nazmKuch Alfaaz

raaygaani main kamre men pichhle ikattees dinon se faqat is haqeeqat ka nuksaan ginne ki koshish men uljha hua hooñ ki tu ja chuki hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai tujhe yaad hai vo zamaana jo campus ki pagdandiyon pe tahalte hue kat gaya tha tujhe yaad hai ki jab qadam chal rahe the ki ek pair teraa tha aur ek meraa qadam vo jo dharti pe aawaaz dete ki jaise ho raaga koi mutriboon ka qadam jaise ke sa pa ga ma pa ga sa re vo table ki tirakhat pe tak dhin dhinka dhin tink dhin dhana dhin bahm chal rahe the qadam chal rahe the qadam jo musalsal agar chal rahe the to kitne gavaiyon ke ghar chal rahe the magar jis gha dii tu ne us raah ko mere tanha qadam ke hawaale kiya un suron ki kahaanii wahin ruk gaii kitnii fankaariyaan kitnii baarikiyaan kitnii kaliyaan bilaaval gavaiyon ke honthon pe aane se pahle fana ho gaye kitne nusrat fateh kitne mehn dii hasan muntazir rah gaye ki hamaare qadam phir se uthne lagen tujhko maaloom hai jis gha dii meri awaaz sun ke tu ik zaaviye pe palat ke mu dii thii wahaan se relativity ka janaaza utha tha ki us zaaviye ki kashish men hi yoonan ke falsafe sab zamaanon ki tarteeb barbaad kar ke tujhe dekhne aa gaye the ki tere jhukaav ki tamsil pe apni seedhi lakeeron ko kham de saken apni ak dii hui gardanon ko liye apne vaqton men palten geometry ko janam de saken ab bhi kuchh falsafi apne feke zamaanon se bhaage hue hain mere raaston pe aañkhen bichhaaye hue apni daanisht men yuñ khade hain ki jaise vo daanish ka mamba yahiin pe kahii hai magar mud ke takne ko tu hi nahin hai to kaise florence ki tang galiyon se koi davinci uthe kaise hispania men picasso bane unki aankhoñ ko tu jo muyassar nahin hai ye sab tere mere ikatthe na hone ki qeemat ada kar rahe hain ki tere na hone se har ik zama men har ek fan men har ek dastaan men koi ek chehra bhi taza nahin hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai

Related Nazm

tum ho tum sukoon ho pur-sukoon ho mire ishq ka tum junoon ho main hosh men baahosh men mire jism ka tum KHoon ho tum sard ho barsaat bhi mirii garmiyon ki tum june ho tum ghazal ho ho tum shaayri mirii likhi nazm ki dhun ho mirii hañsi bhi tum mirii khushi bhi tum mire is hayaat ki mamnoon ho tum dhoop ho mirii chaanv bhi tum siyaah raat ka moon ho tum sin ho tum kaaf bhi tum waao ke baad ki noon ho tum sukoon ho pur-sukoon ho mire ishq ka tum junoon ho

ZafarAli Memon

25 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

dareecha-haa-e-khayaal chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal jo tumhaari hi samt khulte hain band kar doon kuchh is tarah ki yahaañ yaad ki ik kiran bhi aa na sake chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur KHud bhi na yaad aaun tumhein jaise tum sirf ik kahaanii theen jaise main sirf ik fasana tha

Jaun Elia

27 likes

KHat tumko ye bat aanaa tha ya phir ye samjh aanaa tha dil ki bas ye chaahat thii bas tum par pyaar lut aanaa tha tumko ye bat aanaa tha tha chhedna tumko thoda thoda tumhein sat aanaa tha jo rooth jaate tum mujhse haan mujh...ko tumhein manana tha phir tumko gale lagana tha tumko ye bat aanaa tha lad ke bhi tum sote to tumhaara sir sahl aanaa tha maqsad sirf ek tha tumhaara pyaar kam aanaa tha saari duniya miTTi hai tumhaara saath khazana tha tumko ye bat aanaa tha milne tumse aanaa tha ya phir tumhein bul aanaa tha maang tumhaari bharni thii apna tumhein ban aanaa tha tumhaara hi kahl aanaa tha tumko ye bat aanaa tha is jeevan ka har manzar tumhaare saath bit aanaa tha har phere ka har vaa'da tumhaare saath nibh aanaa tha mangalsutra in haathon se tumko hi pahn aanaa tha tumko ye bat aanaa tha faasle jitne bhi the unko mujhe mit aanaa thaus khuda se har janam men tumhaara saath likh aanaa tha phir baaraat tumhaari chauKHat par tumse hi byah rach aanaa tha tumko ye bat aanaa tha bin bole bas chupke se gajra tumhein dil aanaa tha banata main ek din kh aanaa phir kh aanaa tumhein khil aanaa tha tumhaare haathon se kh aanaa mujh...ko bhi to kh aanaa tha tumko ye bat aanaa tha kho diya tumko maine ye dukh ab mujhe manana tha doob jaata aasmaan bas aañsu mujhe bah aanaa tha phir likh diya maine aañsu bas itnaa meraa fas aanaa tha tumko ye bat aanaa tha bas tumko ye bat aanaa tha

