kuchh de ise ruksat kar kyun aankh jhuka li hai haan dar pe tire maula insha bhi sawaali hai is baat pe kyun is ki itnaa bhi hijaab aa.e fariyaad se be-bahra kashkol se khaali hai shayar hai to adnaa hai 'aashiq hai to rusva hai kis baat men achha hai kis wasf men aali hai kis deen ka murshid hai kis kesh. ka mojid hai kis shahar ka shahna hai kis des ka waali hai tazeem ko uthte hain is vaaste dil waale hazrat ne masheekhat ki ik tarah nikaali hai aawaara o sargardaan kafni-b-guloo-pechaan daamaan bhi dureeda hai gudadi bhi sambhaali hai aawaara hai raahon men duniya ki nigaahon men izzat bhi mita li hai tamkeen bhi ganwa li hai aadaab se begaana dar aaya hai deewaana ne haath men tohfa hai ne saath men daali hai bakshish men taammul hai aur aankh jhuka li hai kuchh dar pe tire maula ye baat niraali hai insha ko bhi ruksat kar insha ko bhi kuchh de de insha se hazaaron hain insha bhi sawaali hai
Related Nazm
kyuuñ hai tum nahin ho yahaañ par phir bhi tumhaare hone ka ehsaas kyuuñ hai kuchh hai nahin mere haath men phir bhi kuchh hone ki ye aas kyuuñ hai badi hairaani hai mujhe ki vo door hokar bhi itnaa paas kyuuñ hai sabne kaha ki vo to paraaya hai vo paraaya hokar bhi itnaa khaas kyuuñ hai j itnaa vo door hai mujhse vo utna hi mujh...ko raas kyuuñ hai baitha hooñ bilkul ekaant men main phir bhi kaanon men uski aawaaz kyuuñ hai khul ke nahin kahti vo kuchh bhi uski aankhoñ men itne raaz kyuuñ hain basi hai dil men vo mere ye meraa dil uskaa aavaas kyuuñ hai us..ko nahin bhula saka main ye uske naam ki har shvaas kyuuñ hai poori kaaynaat uski yaad dilaati hai ye tan-man men uskaa vaas kyuuñ hai vo meri hui nahin hai abhii us..ko khone ke dar se man itnaa badhavaas kyuuñ hai dooriyaan likhi hain jaise darmiyaan meraa naseeb mujhse itnaa naaraaz kyuuñ hai aise shabd kahaan se laaun ki vo samjhe jo gar na samjha paa.e to phir aise alfaaz kyuuñ hain rah to raha hooñ apne nivaas men uske bin lagta ye vanvaas kyuuñ hai gar mil bhi jaa.e sampatti saari duniya ki magar vo saath nahin to phir ye bhogvilaas kyuuñ hai sote hi uske khwaabon men aur jaagte hi uske khyaalon men kaise bhi uskaa ho jaane ki itni pyaas kyuuñ hai jaltee hain ye nazren ab meri in nainon ko har waqt teri talash kyuuñ hai haalaat kah rahe hain ki ye mumkin nahin phir bhi tum pukaarogi ek din mujhe itnaa vishwas kyuuñ hai ab bhi nahin samjhi kyuuñ hai tumhaari bahut yaad aati hai tum bin raha nahin jaata bas baat kuchh yoon hai tumse bepanaah mohabbat thii hai aur rahegi ye satya jyon ka tyon hai kyuuñ hai
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat teraa gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha main ne faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism resham o atlas o kamkhaab men bunwaaye hue jaa-ba-jaa bikte hue koocha-o-baazaar men jism KHaak men luthde hue KHoon men nahlaaye hue jism nikle hue amraaz ke tannooron se peep bahti hui galte hue naasooron se laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye aur bhi dukh hain zamaane men mohabbat ke siva raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva mujh se pahli si mohabbat mirii mahboob na maang
Faiz Ahmad Faiz
73 likes
KHuda ka sawaal mere rab kii mujh par inaayat hui kahooñ bhi to kaise ibadat hui haqeeqat hui jaise mujh par ayaan qalam ban gaii hai KHuda kii zubaan mukhaatib hai bande se parvardigaar tu husn-e-chaman tu hi rang-e-bahaar tu men'raaj-e-fan tu hi fan ka singaar musavvir hooñ main tu meraa shaahkaar ye subhen ye shaamen ye din aur raat ye rangeen dilkash haseen qaaynaat ki hoor-o-malaika wa jannat ne kiya hai tujhe ashraf ul makhluqaat meri azmaton ka hawala hai tu tu hi raushni hai ujaala hai tu ye duniya jahaan bazm-aaraaiyaan ye mehfil ye mele ye tanhaaiyaan falak ka tujhe shaamiyaana diya zameen par tujhe aab-o-daana diya mile aabshaaron se bhi hausale pahaadon main tujhko diye raaste ye paani hawa aur ye shams-o-qamar ye mauj-e-ravaan ye kinaara bhanwar ye shaakhon pe gunche chatkate hue falak pe sitaare chamakte hue ye sabze ye phoolon bharii kyaariyaan ye panchi ye udti hui titliyan ye shola ye shabnam ye miTTi ye sang ye jharnon ke bajte hue jaltarang ye jheelon men hanste hue se kanwal ye dharti pe mausam kii likkhi ghazal ye sar dii ye garmi ye baarish ye dhoop ye chehra ye qad aur ye rang-o-roop darindon charindon pe qaabu diya tujhe bhai dekar ke baazu diya behn dii tujhe aur shareek-e-safar ye rishta ye naate gharaana ye ghar ki aulaad bhi dii diye waalidain alif laam mim qaaf aur ain ghain ye aql-o-zahaanat shu'oor-o-nazar ye bastii ye sehra ye khushki ye tar aur uspar kitaab-e-hidaayat bhi dii nabi bhi utaare shari'at bhi dii ki khabren sabhi kuchh hain tere li.e bataa kya kiya tune mere li.e
