taaj tere li.e ik mazhar-e-ulfat hi sahi tujh ko is waadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi meri mahboob kahii aur mila kar mujh se bazm-e-shaahi men ghareebon ka guzar kya ma'ni sabt jis raah men hon satwat-e-shaahi ke nishaanus pe ulfat bharii roohon ka safar kya ma'ni meri mahboob pas-e-parda-e-tash'heer-e-wafa tu ne satvat ke nishaanon ko to dekha hota murda-shaahon ke maqaabir se bahlne waali apne tareek makaanon ko to dekha hota an-ginat logon ne duniya men mohabbat ki hai kaun kahtaa hai ki saadiq na the jazbe un ke lekin un ke li.e tashheer ka samaan nahin kyunki vo log bhi apni hi tarah muflis the ye imaaraat o maqaabir ye faseelen ye hisaar mutlaq-ul-hukm shahenshaahon ki azmat ke sutoon seena-e-dehr ke naasoor hain kohna naasoor jazb hai un men tire aur mire ajdaad ka khun meri mahboob unhen bhi to mohabbat hogii jin ki sannaai ne bakshi hai use shakl-e-jameel un ke pyaaron ke maqaabir rahe benaam-o-numood aaj tak un pe jalaaii na kisi ne qindeel ye chaman-zaar ye jamuna ka kinaara ye mahal ye munqash dar o deewaar ye mehraab ye taq ik shahenshah ne daulat ka sahaara le kar ham ghareebon ki mohabbat ka udaaya hai mazaak meri mahboob kahii aur mila kar mujh se
Related Nazm
jazbaat jo ye aankhoñ se bah raha hai kitne ham laachaar hai tum samjho to intezar hai varna koi intezar nahin tumhaari yaad men aise dooba jaise koi beemaar hai tum samjho to bekaraar hai varna koi bekaraar nahin jo meri dhadkan chal rahi hai in men bas tumhaara naam hai tum samjho to ye pukaar hai varna koi pukaar nahin in haatho se tumhaari zulfen sanvaarni hain har shaam tumhaare saath guzaarni hai tum samjho to ye dulaar hai varna koi dulaar nahin tumhaare bas dil men jagah nahin tumhaari rooh se rishta chahiye tum samjho to ye aar-paar hai varna kuchh aar-paar nahin tumhein mil to jaayega mujhse achha saamne tumhaare to qatar hai tumhein pata hai na tumhaari chaahat ka bas ek haqdaar hai baaki koi haqdaar nahin tumhaari baanhon men hi sukoon milega mujhe sach kahooñ to darkaar hai tum samjho to ye bahaar hai varna kahii bahaar nahin tumhaari god men aaraam chahiye tumhaari aawaaz men bas apna naam chahiye tum samjho to ye qaraar hai varna koi qaraar nahin tum ho jo mere jeevan ka tum nahin to sab bezaar hai tum samjho to ye aadhaar hai varna koi aadhaar nahin kaash tum bhi hamse iqraar karte chaahat ki barsaat musala-dhaar karte main tumse behad karta aur tum behad ki bhi had paar karte tum samjho to in sab ke aasaar hain varna koi aasaar nahin agar tum koshish karte to pata chaltaa ki tum ho to ghar-baar hai tum se hi meraa sansaar hai varna koi sansaar nahin bin tere zindagi to rahegi kaat lenge tumhaare bina tum samjho to jeene ka vichaar hai varna koi vichaar nahin ye duniya bhale kuchh bhi bole tum meri nahin to kya main tumhaara to hooñ na yahii meraa izhaar hai agar tum samjho to ye pyaar hai varna koi pyaar nahin
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
ik khat mujhe likhna hai dilli men base dil ko ik din mujhe chakhna hai khaaja teri nagri ka khusro teri chaukhat se ik shab mujhe peeni hai sheereeni sukhanvaali khushboo e watan waali ghalib tere markad ko ik she'r sunaana hai ik saanwali rangat ko chupke se bataana hai main dil bhi hooñ dilli bhi urdu bhi hooñ hin dii bhi ik khat mujhe likhna hai mumkin hai k abhii likkhoon mumkin hai abhii likkhoon
Ali Zaryoun
25 likes
