nazmKuch Alfaaz

main mujhe maaloom hai ye main kahaan hooñ abhii tanhaaiyon men jee raha hooñ vo ladka kuchh nahin kar paayega ab ye tohmat muskuraa ke likh raha hooñ diwali men bhi ghar sunsaan meraa mahaj parchaaiyon ka yak-jahaan hooñ tumhaare baad dekho kya hua hai main apni maut ke din gin raha hooñ jo mehnat kar rahe ho haarna mat main qismat ka nahin teraa jahaan hooñ kahega kaun is haalat men ranjan zaraa thehro main teraa ham-rahan hooñ

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka

Jaun Elia

216 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men

Muneer Niyazi

108 likes

More from ABHISHEK RANJAN

maa meri KHvaahish meri maataa meraa jeevan meri maataa agar aaya hooñ duniya men vo zariyaa hain meri maataa jo meri baat karti hain zamaane se bhi lad jaun mujhe darpan dikhaati hain galat kya hai sahi kya hai mujhe gussa dikhaati hain mujhe puchkarti bhi hain magar dil kii vo sacchi hain vo jag men sabse achchhii hain mere armaan ke khaatir vo aadhi pet khaati hai vo KHud ka gham chhupaati hain mujhe hañs ke dikhaati hain unhen ummeed hai mujhse karunga naam main raushan banuunga shaan main unka unhin ke raah pe chalkar k abhii jo toot jaata hooñ safar men chhoot jaata hooñ vahii ik haath deti hain mujhe girne nahin deti vo kahti hain mere bete karo mehnat rakho himmat karo koshish sadaa hardam abhii ummeed mat haaro zara sii aandhiyaan hain ye tumhaara kya bigaarenge yaqeenan chand lamhon men tumhein manzil bulaayegi vahii jo door hai tumse vahii phir paas aayenge jo rishta tod baithe hain vahii apna bulaaenge samay ka khel hai sab kuchh samay hi sab bataaega qadam roko nahin ik din yahii manzil dilaaega bhala kaise bataa ranjan ghalat ka raasta chunta haan maa ke aankh men aañsu bhala kya dekh saktaa hai

ABHISHEK RANJAN

0 likes

meri waali nazaron hi nazaron men baatein karti hai apne hi dhun men vo khoi rahtii hai paisa daulat kii us..ko parwaah nahin ishq men sachcha majnun us..ko bhaata hai lambi hai maana par dil kii sacchi hai jaisi bhi ho meri waali achchhii hai zulf bikhere galiyon men jab ghu men woh KHvaahish meri meraa maatha choo men vo main rakhoon roza vo bhi upvaas kare har lamha har pal vo mere saath rahe mujh...ko dekhe mujh...ko soche baat kare mere hi KHvaabon men vo din raat kare ai maalik tu meraa us..ko kar dena haath men mehan dii mere naam kii bhar dena

ABHISHEK RANJAN

0 likes

aañkhen machalti jheel sii maano koii dariyaa hai ye aañkhen tumhaare dil ko jaane ka koii jariya hai ye aañkhen tumhaare baal u uupar se ye maano rashk karte hain jahaan se khoobsurat hai bahut badhiya hain ye aañkhen mujhe hairaan karti hai mere KHvaabon men aa kar ke kabhi mujh...ko daraati hai mujhe ghussa dikha kar ke khushi se jhoom jaata hooñ agar woh saamne ho to jahaan men hai nahin dooja mere mahboob sii aañkhen na sota hooñ na rota hooñ use hi yaad karta hoonna jaane ban gaii kaise mirii duniya vahii aañkhen bharosa tha vahii aañkhen to badli hai asambhav tha bhala kaisa ye jaadu kar gaya maashooq kii aañkhen nazar se dik hi jaata hai dilon men khalbali ho to zamaana poochta hai ab banega aas kya aañkhen jise aañkhen dikhaate ho vahii to rehnuma tha phir samay badla to patthar ban gaii dekho kaii aañkhen kabhi to soch lo unka jo tumse door baithe hain vo aañkhen kah rahi hai dekh lena aayega ik din jo mujhse door rehta hai mirii aañkhen banega woh vo boodha aadmi hai aas men baitha hua lekin zaraa dekho na ranjan kya sahaara de sakega vo sabhi rishton ko kar dhoomil chuna jisne ghalat aañkhen

ABHISHEK RANJAN

0 likes

naakaami naakaami men ghira hua dekho ranjan apna koii mujh...ko aaj na lagta hai zimmedaari mujh par dekho bhari hai chup hi rahna meri to laachaari hai jo socha tha aaj bhi us se door hooñ main waqt ke haathon haan ranjan majboor hooñ main jag hansta hai mujh par mujh...ko fark nahin jo apna hai woh kyuuñ mujh par hansta hai idhar udhar ke log bhi mujh...ko kya jaane apne bachchon ko hardam woh kahtaa hai dekho ladka us se tum to door raho safal nahin jo vo kya safal banaayega ghar ke paison par hi dekho palta hai dekho to kaise vo shaan se chaltaa hai papa kii pounji men aag lagata hai dilli men rahkar vo mauj udaata hai bolo ranjan aise ko main kya boloon haan sach hai ab tak bilkul naakaam hooñ main manzil thodii door sahi lekin dekho marte dam tak main to haar na maanoonga abhii to dukh ke sailaabon ko sahna hai jeb hai khaali mujh...ko tanhaa rahna hai haan kaali megha ki ye to aahat hai mujh...ko manzil bas teri ik chaahat hai naakaami kii chadar bhi hat jaayegi aaKHir qismat kab tak mujhe rulaayegi bas kuchh din men baadal ye chhant jaayega ranjan yaqeen hai meraa din bhi aayega

ABHISHEK RANJAN

0 likes

tauba hai ranjan kal se sab cheezein se tauba hai mujh...ko uski ummeedon se tauba hai miraa ho ke nahin miraa jo ban paa.e mujh...ko haan aise logon se tauba hai dikhlaana hai mujh...ko seerat dikhlaao pyaari manmohak shaklon se tauba hai kab tak vaa'da karke nahin nibhaaenge desh kii haan in gaddaaron se tauba hai pyaar men haare ladke meri baat sune ab se in saste heero se tauba hai chhodo bhi ab kitna aage jaaoge ranjan teri lambi nazmon se tauba hai

ABHISHEK RANJAN

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on ABHISHEK RANJAN.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with ABHISHEK RANJAN's nazm.