Abrar Kashif
46 likes
saza har baar mere saamne aati rahi ho tum har baar tum se mil ke bichhadta raha hooñ main tum kaun ho yah KHud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hooñ main KHud bhi nahin jaanta hooñ main tum mujh...ko jaan kar hi padi ho azaab men aur is tarah KHud apni saza ban gaya hooñ main tum jis zameen par ho main uskaa KHuda nahin pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho bejaar ho gaii ho bahut zindagi se tum jab bas men kuchh nahin hai to bezaar hi raho tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz tum apne haq men beech ki deewaar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho tum KHoon thooktee ho yah sun kar khushi hui is rang is ada men bhi purkaar hi raho maine yah kab kaha tha mohabbat men hai najaat maine yah kab kaha tha wafadar hi raho apni mataa-e-naaz luta kar mere li.e bazaar-e-iltefaat men nadaar hi raho jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de sakaa gham men kabhi sukoon rafaqat na de sakaa jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere saare khwaab kisi be-vafa ke hain phir mujh...ko chaahne ka tumhein koi haq nahin tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin
Jaun Elia
44 likes
More from Ibn E Insha
ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha aaKHir us par kya kuchh beetii jaano to ahvaal kaho maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaayaus ko to lekin chup si lagii thii na bola na baaz aaya KHair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal vahii kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool raah men jaise KHaak pe koi masla masla baagh ka phool shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana kaun ho tum kis kaam se aa.e ham ne na tum ko pahchaana jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar karetumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le peet men aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain peet men naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho kahii jo us ki jaan ka bairi mil jaa.e ye baat kaho chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan tum chaaho to bastii chhode tum chaaho to dasht bas aa.e ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hogaa tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata
Ibn E Insha
0 likes
lab par naam kisi ka bhi ho dil men teraa naqsha hai ai tasveer banaane waali jab se tujh ko dekha hai be-tere kya vehshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukoon tu hi apna shahar hai jaani tu hi apna sehra hai neele parbat udi dharti chaaron koot men tu hi tu tujh se apne jee ki khilwat tujh se man ka mela hai aaj to ham bikne ko aa.e aaj hamaare daam laga yusuf to baazaar-e-wafa men ek tike ko bikta hai le jaani ab apne man ke pairaahan ki girhen khol le jaani ab aadhi shab hai chaar taraf sannaata hai toofaanon ki baat nahin hai toofaan aate jaate hain tu ik narm hawa ka jhonka dil ke baagh men thehra hai ya tu aaj ha men apna le ya tu aaj hamaara ban dekh ki vaqt guzarta jaa.e kaun abad tak jeeta hai farda mahaj fusoon ka parda ham to aaj ke bande hain hijr o vasl vafaa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakha hai
Ibn E Insha
0 likes