nasri nazm nasr abbaa nazm amaan dono ko inkaar hai ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-waar hai sirf lafzaazi pe mabni hai ye tajree dii kalaam jis men anqa hain maani lafz parda-daar hai nasr hai gar nasr to vo nazm ho sakti nahin nazm jo ho nasr ki maanind vo be-kaar hai qaafiye ki koi paaban dii na hai qaid-e-radif be-dar-o-deewaar ka ye ghar bhi kya purkaar hai bahar se azaad qaid-e-wazan se hai be-niyaaz waah kya madar pidar azaad ye dildaar hai martabe men meer o mumin se hai har koi buland in men har be-bahr ghalib se badaa fankaar hai jis ke chamche jitne zyaada hon vo utna hi azeem aaj kal misra uthaana ek kaarobaar hai daad sirf apnon ko dete hain giroh-andar-giroh un ke tole se jo baahar ho gaya murdaar hai ban gaya ustaad-o-allaama yahaañ har be-shuur kor-chashm ahl-e-nazar hone ka daavedaar hai shaayri juz-shairi hai hai zaraa mehnat-talab aur mehnat hi vo shay hai jis se un ko aar hai paap-music ke li.e mauzoon hai nasri shaayri har rivaayat se baghaavat ki ye daavedaar hai tabb-e-mauzoon gar na bakshi ho KHuda ne aap ko shaayri kyun kijeye aaKHir kya KHuda ki maar hai daad dena aisi nazmon ko ba dii be-daad hai jo na samjha aur kahe samjha badaa makkaar hai
Aasi Rizvi
13 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
More from Sahir Ludhianvi
Wo subah kabhi to aaegi
Sahir Ludhianvi
0 likes
saathiyo main ne barson tumhaare li.e chaand taaron bahaaron ke sapne bune husn aur ishq ke geet gaata raha aarzooon ke aivaan sajaata raha main tumhaara mughanni tumhaare li.e jab bhi aaya naye geet laata raha aaj lekin mire daaman-e-chaak men gard-e-raah-e-safar ke siva kuchh nahin mire barbat ke seene men nagmon ka dam ghut gaya taanein cheekh'on ke ambaar men dab gaii hain aur geeton ke sur hichakiyaañ ban ga.e hain main tumhaara mughanni hooñ naghma nahin hooñ aur nag men ki takhleeq ka saaz-o-samaan saathiyo aaj tum ne bhasm kar diya hai aur main apna toota hua saaz thaa men sard laashon ke ambaar ko tak raha hooñ mire chaaron taraf maut ki vahshatein naachti hain aur insaan ki haiwaaniyat jaag uthi hai barbariyat ke khun-khaar ifreet apne naapaak jabdon ko khole KHoon pee pee ke gurra rahe hain bacche maon ki godon men sah men hue hain ismatein sar-barhana pareshaan hain har taraf shor-e-aah-o-buka hai aur main is tabaahi ke toofaan men aag aur khun ke haijaan men sar-nigoon aur shikasta makaanon ke malbe se pur raaston par apne nagmon ki jholi pasaare dar-b-dar phir raha hooñ mujh ko amn aur tahzeeb ki bheek do mire geeton ki lay meraa sur meri nay mire majrooh honton ko phir saunp do saathiyo main ne barson tumhaare li.e inqilaab aur baghaavat ke nag men alaape ajnabi raaj ke zulm ki chaanv men sarfaroshi ke khwaabida jazbe ubhaare aur us subh ki raah dekhi jis men is mulk ki rooh azaad ho aaj zanjeer-e-mehkoomiyat kat chuki hai aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar ajnabi qaum ke zulmat-afshan farere ki manhoos chaanv se azaad hain khet sona ugalne ko bechain hain vaadiyaan lahlahaane ko betaab hain kohsaaron ke seene men haijaan hai sang aur khisht be-khwab wa bedaar hain un ki aankhoñ men taameer ke KHvaab hain un ke KHvaabon ko takmeel ka roop do mulk ki vaadiyaan ghaatiyan khetiyan auratein bacchiyan haath phailaaye khairaat ki muntazir hain in ko amn aur tahzeeb ki bheek do maon ko un ke honton ki shaadaabiyan nanhe bacchon ko un ki khushi bakhsh do mulk ki rooh ko zindagi bakhsh do mujh ko meraa hunar meri lay bakhsh do aaj saari fazaa hai bhikaari aur main is bhikaari fazaa men apne nagmon ki jholi pasaare dar-b-dar phir raha hooñ mujh ko phir meraa khoya hua saaz do main tumhaara mughanni tumhaare li.e jab bhi aaya naye geet laata rahoonga
Sahir Ludhianvi
2 likes
ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke ye lutte hue kaarvaan zindagi ke kahaan hain kahaan hai muhafiz khu dii ke jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye purpeech galiyaan ye badnaam bazaar ye gumnaam raahi ye sikko ki jhankaar ye ismat ke saude ye saudo'n pe takraar jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye sadiyon se bekhwaab sahmi si galiyaan ye masli hui adhkhili zard kaliyaan ye bikti hui khokhli rang-ralliyaan jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain vo ujle dareechon men paayal ki chhan-chhan thaki-haari saanson pe table ki dhan-dhan ye berooh kamron men khansi ki than-than jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain ye phoolon ke gajre ye peeko'n ke chheente ye bebaak nazren ye gustaakh fikre ye dhalke badan aur ye beemaar chehre jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi tanomand bete bhi abbaa miyaan bhi ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain madad chahti hai ye hawwa ki beti yashoda ki hamjins radha ki beti payambar ki ummat zulaykhaan ki beti jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain zara mulk ke rahbaro'n ko bulao ye kuche ye galiyaan ye manzar dikhaao jinhen naaz hai hind par unko laao jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain
