nazmKuch Alfaaz

meraa ye man udaas hai kisi ki yaad aayi hai meraa ye man udaas hai khalish si dil pe chhaai hai meraa ye man udaas hai ye zindagi ki baat hai ye ishq hi ki baat hai ki bhool kar bhi main jise kabhi nahin bhula sakaa kabhi khushi se main jise gale nahin laga sakaa main usse jitna door hooñ vo utna mere paas hai meraa ye man udaas hai koi jo jang ho kabhi kisi ke sang ho kabhi usii ko dekhta hooñ main usii ko sochta hooñ mainna haarne ka gham hai phirna jeetne ki aas hai meraa ye man udaas hai

Related Nazm

us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat

Varun Anand

475 likes

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

raaygaani main kamre men pichhle ikattees dinon se faqat is haqeeqat ka nuksaan ginne ki koshish men uljha hua hooñ ki tu ja chuki hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai tujhe yaad hai vo zamaana jo campus ki pagdandiyon pe tahalte hue kat gaya tha tujhe yaad hai ki jab qadam chal rahe the ki ek pair teraa tha aur ek meraa qadam vo jo dharti pe aawaaz dete ki jaise ho raaga koi mutriboon ka qadam jaise ke sa pa ga ma pa ga sa re vo table ki tirakhat pe tak dhin dhinka dhin tink dhin dhana dhin bahm chal rahe the qadam chal rahe the qadam jo musalsal agar chal rahe the to kitne gavaiyon ke ghar chal rahe the magar jis gha dii tu ne us raah ko mere tanha qadam ke hawaale kiya un suron ki kahaanii wahin ruk gaii kitnii fankaariyaan kitnii baarikiyaan kitnii kaliyaan bilaaval gavaiyon ke honthon pe aane se pahle fana ho gaye kitne nusrat fateh kitne mehn dii hasan muntazir rah gaye ki hamaare qadam phir se uthne lagen tujhko maaloom hai jis gha dii meri awaaz sun ke tu ik zaaviye pe palat ke mu dii thii wahaan se relativity ka janaaza utha tha ki us zaaviye ki kashish men hi yoonan ke falsafe sab zamaanon ki tarteeb barbaad kar ke tujhe dekhne aa gaye the ki tere jhukaav ki tamsil pe apni seedhi lakeeron ko kham de saken apni ak dii hui gardanon ko liye apne vaqton men palten geometry ko janam de saken ab bhi kuchh falsafi apne feke zamaanon se bhaage hue hain mere raaston pe aañkhen bichhaaye hue apni daanisht men yuñ khade hain ki jaise vo daanish ka mamba yahiin pe kahii hai magar mud ke takne ko tu hi nahin hai to kaise florence ki tang galiyon se koi davinci uthe kaise hispania men picasso bane unki aankhoñ ko tu jo muyassar nahin hai ye sab tere mere ikatthe na hone ki qeemat ada kar rahe hain ki tere na hone se har ik zama men har ek fan men har ek dastaan men koi ek chehra bhi taza nahin hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai

Sohaib Mugheera Siddiqi

73 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

More from Rohit tewatia 'Ishq'

qismat kabhi sochta hooñ meraa haq hai us par vahii jo kisi aur ki ho chuki hai vo ladki jo qismat men mere likhi thii lakeeron se meri kahii kho chuki hai kabhi sochta hooñ bahut sochta hooñ magar ab karoon to karoon kya bhala main nigaahon men uskaa hi chehra basa hai usii ko ye dil maanta ab KHuda hai ye dil ab dhadakta hi uske li.e hai ye paagal tadpata hi uske li.e hai kabhi sochta hooñ bahut sochta hooñ main kitna abhaaga hooñ kah bhi na paaya panahon men apni chhupa lo na mujh...ko meri bekhu dii se bacha lo na mujh...ko mujhe chain padta nahin bin tumhaare gha dii bhar gale se laga lo na mujh...ko suno tumse ik raaz ki baat kah doon ye chaahat banii hi hamaare li.e thii mohabbat banii hi hamaare li.e thii nahin main ye hargiz nahin maan sakaa koi mujhse zyaada tumhein chahta hai ye vo sach hai jiska tumhein bhi pata hai mere jaisa koi deewana nahin hai magar tumko dil hi lagana nahin hai kabhi sochta hooñ jo meri nahin ho to jiski ho usse chura loo main tumko kabhi sochta hooñ ki ghazalon men apni pirokar zaraa gunguna luun main tumko magar jaise qismat badal si gaii hai ki jaise har ik shaKHs ne bas ha men door karne ki saazish rachi hai galat ho raha hai agar ye sahi hai kabhi sochta hooñ bahut sochta hooñ