shehr-e-dil ki galiyon men shaam se bhatkte hain chaand ke tamannaai be-qaraar saudaai dil-gudaaz taarikee rooh-o-jaan ko dasti hai rooh-o-jaan men bastii hai shehr-e-dil ki galiyon men taak shab ki belon par shabnameen sarishkon ki be-qaraar logon ne be-shumaar logon ne yaadgaar chhodi hai itni baat thodii hai sad hazaar baatein theen heelaa-e-shakebaai sooraton ki zebaai kaamton ki raa'naai in siyaah raaton men ek bhi na yaad aayi jaa-ba-jaa bhatkte hain kis ki raah takte hain chaand ke tamannaai ye nagar kabhi pahle is qadar na veeraan tha kehne waale kahte hain qarya-e-nigaaraan tha KHair apne jeene ka ye bhi ek saamaan tha aaj dil men veeraani abr ban ke ghir aayi aaj dil ko kya kahiye ba-wafa na harjaai phir bhi log deewane aa ga.e hain samjhaane apni vahshat-e-dil ke bun li.e hain afsaane khush-khyaal duniya ne garmiyaan to jaati hain vo rutein bhi aati hain jab malool raaton men doston ki baaton men jee na chain paayega aur oob jaayega aahaton se goonjegi shehr-e-dil ki pahnaai aur chaand raaton men chaandni ke shaidai har bahaane niklengay aazmaane niklengay aarzoo ki gehraai dhoondhne ko ruswaai sard sard raaton ko zard chaand bakhshishga be-hisaab tanhaaii be-hijaab tanhaaii shehr-e-dil ki galiyon men
Ibn E Insha
0 likes
insha'-ji ye kaun aaya kis des ka baasi hai honton pe tabassum hai aankhoñ men udaasi hai KHvaabon ke gulistaan ki khush-boo-e-dil-aara hai ya subh-e-tamannaa ke maathe ka sitaara hai tarsi hui nazaron ko ab aur na tarsa re ai husn ke saudaagar ai roop ke banjaare ramna dil-e-'insha ka ab teraa thikaana ho ab koi bhi soorat ho ab koi bahaana ho khaakistar-e-dil ko hai phir shola-b-jaan hona hairat ka jahaan hona hasrat ka nishaan hona ai shaKHs jo tu aakar yuñ dil men samaaya hai tu dard ki darmaan hai to dhoop ki saaya hai nainaan tire jaadu hain gesu tire khushboo hain baatein kisi jungle men bhatka hua aahu hain maqsood-e-wafa sun le kya saaf hai saada hai jeene ki tamannaa hai marne ka iraada hai
Ibn E Insha
0 likes
1 ye bachcha kaisa bachcha hai ye bachcha kaala kaala sa ye kaala sa matiyaala sa ye bachcha bhooka bhooka sa ye bachcha sookha sookha sa ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha kaisa bachcha hai jo ret pe tanhaa baitha haina is ke pet men roti haina is ke tan par kapda haina is ke sar par topi haina is ke pair men joota haina is ke paas khilauno men koi bhaalu hai koi ghoda haina is ka jee bahaalne ko koi lori hai koi jhoola haina is ki jeb men dhela haina is ke haath men paisa haina is ke ammi abboo hainna is ki aapa khaala hai ye saare jag men tanhaa hai ye bachcha kaisa bachcha hai 2 ye sehra kaisa sehra haina is sehra men baadal haina is sehra men barkha haina is sehra men baali haina is sehra men khosha haina is sehra men sabza haina is sehra men saaya hai ye sehra bhook ka sehra hai ye sehra maut ka sehra hai 3 ye bachcha kaise baitha hai ye bachcha kab se baitha hai ye bachcha kya kuchh poochta hai ye bachcha kya kuchh kahtaa hai ye duniya kaisi duniya hai ye duniya kis ki duniya hai 4 is duniya ke kuchh tukdon men kahii phool khile kahii sabza hai kahii baadal ghir ghir aate hain kahii chashma hai kahii dariyaa hai kahii unche mahal ataariyaan hain kahii mehfil hai kahii mela hai kahii kapdon ke bazaar saje ye resham hai ye deeba hai kahii ghalle ke ambaar lage sab gehuun dhaan muhayya hai kahii daulat ke sandooq bhare haan taamba sona roopa hai tum jo maango so haazir hai tum jo chaaho so milta hai is bhook ke dukh ki duniya men ye kaisa sukh ka sapna hai vo kis dharti ke tukde hain ye kis duniya ka hissa hai 5 ham jis aadam ke bete hain ye us aadam ka beta hai ye aadam ek hi aadam hai ye gora hai ya kaala hai ye dharti ek hi dharti hai ye duniya ek hi duniya hai sab ik daata ke bande hain sab bandon ka ik daata hai kuchh poorab pachchham farq nahin is dharti par haq sab ka hai 6 ye tanhaa bachcha be-chaara ye bachcha jo yahaañ baitha hai is bacche ki kahii bhook mite kya mushkil hai ho saka hai is bacche ko kahii doodh mile haan doodh yahaañ bah teraa hai is bacche ka koi tan dhaanke kya kapdon ka yahaañ toda hai is bacche ko koi god men le insaan jo ab tak zinda hai phir dekhe kaisa bachcha hai ye kitna pyaara bachcha hai 7 is jag men sab kuchh rab ka hai jo rab ka hai vo sab ka hai sab apne hain koi gair nahin har cheez men sab ka saajha hai jo badhta hai jo ugta hai vo daana hai ya meva hai jo kapda hai jo kambal hai jo chaan dii hai jo sona hai vo saara hai is bacche ka jo teraa hai jo meraa hai ye bachcha kis ka bachcha hai ye bachcha sab ka bachcha hai
Ibn E Insha
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ibn E Insha.
Similar Moods
More moods that pair well with Ibn E Insha's nazm.







