naakaara kaun aaya hai koi nahin aaya hai paagal tez hawa ke jhonke se darwaaza khula hai achha yuñ hai bekaari men zaat ke zaKHmon ki sozish ko aur badhaane tez-ravi ki raahguzar se mehnat-kosh aur kaam ke din ki dhool aayi hai dhoop aayi hai jaane ye kis dhyaan men tha main aata to achha kaun aata kis ko aanaa tha kaun aata
Related Nazm
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain
Tehzeeb Hafi
161 likes
murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar
Afkar Alvi
78 likes
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
More from Jaun Elia
raatein sacchi hain din jhoote hain chahe tum meri beenaai khurch daalo phir bhi apne KHvaab nahin chhodunga un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin todunga tez nazar na-beenaon ki aabaa dii men kya main apne dhyaan ki ye pounji bhi ginwa doon haan mere KHvaabon ko tumhaari subhon ki sard aur saaya-goon taabiron se nafrat hai in subhon ne shaam ke haathon ab tak jitne suraj beche vo sab ik barfaani bhaap ki chamkeeli aur chakkar khaati golaai the so mere KHvaabon ki raatein jaltee aur dahakti raatein aisi yakh-basta taabiron ke har din se achchhii hain aur sacchi bhi hain jis men dhundla chakkar khaata chamkeela-pan chhe itaraaf ka rog banaa hai mere andhere bhi sacche hain aur tumhaare rog ujaale bhi jhoote hain raatein sacchi hain din jhoote jab tak din jhoote hain jab tak raatein sahna aur apne KHvaabon men rahna KHvaabon ko bahkaane waale din ke ujaalon se achha hai haan main behkaavon ki dhund nahin odhoonga chahe tum meri beenaai khurch daalo main phir bhi apne KHvaab nahin chhodunga apna ahd nahin todunga yahii to bas meraa sab kuchh hai maah o saal ke ghaarat-gar se meri thani hai meri jaan par aan banii hai chahe kuchh ho mere aakhiri saans talak ab chahe kuchh ho
Jaun Elia
7 likes
hamesha qatl ho jaata hooñ main bisaat-e-zindagi to har ghadi bichhti hai uthatii hai yahaañ par jitne khaane jitne ghar hain saare khushiyaan aur gham ina'am karte hain yahaañ par saare mohre apni apni chaal chalte hain kabhi mahsoor hote hain kabhi aage nikalte hain yahaañ par shah bhi padti hai yahaañ par maat hoti hai kabhi ik chaal taltee hai kabhi baazi palatti hai yahaañ par saare mohre apni apni chaal chalte hain magar main vo piyaada hooñ jo har ghar men kabhi is shah se pahle aur kabhi us maat se pahle kabhi ik burd se pahle kabhi aafat se pahle hamesha qatl ho jaata hai
Jaun Elia
10 likes
qaateel suna hai tum ne apne aakhiri lamhon men samjha tha ki tum mirii hifazat men ho mire baazuon men ho suna hai bujhte bujhte bhi tumhaare sard o murda lab se ek shola shola-e-yaqoot-faam o rang o ummeed-e-farogh-e-zindagi-aahang lapka tha ha men KHud men chhupa lijye ye meraa vo azaab-e-jaan hai jo mujh ko mire apne KHud apne hi jahannam men jalata hai tumhaara seena-e-seemin tumhaare baazuwaan-e-mar-mareen mire li.e mujh ik hawasnaak-e-faromaaya ki khaatir saaz o saamaan-e-nashaat o nashsha-e-ishrat-fuzooni the mire ayyaash lamhon ki fusoon-gar pur-junooni ke li.e sad-lazzat aageen sad-karishma pur-zubaani the tumhein mirii hawas-pesha mirii saffaaq qaateel be-vafaaii ka gumaan tak is gumaan ka ek wehm-e-khud gurezaan tak nahin tha kyun nahin tha kyun nahin tha kyun koi hota koi to hota jo mujh se mirii saffaaq qaateel be-vafaaii ki saza men KHoon thukvaata mujhe har lamhe ki sooli pe latkaata magar fariyaad koi bhi nahin koi daregh uftaad koi bhi mujhe mafroor hona chahiye tha aur main saffaaq-qaatil be-vafa khoon-rez-tar main shahar men khud-vaardaati shahar men khud-mast aazaadaana firta hooñ nigaar-e-khaak-aasooda bahaar-e-khaak-aasooda
Jaun Elia
5 likes
shaayad main shaayad tumko yaksar bhoolne vaala hooñ shaayad jaan-e-jaan shaayad ki ab tum mujh...ko pahle se ziyaada yaad aati ho hai dil gamgeen bahut gamgeen ki ab tum yaad dildaaraana aati ho shamee men door maanda ho bahut ranjeeda ho mujhse magar phir bhi mashaa men jaañ men mere aashtee mandaana aati ho judaai men bala ka iltefaate muhrimaana hai qayamat ki khabargiri hai behad naaz bardaari ka aalam hai tumhaara rang mujh men aur gehre hote jaate hain main dartaa hooñ mere ehsaas ke is khwaab ka anjaam kya hogaa yah mere androone zaat ke taaraaj gar jazbon ke beri vaqt ki saazish na ho koi tumhaare is tarah har lamha yaad aane se dil sehama hua sa hai to phir tum kam hi yaad aao mata-e-dil mataa-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao bahut kuchh bah gaya hai seelain maah wa saal men ab tak sabhi kuchh to na bah jaa.e ki mere paas rah bhi kya gaya hai kuchh to rah jaa.e
Jaun Elia
7 likes
bas ek andaaza baras guzre tumhein soye hue uth jaao sunti ho ab uth jaao main aaya hooñ main andaaze se samjha hooñ yahaañ soi hui ho tum yahaañ roo-e-zameen ke is maqaam-e-aasmaani-tar ki had men baad-ha-e-tund ne mere li.e bas ek andaaza hi chhodaa hai
Jaun Elia
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Elia.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Elia's nazm.







