nazmKuch Alfaaz

ai nukta-varaan-e-sukhan-aara-o-sukhan-sanj ai naghma-giraan-e-chamanistaan-e-maafi maana ki dil-afroz hai afsaana-e-azra maana ki dil-aawez hai salma ki kahaanii maana ki agar chhed haseenon se chali jaa.e kat jaayega is mashghale men ahad-e-jawaani garmaayega ye hamhama afsurda dilon ko badh jaayegi dariya-e-tabeeat ki ravaani maana ki hain aap apne zamaane ke nazeeri maana ki har ik aap men hai urfi-e-saani maana ki hadees-e-khat-o-rukhsaar ke aage bekar hai mashshaaiyon ki falsafa-daani maana ki yahii zulf o khat-o-khaal ki roodaad hai maaya-e-gul-kaari-e-aivaan-e-maafi lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha ye aap ki taqweem hai sadiyon ki puraani maashooq naye bazm nayi rang naya hai paida naye khaa men hue hain aur naye maani mizgaan ki sinaan ke evaz ab sunti hai mehfil kaanton ki kathaa barhana-paai ki zabaani lazzat vo kahaan laal-e-lab-e-yaar men hai aaj jo de rahi hai pet ke bhookhon ki kahaanii badla hai zamaana to badliye ravish apni jo qaum hai bedaar ye hai us ki nishaani ai hum-nafso yaad rahe khoob ye tum ko bastii nayi mashriq men humeen ko hai basaani

Related Nazm

log to log hain akshar mazaak karte hain vo alag baat hai kuchh darmiyaan nahin phir bhi ha men maaloom hai tum be-vafa nahin phir bhi suna hai aajkal tum bekaraar rahte ho aur itne ki shaayad beshumaar rahte ho suna hai aadatan khaana bhi chhod rakha hai tumne ghar se kahii jaana bhi chhod rakha hai haan beshak hamko mile ek arsa beet gaya haan magar ajnabi logon ka bhi bharosa kya ha men maaloom hai tum be-vafa nahin phir bhi log to log hain akshar mazaak karte hain vo akshar tanj karte hain ki is zamaane men tumhaari tarah koi doosra kahaan hogaa tumhaari rukh hai ki hai chaand jaisa noor is men jo tujhpar marte hain unka bhi kya kusoor is men badaa kambakht hai ye sabki khabar rakhta hai zamaana har kisi harkat pe nazar rakhta hai yahaañ logon ki baaton ka bharosa to nahin par ye baat sach hai bahr-haal is zamaane men tumhaari tarah koi doosra kahaan hogaa khairlog to log hain akshar mazaak karte hain

Ravi Prakash

7 likes

main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai mujh se pahle kitne shayar aa.e aur aa kar chale ga.e kuchh aahen bhar kar laut ga.e kuchh nag men ga kar chale ga.e ve bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hooñ kal tum se juda ho jaaunga go aaj tumhaara hissa hooñ main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai kal aur aayenge nagmon ki khilti kaliyaan chunne waale mujhse behtar kehne waale tumse behtar sunne waale kal koi mujh ko yaad kare kyuuñ koi mujh ko yaad kare masroof zamaana mere li.e kyuuñ vaqt apna barbaad kare main pal-do-pal ka shayar hooñ pal-do-pal meri kahaanii hai pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai rishton ka roop badalta hai buni yaaden khatm nahin hoti KHvaabon aur umangon ki mi yaaden khatm nahin hoti ik phool men teraa roop basa ik phool men meri jawaani hai ik chehra teri nishaani hai ik chehra meri nishaani hai main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai tujhko mujh...ko jeevan amrit ab in haathon se peena hai inki dhadkan men basna hai inki saanson men jeena hai tu apni adaayein baksh inhen main apni wafaayein deta hooñ jo apne li.e socheen thii kabhi vo saari duaayein deta hooñ main har ik pal ka shayar hooñ har ik pal meri kahaanii hai har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai

Sahir Ludhianvi

52 likes

yuva yah jo gora badan tha ab woh kaala pad gaya yah jo mulaayam pair tha aaj us men chaala pad gaya maathe par paseena hai jiska kaaran kabhi badalta mausam tha aaj usii paseene ka kaaran mehnat se bhara tan tha kal jahaan har kaam kona karne ke li.e bahaana tha aaj usii kaam ko karna hai kyonki ha men paise kamaana tha jo kal tha woh aaj nahin hai ham jahaan kal the aaj ham aur kahii hain

BINDESH KUMAR JHA

2 likes

chhoti sii mulaqaat ham bachpan men khelte hue yuñ jawaan ho ga.e armaan bina kahe hi sab bayaañ ho ga.e bachpan men khelte the jo chhupne ka khel ham chahte the na Dhoondh paa.e koii chhupte the aise ham ek din pata chala ki haara nahin hai koii Dhoondhaa to ek ne tha pakde ga.e the ham saansen to chhoo rahi thii chup chup khade the ham maana ki dhadkanoon ko roke rahe the ham dil ne na maani baat paseene se naha ga.e dhadkan thii itni tez darne lage the ham aisi mulaqaat kabhi mehsoos na kii thii dono ne kabhi aisi koii baat na kii thii khafa hooñ zindagi se vo waqt beet kyuuñ gaya uske guzar jaane kii koii baat na kii thii uske guzar jaane kii koii baat na kii thii

