nazmKuch Alfaaz

naam tumhaara dekho maine nazm likhi hai ik chhote saade kaagaz par ek hañsi hothon par lekar tum isko chupke se padhna log agar kuchh poochen tumse chup hi rahna kuchh mat kehna khwaab mere kuchh likkhe honge kuchh khushiyon ki baatein hongi al saa.e se din kuchh honge kuchh sahmi si raatein hongi ek nadi bhi bahti hogii kuchh pariyaan bhi udti hongi chaand wahin par baitha hogaa thak kar ghar ko lautaa hogaa phool khile honge kaagaz par barsaaton ka mausam hogaa titli hogii panchi honge ithlaata sa saawan hogaa ek andhere se jungle men saawan ki baarish men khilte neel kanwal ko chunne jaate dik jaayenge tumko bacche door kahii ik bastii hogii raat ga.e dekhoge us men ek diya jalta sehama sa au us men jaltee ummeedeinus chhote kaagaz par maine saari duniya likh daali hai saari khushiyaan bhi likkhi hain aur gamon ki hariyaali hai parvat bhi hai jharna bhi hai jeevan hai au marna bhi hai aur KHuda bhi to likkha hai waan to kone men rakha hai tum bhi hairaan soch rahi ho saari baatein khoj rahi ho main tumko paagal lagta hooñ sab likkha hai sach kahtaa hooñ kuchh hi harf likhe the maine in men sab duniya simti hai gaur karo tum phir se dekho naam tumhaara likkha hai bas

Related Nazm

chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e

Amir Ameer

295 likes

tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii aur hi tarah ki aañkhen thii tere chehre par tu kisi aur sitaare se chamak laai thii teri awaaz hi sabkuchh thii mujhe monis-e-jaan kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse teri chup se hi yahii mehsoos kiya tha maine jeet jayega teraa gham kisi roz mujhse shahar aawaazen lagata tha magar tu chup thii ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thii vahii anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha chali aati hai yahii rasm kaii sadiyon se yahii hota hai yahii hogaa yahii hona tha poochta rehta tha tujhse ki bataa kya dukh hai aur meri aankh men aañsu bhi nahin hote the maine andaaze lagaye ke sabab kya hogaa par mere teer taraazu bhi nahin hote the jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya men jiske jaane pe mujhe tune jagah dii dil men meri qismat men hi jab khaali jagah likhi thii tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta main vo sabza tha jise raund diya jaata hai main vo jungle tha jise kaat diya jaata hai main vo dard tha jise dastak ki kamii khaati hai main vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai main vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi main to vo tha jise yaad nahin karta koi KHair is baat ko tu chhod bataa kaisi hai tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se aaj kal phir se tu chup rahtii hai sab theek to hai

Tehzeeb Hafi

180 likes

yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ

Khalil Ur Rehman Qamar

191 likes

"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men

Muneer Niyazi

108 likes

raaygaani main kamre men pichhle ikattees dinon se faqat is haqeeqat ka nuksaan ginne ki koshish men uljha hua hooñ ki tu ja chuki hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai tujhe yaad hai vo zamaana jo campus ki pagdandiyon pe tahalte hue kat gaya tha tujhe yaad hai ki jab qadam chal rahe the ki ek pair teraa tha aur ek meraa qadam vo jo dharti pe aawaaz dete ki jaise ho raaga koi mutriboon ka qadam jaise ke sa pa ga ma pa ga sa re vo table ki tirakhat pe tak dhin dhinka dhin tink dhin dhana dhin bahm chal rahe the qadam chal rahe the qadam jo musalsal agar chal rahe the to kitne gavaiyon ke ghar chal rahe the magar jis gha dii tu ne us raah ko mere tanha qadam ke hawaale kiya un suron ki kahaanii wahin ruk gaii kitnii fankaariyaan kitnii baarikiyaan kitnii kaliyaan bilaaval gavaiyon ke honthon pe aane se pahle fana ho gaye kitne nusrat fateh kitne mehn dii hasan muntazir rah gaye ki hamaare qadam phir se uthne lagen tujhko maaloom hai jis gha dii meri awaaz sun ke tu ik zaaviye pe palat ke mu dii thii wahaan se relativity ka janaaza utha tha ki us zaaviye ki kashish men hi yoonan ke falsafe sab zamaanon ki tarteeb barbaad kar ke tujhe dekhne aa gaye the ki tere jhukaav ki tamsil pe apni seedhi lakeeron ko kham de saken apni ak dii hui gardanon ko liye apne vaqton men palten geometry ko janam de saken ab bhi kuchh falsafi apne feke zamaanon se bhaage hue hain mere raaston pe aañkhen bichhaaye hue apni daanisht men yuñ khade hain ki jaise vo daanish ka mamba yahiin pe kahii hai magar mud ke takne ko tu hi nahin hai to kaise florence ki tang galiyon se koi davinci uthe kaise hispania men picasso bane unki aankhoñ ko tu jo muyassar nahin hai ye sab tere mere ikatthe na hone ki qeemat ada kar rahe hain ki tere na hone se har ik zama men har ek fan men har ek dastaan men koi ek chehra bhi taza nahin hai tujhe raaygaani ka ratti barabar andaaza nahin hai

Sohaib Mugheera Siddiqi

73 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ashutosh Kumar "Baagi".

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ashutosh Kumar "Baagi"'s nazm.