ruswaai hai apne qaateel se mirii khoob shanaasaai hai

Akhtar Payami

12 likes

meri dastaan vo din bhi kitne ajeeb the jab ham dono qareeb the shabab-e-hizr na tu na main sab apne-apne naseeb the tu hi meri duniya thii main hi teraa jahaan tha mujhe tere hone ka gurur tha tujhe mere hone par gumaan tha tere saath bitaaye the woh din vo raate kitnii haseen thius kamre men thii jannat saari ek bistar par hi zameen thii teri god men sar rakhkar main gazle apni sunaata tha tu sunkar shayari so jaati thii main teri khushbu men kho jaata tha meri kaamyaabi ki khabren sun mujhse zyaada jhooma karti thii vo bewajah baaton-baaton men meraa maatha chooma karti thii meri har pareshaani men woh meri hamdard thii,हमसाया thius se badhkar kuchh na tha bas vahii ek sarmaaya thii mulaqaat na ho to kahti thii main kaise aaj so paaoongi mujhe gale laga kar kahti thii main tumse juda na ho paaoongi ik aaina thii woh meraa usse kuchh bhi nahin chhupa tha har cheez jaanti thii meri meraa sab kuchh use pata tha yaar vahii chehre hain apne vahii ehsaas dil men hai phir kyuuñ dooriyaan badh si gaii kyuuñ rishte aaj mushkil men hai kaii sawaal hain dil men ek-ek karke sab sunogi kya main shuroo karta hooñ shuroo se ab sabka javaab dogi kya kyuuñ lautaa dii angu thii mujhe kyuuñ badal ga.e sab iraade tere kya hua teri sab kasmon ka ab kahaan ga.e sab vaade tere tere in mehn dii waale haathon men kisi or ka ab naam hain ik haadsa hain mere li.e ye maana tere li.e inaam hain apne hijr ki vo pahli raat tab khayal to meraa aaya hogaa aayi hogii sab yaaden puraani meri baaton ne bhi rulaaya hogaa jaise mujh men koi cheekh raha hain meri rooh-rooh tak so rahi hain main apni daastaan likh raha hooñ aur meri shayari ro rahi hain bas yahii iltijaa hain KHuda se koi itnaa bhi pyaara na bane kaii sooraten ho saamne nazar ke par koi hamaara na bane

"Nadeem khan' Kaavish"

16 likes

raat ke saadhe teen baje hain saamne waali shelf men sabse aage rakkhi buk ko pichhle 30 minute se dekh raha hooñ buk par german naam likha hai kaun hai saala kya karta hai kaun si shay hai kya hota hai soch raha hooñ soch raha hooñ padhkar dekhooñ padh leta hooñ achha to ye scientist hai achha to ye sufi bhi hai heisenberg ka naam suna hai iski theory padhi hai tumne ye kahtaa hai ek lamhe men ek zarre ki ya to tum raftaar pata kar sakte ho ya kar sakte ho pata ke zarra kis jagah par ruka hua hai lekin dono saath nahin kar sakte ho tum ek lamhe men yaanii mujhse door nikalne ke raaste par kis teji se bhag rahi ho kis jagah par thehri ho tum pata lagana namumkin hai yaanii mere jism ka zarra zarra mujhse bhag raha hai kis teji se kahaan ruka hai pata lagana namumkin hai yaanii main hooñ kahaan hooñ lekin kise pata hai pata lagana namumkin hai yaanii heisenberg aur meraa dukh milta hai mujhe pata hai pata lagana namumkin hai khair chhodo main pankhe se latk raha hooñ haath men heisenberg ki buk hai dono bhaai saath marengay

