nazmKuch Alfaaz

dareecha-haa-e-khayaal chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal jo tumhaari hi samt khulte hain band kar doon kuchh is tarah ki yahaañ yaad ki ik kiran bhi aa na sake chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur KHud bhi na yaad aaun tumhein jaise tum sirf ik kahaanii theen jaise main sirf ik fasana tha

Jaun Elia27 Likes

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men

Muneer Niyazi

108 likes

mariyam main aainon se gurez karte hue pahaadon ki kokh men saans lene waali udaas jheelon men apne chehre ka aks dekhooñ to sochta hooñ ki mujh men aisa bhi kya hai mariyam tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai mohabbaton ke samundaron men bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam khala-navardon ko jo sitaare muaawze men mile the vo unki raushni men ye sochte hain ki vaqt hi to KHuda hai mariyam aur is taalluq ki gathriyon men ruki hui saatyon se hatkar mere li.e aur kya hai mariyam abhii bahut vaqt hai ki ham vaqt de zaraa ik doosre ko magar ham ik saath rahkar bhi KHush na rah sake to muaaf karna ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara main un charaaghon ka dukh hooñ jinki love shab-e-intezaar men bujh gaii magar unse uthne vaala dhuaan zamaan-o-makaan men faila hua hai ab tak main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hooñ jinko zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar ga.e hain jo log dil se utar ga.e hain kitaaben aankhoñ pe rakh ke soye the mar ga.e hain main unka dukh hooñ jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon men pale badhe hain main unka dukh hooñ main ghar se bhaage huo ka dukh hooñ main raat jaage huo ka dukh hooñ main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hooñ main laapata ladkiyon ka dukh hooñ khulii hue khidkiyon ka dukh hooñ mitti hui takhtiyon ka dukh hooñ thake hue baadlon ka dukh hooñ jale hue junglon ka dukh hooñ jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hooñ zameen ka dukh hooñ KHuda ka dukh hooñ bala ka dukh hooñ jo shaakh saawan men foottee hai vo shaakh tum ho jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai tumhaara meraa muaamla hi juda hai mariyam tumhein to sab kuchh pata hai mariyam

Tehzeeb Hafi

158 likes

More from Jaun Elia

bas ek andaaza baras guzre tumhein soye hue uth jaao sunti ho ab uth jaao main aaya hooñ main andaaze se samjha hooñ yahaañ soi hui ho tum yahaañ roo-e-zameen ke is maqaam-e-aasmaani-tar ki had men baad-ha-e-tund ne mere li.e bas ek andaaza hi chhodaa hai

Jaun Elia

7 likes

qaateel suna hai tum ne apne aakhiri lamhon men samjha tha ki tum mirii hifazat men ho mire baazuon men ho suna hai bujhte bujhte bhi tumhaare sard o murda lab se ek shola shola-e-yaqoot-faam o rang o ummeed-e-farogh-e-zindagi-aahang lapka tha ha men KHud men chhupa lijye ye meraa vo azaab-e-jaan hai jo mujh ko mire apne KHud apne hi jahannam men jalata hai tumhaara seena-e-seemin tumhaare baazuwaan-e-mar-mareen mire li.e mujh ik hawasnaak-e-faromaaya ki khaatir saaz o saamaan-e-nashaat o nashsha-e-ishrat-fuzooni the mire ayyaash lamhon ki fusoon-gar pur-junooni ke li.e sad-lazzat aageen sad-karishma pur-zubaani the tumhein mirii hawas-pesha mirii saffaaq qaateel be-vafaaii ka gumaan tak is gumaan ka ek wehm-e-khud gurezaan tak nahin tha kyun nahin tha kyun nahin tha kyun koi hota koi to hota jo mujh se mirii saffaaq qaateel be-vafaaii ki saza men KHoon thukvaata mujhe har lamhe ki sooli pe latkaata magar fariyaad koi bhi nahin koi daregh uftaad koi bhi mujhe mafroor hona chahiye tha aur main saffaaq-qaatil be-vafa khoon-rez-tar main shahar men khud-vaardaati shahar men khud-mast aazaadaana firta hooñ nigaar-e-khaak-aasooda bahaar-e-khaak-aasooda

Jaun Elia

5 likes

raatein sacchi hain din jhoote hain chahe tum meri beenaai khurch daalo phir bhi apne KHvaab nahin chhodunga un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin todunga tez nazar na-beenaon ki aabaa dii men kya main apne dhyaan ki ye pounji bhi ginwa doon haan mere KHvaabon ko tumhaari subhon ki sard aur saaya-goon taabiron se nafrat hai in subhon ne shaam ke haathon ab tak jitne suraj beche vo sab ik barfaani bhaap ki chamkeeli aur chakkar khaati golaai the so mere KHvaabon ki raatein jaltee aur dahakti raatein aisi yakh-basta taabiron ke har din se achchhii hain aur sacchi bhi hain jis men dhundla chakkar khaata chamkeela-pan chhe itaraaf ka rog banaa hai mere andhere bhi sacche hain aur tumhaare rog ujaale bhi jhoote hain raatein sacchi hain din jhoote jab tak din jhoote hain jab tak raatein sahna aur apne KHvaabon men rahna KHvaabon ko bahkaane waale din ke ujaalon se achha hai haan main behkaavon ki dhund nahin odhoonga chahe tum meri beenaai khurch daalo main phir bhi apne KHvaab nahin chhodunga apna ahd nahin todunga yahii to bas meraa sab kuchh hai maah o saal ke ghaarat-gar se meri thani hai meri jaan par aan banii hai chahe kuchh ho mere aakhiri saans talak ab chahe kuchh ho

Jaun Elia

7 likes

khilwat mujhe tum apni baanhon men jakad lo aur main tum ko kisi bhi dil-kusha jazbe se yaksar na-shanaasana nashaat-e-rang ki sarshaari-e-haalat se begaana mujhe tum apni baanhon men jakad lo aur main tum ko fusoon-kaara nigaara nau-bahaara aarzoo-aara bhala lamhon ka meri aur tumhaari khwaab-parwar aarzoo-man dii ki sarshaari se kya rishta hamaari baahmi yaadon ki dildaari se kya rishta mujhe tum apni baanhon men jakad lo aur main tum ko yahaañ ab teesra koi nahin ya'ni mohabbat bhi

Jaun Elia

5 likes

naakaara kaun aaya hai koi nahin aaya hai paagal tez hawa ke jhonke se darwaaza khula hai achha yuñ hai bekaari men zaat ke zaKHmon ki sozish ko aur badhaane tez-ravi ki raahguzar se mehnat-kosh aur kaam ke din ki dhool aayi hai dhoop aayi hai jaane ye kis dhyaan men tha main aata to achha kaun aata kis ko aanaa tha kaun aata

Jaun Elia

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Elia.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Elia's nazm.