Sahir Ludhianvi
2 likes
log aurat ko faqat jism samajh lete hain log aurat ko faqat jism samajh lete hain rooh bhi hoti hai us men ye kahaan sochte hain rooh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin vo to bas tan ke taqaazon ka kaha maante hain rooh mar jaate hain to ye jism hai chalti hui laash is haqeeqat ko na samjhte hain na pahchaante hain kitnii sadiyon se ye vehshat ka chalan jaarii hai kitnii sadiyon se hai qaaim ye gunaahon ka rivaaj log aurat ki har ik cheekh ko naghma samjhe vo qabeelon ka zamaana ho ki shehron ka rivaaj jabr se nasl badhe zulm se tan mel karen ye amal ham men hai be-ilm parindon men nahin ham jo insaano ki tahzeeb li.e firte hain ham sa wahshi koi jungle ke darindon men nahin ik bujhi rooh lute jism ke dhaanche men li.e sochti hoon main kahaan ja ke muqaddar phoroon main na zinda hoon ki marne ka sahaara dhoondhoon aur na murda hoon ki jeene ke ghamon se chhootoon kaun batlaayega mujh ko kise ja kar poochhun zindagi qahr ke saanchon men dhalegi kab tak kab talak aankh na kholega zamaane ka zameer zulm aur jabr ki ye reet chalegi kab tak aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya jab jee chaaha masla kuchla jab jee chaaha dhutkaar diya tulti hai kahii deenaaron men bikti hai kahii bazaaron men nangi nachvaaii jaati hai ayyaashon ke darbaaron men ye vo be-izzat cheez hai jo bat jaati hai izzat-daaron men aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya mardon ke li.e har zulm rawa aurat ke li.e rona bhi KHataa mardon ke li.e har aish ka haq aurat ke li.e jeena bhi saza mardon ke li.e laakhon sejen aurat ke li.e bas ek chitaa aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya jin seenon ne in ko doodh diya un seenon ko bevepaar kiya jis kokh men in ka jism dhala us kokh ka kaarobaar kiya jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zaleel-o-khwaar kiya sansaar ki har ik be-sharmi gurbat ki god men palati hai chaklon hi men aa kar rukti hai faaqon se jo raah nikalti hai mardon ki havas hai jo akshar aurat ke paap men dhalti hai aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya aurat sansaar ki qismat hai phir bhi taqdeer ki heti hai avtaar payambar jantee hai phir bhi shaitaan ki beti hai ye vo bad-qismat maa hai jo beton ki sej pe leti hai aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya
Sahir Ludhianvi
12 likes
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii mujh ko raaton ki siyaahi ke siva kuchh na mila main vo naghma hoon jise pyaar ki mehfil na mili vo musaafir hoon jise koi bhi manzil na mili zakham paa.e hain bahaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin raaste men koi dhundla sa sitaara bhi nahin meri nazaron ne nazaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii dil men naakaam umeedon ke basere paa.e raushni lene ko niklaa to andhere paa.e rang aur noor ke dhaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii meri raahon se juda ho gaiin raahen un ki aaj badli nazar aati hain nigaahen un ki jin se is dil ne sahaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii pyaar maanga to siskate hue armaan mile chain chaaha to umdate hue toofaan mile doobte dil ne kinaaron ki tamannaa ki thii maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thii
Sahir Ludhianvi
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's nazm.