Divya 'Kumar Sahab'

28 likes

More from Sohaib Mugheera Siddiqi

izteraab jahaan main izteraab hai nahin nahin jahaan hi izteraab hai hazaar haan kawaakabo najoom haay kahkashaan se atammon ki kokh tak madaar dar madaar har vujood be qaraar hai ye mehro maaho mushtari se har electron tak ye jhoom jhoom ghoomne main jis tarah ka raqs hai mujhe samajh main aa gaya jahaan teraa aks hai vo aks jo jagah jagah qadam qadam ridham pe hai jahaan ain sur main hai jahaan ain saim pe hai jahaan tarannumon ki list main se intikhaab hai jo tujh haseen dimaagh ke haseen la shaour main banaa ho aisa khwaab hai jahaan izteraab hai mujhe samajh main aa gaya hai ye jahaan khaala makaan zamaan ke chand taar se banaa hua sitaar hai usse kaho kisi tarah sitaar chhedti rahe usse kaho ke thodii dier aur bolti rahe

Sohaib Mugheera Siddiqi

2 likes

vaham raat jaagi to kahii sehen main sukhe patte churmur aa.e ke koi aaya koi aaya hai aur ham shauq ke maare hue daude aa.e go ke maaloom hai tu hai na teraa saaya hai ham ke dekhen kabhi daalaan kabhi sookha chamanus pe dheemi si tamannaa ke pukaare jaayein phir se ik baar teri khwaab si aañkhen dekhen phir tere hijr ke haathon hi bhale maare jaayein ham tujhe apni sadaaon main basaane waale itnaa cheekhen ke tere vaham lippat ke roein par tere vaham bhi teri hi tarah qaatil hain so vahii dard hai jaana kaho kaise soein bas isee karb ke pehlu main guzaare hain peher bas yoonhi gham kabhi kaafi kabhi thode aa.e phir achaanak kisi lamhe main jo chatkhe patte ham vahii shauq ke maare hue daude aa.e

Sohaib Mugheera Siddiqi

5 likes

sanwali kitne alfaaz hain jo mirii ungliyon ke har ik por men ik samundar ki maanind band hain samundar bahut hi gussaila samundar samundar vo jo muntazir hai ki kab tere honton ke dono sire muskuraahat ki koshish men khichne lagen aur rukhsaar men pech-o-kham daal den ek sha'ir jo aañkhen masalne lage to hanse aur samundar ubalne lage

Sohaib Mugheera Siddiqi

3 likes

raaygaani-2 jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thii vo saal-ha-saal tak chali hai kaii zamaanon men bant gaii hai main in zamaanon men lamha lamha tumhaari nazaron ke bin raha hooñ main ab talak bhi tumhaare jaane ka baaki nuksaan gin raha hooñ mujhe zamaana ye kah raha tha ki raaygaani mubaalga hai bhala tumhaari judaai ka dukh zamaan makaan ko hila raha hai bhala relativity ki science kisi ke murne se munselik hai inhen batao tumhaare jaane ka dukh utha kar faqat akela vo main nahin tha jo zarra zarra bikhar gaya tha tumhaare jaane ke kuchh dinon men hamaara hawking bhi mar gaya tha aur uski theory ke kaale gadde jinhen hamesha tumhaari aankhoñ men dekhna tha vo mere chehre pe pad ga.e hain vo meri aankhoñ men gad ga.e hain tumhaare jaane ke baad sab kuchh hi ek assee ke zaaviye par palat gaya hai ki meraa hona tumhaare hone se munselik tha tumhaari aankhoñ ki raushni thii to main bhi duniya men ho raha tha tumhaare lehje ke sur mile the to main banaa tha tumhaare haathon ka lams haathon ko mil raha tha to dekhta tha hamaare haathon men atomon ki dafa ki kuwwat kashish men kaise badal rahi hai par ab tumhaari nazar kahii hai tumhaara lahjaa bhi ab nahin hai to tum batao main kis tariqe se apni hasti ko naisti se juda karunga main dang aankhoñ se saari duniya ko dekhta hooñ aur apne hone ki koi illat talaashta hooñ ajeeb tarah ka be-nishaan be-makaam dukh hai samajhne waale samajh ga.e the ye raaygaani hai raaygaani tamaam sadiyon ka khaam dukh hai main ab haqeeqat samajh raha hooñ tamaam dukh tha tamaam dukh hai tumhein bataaun kisi ke hone ka koi maqsad koi maani kahii nahin hai agar to nietzsche nahin mara hai to us se poocha kya karenge zameen pe rah ke pale badhenge baka ki khaatir lade marengay phir apne jaise kaii janenge aur is jahaan se nikal padenge jinhe janenge vo sab ke sab bhi yahii karenge pale badhenge lade marengay phir un ke bacche aur un ke bacche ye kya tamasha-e-ha-o-hoo hai ye zindagi hai to aakh thoo hai

Sohaib Mugheera Siddiqi

23 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sohaib Mugheera Siddiqi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sohaib Mugheera Siddiqi's nazm.