nazmKuch Alfaaz

main mohabbat hooñ mere baad duniya ka kya hogaa ki main to mohabbat hooñ main shabri ke joothe labon se raam ke pet tak jaata bair hooñ jiske li.e krishna ne shaahi bhojan thukraaya main vidur ka kuber hooñ main har baar aata hooñ par jahaan mujhe pahchaan nahin paata agar pahchaan bhi le preet to theek se jaan nahin paata kahiin romeo-juliet ke markaz kii deewaar hooñ jise khodta hua farhaad mar gaya nahar ka vo paar hooñ jiske kinaaron par saagar-e-sahara hai jis men koii qais majnu ho kar gaam-b-gaam bhatak raha hai laila kii kalaaee hooñ main khayyaam kii rubaai hooñ main nazm-e-faiz hooñ main sabse tez hooñ main sayyaad hooñ chaak-e-qafs hooñ jism-o-dil ke darmiyaan hooñ ishq hooñ havas hooñ be-vafaaii ka KHuda hooñ wafaadaaro'n ka peer hooñ sab mujhse rahais-pazeer hain aur main sabka aseer hooñ mujh se sab kii ye haalat hai main haalaat se pashemaan hooñ main dast-e-zuleikha bhi hooñ main hi chaak-garebaan hooñ main meer-o-ghalib kii ghazal hooñ keechad hooñ kamal hooñ jo mere andar utre kabhi baahar na aane paa.e ki main to daldal hooñ main heer-raanjha ke markaz hijr hooñ mahboob kii gaali hooñ maa kii fikr hooñ main vo lafz jise sunkar shah bharii mehfil aurat ka pairhan utarta hai main vo dua jise padhne par koii krishna aa ke use bachaata hai main vo alfaaz jise ga kar jawaan sarhad paar se premika ko pukaarta hai main vo kangan jo vidhwa ke li.e virah ke geet gaata hai main shrungaar main hi virah geet hooñ duniya shayar jaane mujh...ko lekin main to preet hooñ meri duniya ko chaahat hai ki main rasm-e-adawat hooñ azaad kii goli hooñ bhagat singh kii bagaavat hooñ mere baad duniya ka kya hogaa ki main to mohabbat hooñ

Prit0 Likes

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

More from Prit

gumshuda in pahaadon ke peechhe door ghane junglon men is dariyaa ke us paar kaali andheri gufaon men ek pari rahtii thii jo ab vahaañ nahin hai ab vo mere dil men hai aur meraa dil ab bhi wahin hai jahaan vo pari rahtii thina dil kii khabar abna pari ka pata hai dono hi gumshuda hain

Prit

0 likes

izhaar tu hi meri kaaynaat hai qayamat tak teraa intzaar hai mere alfaaz ki tarannum tujh hi pe qurbaan hain besabab tujhse ulfat hai har dam labon par teraa hi naam hai tu meri sehar tu hi shaam hai haya hai ishq zaahir nahin karte uljhe hue se jazbaat hain kashish hai tujh se aur tu hi anjaan hai mukhtasar hi sahi mulaqaat ho rab se yahii fariyaad hai dil ka kya kisi par bhi aa jaa.e yah parinda naadaan hai zamaana chhedega mujhe zamaana badaa ayyaar hai par aaj phir alfaazon se preet karta izhaar hai

Prit

5 likes

“Khawab”

Prit

0 likes

tanhaaii hai tanhaaii hai tanhaaii hai gul hai gulaab hain har taraf bahaar hai khizaan men bhi rangat aayi haina jaane phir bhi kyon maayusi chhaai hai tanhaaii hai tanhaaii hai tanhaaii hai unki yaad aanaa jaise saans lena hai yah baat jaanleva hai unki tasveer kuchh aisi basi hai hamne unhen band aankhoñ se pahchaan lena hai yaadon ne unki hamaari beqaraari aur badhaai hai tanhaaii hai tanhaaii hai tanhaaii hai yaadon men unki ham roye ja rahe hain bewajah palken bhigoye ja rahe hain jo kabhi hamaare the hi nahin ham unke hue ja rahe hain kya karen apni maut hamne KHud bulaa'i hai tanhaaii hai tanhaaii hai tanhaaii hai

Prit

4 likes

yaad meri aayegi jab duniya apna rang dikhaayegi jab tumhein vafaa samajh aayegi jab sab chhod kar ja rahe honge jab tumhaari aañkhen bhar aayengi tumhein yaad aayegi meri jab sab kuchh tabaah ho jaayega saansen thamne ko hongi tumhaari tumhein yaad aayegi meri antim kshanon men siskiyaan bhar rahi hogii man hi man ro rahi hogii kisi se jab kuchh na kah paayogi apna dard na jaata paayogi jab koi na hogaa hamdard tumhaara jab na hogii kise parwaah tumhaari tumhein yaad aayegi meri yaad meri qayamat hai ik na ik din to aayegi hi jo aaj itnaa hañs rahe ho nadekhna ik din rulaayegi hi ha men rula kar tum hañste ho are janab moorkh bante ho dekhna ye qudrat ik din tumhein sataayegi tarpaaegi ye duniya jab apna nakaab hataayegi tumhein yaad meri aayegi

Prit

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Prit.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Prit's nazm.