Siddharth Nigam

7 likes

mirii hayaat ye hai aur ye tumhaari qaza ziyaada kis se kahooñ aur kis ko kam bolo tum ahl-e-kh aanaa rahe aur main yateem hua tumhaara dard badaa hai ya miraa gham bolo tumhaara daur tha ghar men bahaar hansati thii abhii to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai tumhaare saath ka mausam badaa haseen raha tumhaare baad ka mausam badaa bhayaanak hai hazaaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke mujhe vo qarz chukaane ka mauqa to dete tumhaara KHoon mire jism men ma chaltaa raha zaraa se qatre bahaane ka mauqa to dete bade sukoon se tum so ga.e vahaañ ja kar ye kaise neend tumhein aa gaii naye ghar men har ek shab main faqat karvatein badalta hooñ tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar men main bojh kaandhon pe aise utha ke chaltaa hooñ tumhaara jaise janaaza utha ke chaltaa tha yahaañ pe mirii pareshaani sirf mirii hai vahaañ koi na koi kaandha to badalta tha tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi charaaghhh mirii tavakko ke roz bujhte hain main saans luun bhi to kaise ki mirii saanson men tumhaari doobti saanson ke teer chubhte hain main jab bhi chhoota hooñ apne badan ki miTTi ko to lams phir usii thande badan ka hota hai libaas roz badalta hooñ main bhi sab ki tarah magar khayal tumhaare kafan ka hota hai bahut taveel kahaanii hai mirii hasti ki tumhaari maut to ik mukhtasar fasana hai vo jis gali se janaaza tumhaara niklaa tha usii gali se miraa roz aanaa j aanaa hai main koi raah hooñ tum raah dekhne waale ki muntazir to mara par na intizaar mara tumhaari maut mirii zindagi se behtar hai tum ek baar mare main to baar baar mara

Zubair Ali Tabish

19 likes

dukh mujhe jo laga vo nahin hooñ main ab us jagah to nahin hooñ tu ik call message nahin kar rahi hai ki aisi vo kya hi shikaayat hai jo mujhse tu kar nahin pa rahi hai bataati nahin hai sataati rahi hai mujhe tu bataa kyuuñ KHafaa hai mujhe tu bataa kya hua hai tu kuchh bol ye khaamoshi kaatti hai mujhe jaan le bas ye aañkhen kise roti hai bas mujhe kiska dukh hai mujhe pooch tu phir bataoon teraa naam main aur tujhe main sunaau dikhaaun meraa gam mere zakham jo bhar nahin pa rahe hain mujhe tere aise sataane ka dukh hai tere laut ke phir na aane ka dukh hai mere paas aa meraa dukh jaan ladki sakhi koi itnaa KHafaa bhi nahin hota hai jaise ki tu hai ki gussa ziyaada dino tak nahin karna hota hai samjhi e ladki ki ghalti bhulaane ke khaatir banii hai mohabbat nibhaane ke khaatir banii hai ki jab dosti kar li jaa.e use phir nibhaana bhi hota hai ladki mujhe yaad hai tu magar main bhulaaya gaya hooñ tu beshak mujhe chhod de par zaraa sun kahii bhi kabhi bhi kisi bhi haan dariyaa ne pyaase ko pyaasa nahin maara hai phir to ab tu chali aa ghadi haath ki band ho jaa.e isse ke pahle chali aa mere haath ko thaam le dost ye zindagi bay bole mujhe isse pahle tu aa aur mujhe tu gale se laga le

BR SUDHAKAR

10 likes

More from Ibn E Insha

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

Ibn E Insha

0 likes

munni tere daant kahaan hain daant the main ne doodh pila kar saath baras men pale aa kar un ko le ga.e chuhe lambi monchoń waale gud ka un ko maat mila tha meetha aur mazedaar laakh khushamad kar ke mujh se le li.e daant udhaar munni tere daant kahaan hain billi thii ik maami mausi chupke chupke aayi panjo par thii deg ki khurchan honton par baalaai boli gud ke maat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadho-aadh rahega de do daant udhaar munni tere daant kahaan hain baa'd men boodha moti aaya ronee shakl banaaye bola bibi is billi ka kuchh to karen u paa.e doodh na chhode gosht na chhode hain buddha laachaar is ko karoon shikaar jo mujh ko de do daant udhaar achchhii munni tum ne apne itne daant ganwaaye kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne paa.e baaki jo do-chaar rahe hain vo ham ko dilvaao ik daawat men aaj milenge tikke aur polaav murgi ke paa.e ka saalan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se maanguun haan diye udhaar baba haan haan diye udhaar munni tere daant kahaan hain

