nazmKuch Alfaaz

tere zehan men tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai jo dil kabhi dhadakta tha mujhe dekh kar vo ab tham sa chuka hai ye pata chal raha hai vo mohabbat jo meri thii kabhi aaj kisi aur ki hai ye pata chal raha hai tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai ye ashk na bahao mere saamne tum ye ashk jhoothe hai ye pata chal raha hai jo judaai par mar jaane ki baat kiya karti thii aaj vo kisi or par marti hai ye pata chal raha hai tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai

Related Nazm

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Faiz Ahmad Faiz

160 likes

tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se

Zubair Ali Tabish

117 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

mahbooba ke naam tu apni chitthiyon men meer ke ashaar likhti hai mohabbat ke bina hai zindagi bekar likhti hai tere khat to ibaarat hain wafadari ki qasmoñ se jinhen main padhte dartaa hooñ vahii har baar likhti hai tu pairokaar leila ki hai sheerin ki pujaaran hai magar tu jispe baithi hai vo sone ka singhaasan hai teri palkon ke maskaare tere honthon ki ye laali ye tere reshmi kapde ye tere kaan ki baali gale ka ye chamakta haar haathon ke tere kangan ye sab ke sab hai mere dil mere ehsaas ke dushman ki inke saamne kuchh bhi nahin hai pyaar ki qeemat wafa ka mol kya kya hai aitbaar ki qeemat shikasta kashtiyon tooti hui patwaar ki qeemat hai meri jeet se badhkar to teri haar ki qeemat haqeeqat KHoon ke aañsu tujhe rulvaayegi jaanaan tu apne faisley par baad men pachtaayegi jaanaan mere kaandhe pe chhote bhaaiyon ki zimmedaari hai mere maa baap boodhe hai behn bhi to kunvaari hai barhana mausamon ke vaar ko tu sah na paayegi haveli chhod kar tu jhopdi men rah na paayegi ameeri teri meri muflisi ko chhal nahin sakti tu nange paanv to kaaleen par chal nahin sakti

Abrar Kashif

50 likes

More from Kushal "PARINDA"

aisa kahaan hota hai sahi suna tha jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai vaise to ishq meraa ik tarafaa hi tha us ke darmiyaan varna do tarafaa mohabbat men be-vafaaii ho jaa.e aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai agar ishq men leila nahin thii vo to majnu nahin hooñ main agar ishq men heer nahin thii vo to raanjha bhi nahin hooñ main use saccha ishq hota to aakar bataati mujhe varna ishq men vafaa karne par aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai main ishq zaahir karta raha vo be-vafaaii se kabhi baaz na aayi main ishq men us ke qareeb aata raha par vo kabhi mere paas na aayi main badi shiddat-muddat se paana chahta tha use phir sochta hooñ ki ye sab karne par bhi ishq men aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai akshar us ki be-vafaaii ke kisse suna karta tha main kabhi doston se to kabhi ghairoon se suna karta tha main ishq tha kushal ko isliye yakeen na hua varna doston ki baaton par shak ho jaa.e aisa kahaan hota hai sahi suna tha jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai vaise to ishq meraa ik tarafaa hi tha us ke darmiyaan varna do tarafaa mohabbat men be-vafaaii ho jaa.e aisa kahaan hota hai

Kushal "PARINDA"

1 likes

tere jaane pe tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main main 'aashiq saccha tha teri tarah jhoota nahin tha main tujhe jaana hi tha to chupchaap chali jaati todne ko koi khilauna nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main tere vaade-qasmon ki yaad men roya bhi aur hansa bhi teri jhoo thii khwahishon ke neeche daba bhi aur pisa bhi tujhe laga chup rehta hooñ main koi maasoom bachcha nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main teri yaadon men din aur raat dono guzaar liya karta hooñ main pahle tere nainon se to ab maikhaanon se pee liya karta hooñ main tujhe laga nashe men rehta hooñ koi sharaabi nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main sochta hooñ tu to pyaar-pyaar kiya karti thii kushal se judaai ki baat par mar jaane ki baat kiya karti thii tujhe laga tere khel ko na samajh paaooñga mainna samajh paau koi ganwaar nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main main 'aashiq saccha tha teri tarah jhoota nahin tha main tujhe jaana hi tha to chup chaap chali jaati todne ko koi khilauna nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main

Kushal "PARINDA"

2 likes

zindagi udhaar lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai bina tere mujhe har raat be-iimaan lagti hai aa jaa.e agar waapis to baahon men sametoo'nga tujhe saans to leta hooñ phir kyuuñ zindagi bejaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai yuñ tujhe to yaad kar ke din beeta leta hooñ main aane ki teri taakh men nain bichhaaye rakhta hooñ mainna jaane ab kyuuñ bin tere adhuri pahchaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai nahin maanta ye dil meraa par kaise sab bhool jaaun main chal ye bataa is dil ka kya ilaaj karvaaun mainna jaane ab kyuuñ zindagi ufaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai

Kushal "PARINDA"

1 likes

mere dil men hai ik vo nishaan mere dil men hai ik vo nishaan jise chhedta har ek hai tujhe na dikhe kyuuñ vo nishaan jise dekhta har ek hai chhod rahne de dard sahne de jo na kehna tha vo bhi kehne de ishq dariyaa men mujh ko bahne de meraa dil to hai ik aaina jise todta har ek hai tujhko paaya tha dil men basaaya tha ishq kar dil ko yuñ sataaya tha ishq kar KHud ko bhi rulaaya tha mere dil ki kuchh aisi zameen jise chhodta har ek hai mere dil men hai ik vo nishaan jise chhedta har ek hai tujhe na dikhe kyuuñ vo nishaan jise dekhta har ek hai

Kushal "PARINDA"

1 likes

haan waapis ja raha hooñ main haan waapis ja raha hooñ main tum se paakar dhokha ishq men dil ko samjha raha hooñ main maine to ishq kiya tha tumhein paane ke li.e par ab lagta hai jaise ishq ke dariyaa men bahta ja raha hooñ main haan jaana ab to waapis ja raha hooñ main tumhe to sab maaloom tha main kaisa ishq karta tha tum se aur kis kadar main ishq men marta tha tum pe sab jaan kar bhi kyuuñ mujhe dhokha diya tum ne aur ik main hooñ jo ab bhi tum pe aitbaar karta ja raha hooñ main haan jaana ab to waapis ja raha hooñ main main dekhta hooñ tum ne koi kasar na chhodi mere ishq ka mazaak banaane men par maine bhi koi kasar na chhodi waapis tumhe apna banaane men ab ghin aati hai KHud par jo ab bhi tum pe marta ja raha hooñ main haan jaana ab to waapis ja raha hooñ main kaise bhoolun us din ko jab maine raqeeb ko teri baanhon men paaya tha jab chand aishon aaraam ke li.e tum ne mere ishq ko thukraaya tha is dard ka ehsaas tumhe bhi ho is li.e KHuda se ab ye dua karta ja raha hooñ main haan jaana ab to waapis ja raha hooñ main ab to waapis ja raha hooñ main

Kushal "PARINDA"

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kushal "PARINDA".

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kushal "PARINDA"'s nazm.