arjun chamoli

3 likes

diwali mirii saanson ko geet aur aatma ko saaz deti hai ye diwali hai sab ko jeene ka andaaz deti hai hriday ke dwaar par rah rah ke deta hai koi dastak barabar zindagi awaaz par awaaz deti hai simtata hai andhera paanv failaati hai diwali hans aa.e jaati hai rajni hanse jaati hai diwali qataarein dekhta hooñ chalte-firte maah-paaron ki ghataaein aanchalon ki aur barkha hai sitaaron ki vo kaale kaale gesu surkh hont aur phool se aariz nagar men har taraf pariyaan tahlati hain bahaaron ki nigaahon ka muqaddar aa ke chamkaati hai diwali pahan kar deep-maala naaz farmaati hai diwali ujaale ka zamaana hai ujaale ki jawaani hai ye hansati jagmagaati raat sab raaton ki raani hai vahii duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka hai jab tak raat baaki kah nahin sakte ki faani hai vo jeevan aaj ki raat aa ke barsaati hai diwali paseena maut ke maathe pe chhalkaati hai diwali sabhi ke deep sundar hain hamaare kya tumhaare kya ujaala har taraf hai is kinaare us kinaare kya gagan ki jagmagahat pad gaii hai aaj madhham kyun munderon aur chhajjon par utar aa.e hain taare kya hazaaron saal guzre phir bhi jab aati hai diwali mahal ho chahe kutiya sab pe chha jaati hai diwali isee din draupadi ne krishna ko bhaai banaya tha vachan ke dene waale ne vachan apna nibhaaya tha janam din lakshmi ka hai bhala is din ka kya kehna yahii vo din hai jis ne raam ko raja banaya tha kaii itihaas ko ek saath dohraati hai diwali mohabbat par vijay ke phool barsaati hai diwali gale men haar phoolon ka charan men deep-maalayen mukut sar par hai mukh par zindagi ki roop-rekhaayen li.e hain kar men mangal-ghat na kyun ghat ghat pe chha jaayen agar partav pade murda-dilon par vo bhi jee jaayen ajab andaaz se rah rah ke maskaati hai diwali mohabbat ki lehar nas nas men daudati hai diwali tumhaara hooñ tum apni baat mujh se kyun chhupaate ho mujhe maaloom hai jis ke li.e chakkar lagaate ho banaras ke ho tum ko chahiye tyaohar ghar karna buton ko chhod kar tum kyun ilahaabad jaate ho na jaao aise men baahar nazeer aati hai diwali ye kaashi hai yahiin to rang dikhlaati hai diwali

Nazeer Banarasi

6 likes

More from Zafar Ali Khan

prayaag men mili hai jamuna se aa ke ganga pighla hua ye neelam bahta hua vo heera in ki judaaiyon ne kheecha hai naqsh-e-jauza in ki ravaaniyaan hain shaan-e-khuda-e-yakta sangam ki seedhiyon par moti ludhak raha hai

Zafar Ali Khan

0 likes

baarha dekha hai tu ne aasmaañ ka inqilaab khol aankh aur dekh ab hindostaan ka inqilaab maghrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar inqilaab-e-hind hai saare jahaan ka inqilaab kar raha hai qasr-aazaa dii ki buniyaad ustuvaar fitrat-e-tifl-o-zan-o-peer-o-jawan ka inqilaab sabr waale chha rahe hain jabr ki aqliim par ho gaya farsooda shamsher-o-sinaan ka inqilaab

Zafar Ali Khan

0 likes

ashnaan karne ghar se chale laala-laal-chand aur aage aage lala ke un ki bahu gaii poocha jo main ne lala lallaain kahaan gaiin neechi nazar se kehne lage vo bhi choo gaii main ne diya javaab unhen az-rah-e-mazaq kya vo bhi koi chat thii ki baarish se choo gaii kehne lage ki aap bhi hain maskhare ajab ab tak bhi aap se na tamaskhur ki khoo gaii choo hoshiyaar par main na dii se hai ye muraad bibi tameez bhi hain wahin karne wuzoo gaii main ne kaha ki choo se agar hai muraad joo phir yuñ kaho ki ta-b-lab-e-aab-joo gaii kyun ainthen hain maash ke aate ki tarah aap dhoti se aap ki nahin hal dii ki boo gaii lutfe-zabaan se kya ho sarokaar aap ko daaman ko aap ke nahin tahzeeb choo gaii hin dii ne aa ke jeem kooche se badal diya choo aayi kohsaar se gulshan se joo gaii lahjaa hua durusht zabaan ho gaii karkht lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gaii maani ko hai gilaa ki hua be-hijaab main shikwa hai lafz ko ki mirii aabroo gaii afsos mulk men na rahi faarsi ki qadr masti udri sharaab se phoolon ki boo gaii

Zafar Ali Khan

0 likes

zinda-baash ai inqilaab ai shola-e-faanus-e-hind garmiyaan jis ki farogh-e-mankul-e-jaan ho gaiin bastiyon par chha rahi theen maut ki khaamoshiyaan tu ne soor apna jo phoonka mahsharistan. ho gaiin jitni boonden theen shaheedaan-e-watan ke KHoon ki qasr-aazaa dii ki aaraish ka saamaan ho gaiin marhaba ai nau-giraftaar-e-bedad-e-farang jin ki zanjeeren kharosh-afza-e-zindaan ho gaiin zindagi un ki hai deen un ka hai duniya un ki hai jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurbaan ho gaiin

Zafar Ali Khan

0 likes

wazeer-chand ne poocha zafar-ali-khan se shri-krishna se kya tum ko bhi iraadat hai kaha ye us ne vo the apne vaqt ke haa dii isee li.e adab un ka mirii saadat hai fasaad se unhen nafrat thii jo hai mujh ko bhi aur us pe de rahi fitrat mirii shahaadat hai hai is watan men ik aisa giroh bhi maujood shri-krishna ki jo kar raha ibadat hai magar fasaad hai us ki sarishta men daakhil bichaare kya karen pad hi chuki ye aadat hai

Zafar Ali Khan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zafar Ali Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zafar Ali Khan's nazm.