Ibn E Insha

0 likes

insha'-ji ye kaun aaya kis des ka baasi hai honton pe tabassum hai aankhoñ men udaasi hai KHvaabon ke gulistaan ki khush-boo-e-dil-aara hai ya subh-e-tamannaa ke maathe ka sitaara hai tarsi hui nazaron ko ab aur na tarsa re ai husn ke saudaagar ai roop ke banjaare ramna dil-e-'insha ka ab teraa thikaana ho ab koi bhi soorat ho ab koi bahaana ho khaakistar-e-dil ko hai phir shola-b-jaan hona hairat ka jahaan hona hasrat ka nishaan hona ai shaKHs jo tu aakar yuñ dil men samaaya hai tu dard ki darmaan hai to dhoop ki saaya hai nainaan tire jaadu hain gesu tire khushboo hain baatein kisi jungle men bhatka hua aahu hain maqsood-e-wafa sun le kya saaf hai saada hai jeene ki tamannaa hai marne ka iraada hai

Ibn E Insha

0 likes

1 ye bachcha kaisa bachcha hai ye bachcha kaala kaala sa ye kaala sa matiyaala sa ye bachcha bhooka bhooka sa ye bachcha sookha sookha sa ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha kaisa bachcha hai jo ret pe tanhaa baitha haina is ke pet men roti haina is ke tan par kapda haina is ke sar par topi haina is ke pair men joota haina is ke paas khilauno men koi bhaalu hai koi ghoda haina is ka jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina is ki jeb men dhela haina is ke haath men paisa haina is ke ammi abboo hainna is ki aapa khaala hai ye saare jag men tanhaa hai ye bachcha kaisa bachcha hai 2 ye sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai ye sehra bhook ka sehra hai ye sehra maut ka sehra hai 3 ye bachcha kaise baitha hai ye bachcha kab se baitha hai ye bachcha kya kuchh poochta hai ye bachcha kya kuchh kahtaa hai ye duniya kaisi duniya hai ye duniya kis ki duniya hai 4 is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal ataariyaan hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje ye resham hai ye deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhook ke dukh ki duniya men ye kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain ye kis duniya ka hissa hai 5 ham jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai ye gora hai ya kaala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab pachchham farq nahin is dharti par haq sab ka hai 6 ye tanhaa bachcha be-chaara ye bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhook mite kya mushkil hai ho saka hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bah teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhe kaisa bachcha hai ye kitna pyaara bachcha hai 7 is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai vo sab ka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sab ka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai vo daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai vo saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha sab ka bachcha hai

Ibn E Insha

1 likes

yah bachcha kaala kaala-sa yah kaala sa matiyaala sa yah bachcha bhukha bhukha sa yah bachcha sukha sukha sa yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha kaisa bachcha hai jo ret par tanha baitha haina iske pet men roti haina iske tan par kapda haina iske sar par topi haina iske pair men joota haina iske paas khilauna men koi bhaalu hai koi ghoda haina iska jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina iski jeb men dhela haina iske haath men paisa haina iske ammi-abbu hainna iski aapaakhaala hai yah saare jag men tanhaa hai yah bachcha kaisa bachcha hai yah sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai yah sehra bhookh ka sehra hai yah sehra maut ka sehra hai yah bachcha kaise baitha hai yah bachcha kab se baitha hai yah bachcha kya kuchh poochta hai yah bachcha kya kuchh kahtaa hai yah duniya kaisi duniya hai yah duniya kiski duniya hai is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir-ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal atariya hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje yah resham hai yah deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhookh ke dukh ki duniya men yah kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain yah kis duniya ka hissa hai ham jis aadam ke bete hain yah us aadam ka beta hai yah aadam ek hi aadam hai woh gora hai ya kaala hai yah dharti ek hi dharti hai yah duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab-pachchim farq nahin is dharti par haq sabka hai yah tanha bachcha bechaara yah bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhookh mite kya mushkil hai ho sakaa hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bahu teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhiye kaisa bachcha hai yah kitna pyaara bachcha hai is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai woh sabka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sabka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai woh daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai woh saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai yah bachcha kiska bachcha hai yah bachcha sabka bachcha hai

Ibn E Insha

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ibn E Insha.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.