Rohit tewatia 'Ishq'

2 likes

nigaah kiski aisi haya bharii nigaah dekhogi aks meraa milega jis jagah dekhogi jaan mohabbat fuzool nahin bas thoda sabr karo naagwaar guzre ishq ki panaah dekhogi kiski aisi haya bharii nigaah dekhogi par mas'ala kuchh inkaar ka zaroor raha hogaa jisse KHud bekhbar hooñ vo meraa kasoor raha hogaa fir ilzaam saare be-buniyaad se aayenge aage mere KHilaaf na ek milega jo gawaah dekhogi kiski aisi haya bharii nigaah dekhogi par teraa chhod ke jaana mohabbat ki tauheen tha meraa kya meraa dil to tootne ka shauqeen tha abhii ek dua qubool honi aam baat samjhti ho phir koi mandir aur saalo saal koi daragaah dekhogi kiski aisi haya bharii nigaah dekhogi

Rohit tewatia 'Ishq'

10 likes

naadaan pari vo meri naadaan pari sabse chhipkar rahtii thii akshar mujhse kahti thii chhodo pyaar vyaar ki baatein hisse aati tanhaa raatein isse kya hi mil paayega jo hai vo bhi kho jaayega maine socha sach hi to hai pyaar kise hi mil paaya hai isko to ehsaas dila doon duniya se bhi main lad loonga qismat se kaise jeetoonga main to ye gham paal hi loonga toota dil sambhaal hi loonga vo to sachmuch mar jaayegi aur phir kuchh na kar paayegi us..ko ek jeevan jeena hai mujh...ko har aañsu peena hai vaise bhi kya hi hai mujh men mere jaise kitne honge mere hone se kya hogaa bas ik ginti badh jaayegi uske aage ad jaayegi meraa jaana hi behtar hai saans hi leni hai le loonga jaan hi deni hai de dooñga jaan to vaise bhi uski hai us..ko kahaan maaloom hai itnaa vo meri naadaan pari

Rohit tewatia 'Ishq'

8 likes

bhool jaaunga mohabbat ke saare sitam bhool jaaunga beasar se zakhmon ke marham bhool jaaunga maana toota hooñ par tune socha bhi kaise ke tujhko main mere sanam bhool jaaunga teraa lehron sa chalna zehan men basa hai un aankhoñ ki kaise sharam bhool jaaunga chalo na hosh raha ke shuruaat kaise hui kaise kab hua main khatam bhool jaaunga maana toota hooñ par tune socha bhi kaise teri paayal ka shor jaise shehnai koi jo paak lage vo qadam bhool jaaunga vo saadgi teri jo nazrein tak na miliin hañskar sah gaya jo main gham bhool jaaunga maana toota hooñ par tune socha bhi kaise ham juda nahin bas faasle duraaniyaan hain tujhe yaad kar har janam bhool jaaunga pyaar milta nahin jeete jee ye suna hai main behoshi men ye bharam bhool jaaunga maana toota hooñ par tune socha bhi kaise

Rohit tewatia 'Ishq'

10 likes

lov triangle jab khayaalon men main uske peeche peeche jaata bhaav khaati dekho fir main usse ruth jaata aise vaise kaise kaise mujh...ko vo manaati jaan thii meri vo kaise main na maan paata apne lov ka triangle kaash jo na banta tu sawaal aur teraa main javaab hota kaash jo tu meri aankhoñ men vo jhaank jaati tere paas men jo mahka main gulaab hota agar ye KHvaab sach hua to sunle ai haseen main poori umr tere dil men hi guzaar doon tu jo chale to din ho jab rooke to raat ho ye kaayenaat tere qadmon men utaar doon apne lov ka triangle kaash jo na banta kaash jo tu bole teri main awaaz hota tu shabaab teri dhun men main sharaab hota sabke chehron ko to tu yuñ nihaar jaati tere nainon ka kabhi to main shikaar hota apne lov ka triangle kaash jo na banta

Rohit tewatia 'Ishq'

11 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rohit tewatia 'Ishq'.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rohit tewatia 'Ishq''s nazm.