nazmKuch Alfaaz

vo aañsu jo tere qadam pe giraaye vo aañsu jo tere qadam pe giraaye the pooja men arpan tujhi ko chadhaaye vo aañsu jo tere qadam pe giraaye the pooja men arpan tujhi ko chadhaaye main bebas nahin hooñ mujhe ye pata hai tire aage kamzor dil ban ye jaa.e mohabbat ko tarsa hooñ main zindagi men kahaanii bharii dukh kii kaise sunaaye main jeekar bhi jeevan men har pal maraa hooñ mirii laash ko koii kaise jilaaiye sukoon se bhara koii din gar mile to tira saath ho aur duniya bhulaaye tujhe poojna chahta hai mira dil bujhe dil se arjun diya kya jalaae vo aañsu jo tere qadam pe giraaye the pooja men arpan tujhi ko chadhaaye

Related Nazm

sadaqat-e-ishq ishq ki tum haqeeqat samajh lo isko gham se guzarna padega unki yaadon men masroof ho tum unki yaadon men rahna padega dard-e-dil apna tujhko sunaau jee to karta hai tujhko sunaau teri aankhoñ se kah denge aañsu ab mujhe bhi nikalna padega apne bhi rooth jaayenge tere rishte bhi chhoot jaayenge tere log tujhko kaheinge nikamma aisa lamha bhi sahna padega tu bharosa bhi karta hai jis pe be-wajah hogaa naaraz tujh se hota akshar yahaañ aisa ''aashiq ishq se haan mukarna padega vo tujhe bhool jaayenge aise jaane zinda rahega tu kaise mashwara bas yahii dega daanish alvida tujhko kehna padega

Danish Balliavi

12 likes

lov triangle jab khayaalon men main uske peeche peeche jaata bhaav khaati dekho fir main usse ruth jaata aise vaise kaise kaise mujh...ko vo manaati jaan thii meri vo kaise main na maan paata apne lov ka triangle kaash jo na banta tu sawaal aur teraa main javaab hota kaash jo tu meri aankhoñ men vo jhaank jaati tere paas men jo mahka main gulaab hota agar ye KHvaab sach hua to sunle ai haseen main poori umr tere dil men hi guzaar doon tu jo chale to din ho jab rooke to raat ho ye kaayenaat tere qadmon men utaar doon apne lov ka triangle kaash jo na banta kaash jo tu bole teri main awaaz hota tu shabaab teri dhun men main sharaab hota sabke chehron ko to tu yuñ nihaar jaati tere nainon ka kabhi to main shikaar hota apne lov ka triangle kaash jo na banta

Rohit tewatia 'Ishq'

11 likes

baba tere kamre se jo aati thii hamesha baba vo awaaz pukaarti nahin mujh...ko baba tere kaandhon par baith kar jo dekhe the kabhi vo mele lagte hain ab soone viraan baba yah zamaane ki nigaahen saudaagar hai wahshi hai yah noch khaayegi jismoon ko hamaare baba tu ghar men hamaare maali-e-gulshan tha ham to tere aangan ki kali the baba tere kaandhon par aakhiri waqt rona tha ha men tere saa.e men is ghar se vida hona tha baba teri hi nishaani hai tujh sa dikhta bhi hai bhaai bhi kab betiyon sa samajhta hai baba tu jo gaya maa ke chehre ki rangat bhi le gaya vo bhi udaas hai bahut kam bolti hai baba dil se ab bas yahii dua nikalti hai ha men tum muskuraate milo jannat men baba

ALI ZUHRI

9 likes

Kya ek bhee tumako bhaata tha

Alankrat Srivastava

8 likes

talaash-e-haq talaash-e-haq hai gar tujhko nazar ko teeron ke rukh par laga de tu hadaf ko dekh duniya ke use pahchaan us ki justajoo men raat-din lag ja tujhe haq bhi milega us talak jaane ka rastaa bhi magar vo raasta chun le to phir to zakham khaane ko jigar bhi saath le aanaa sitam par muskuraane ka hunar bhi saath le aanaa yahii hai intiha us ki yahii anjaam hota hai ki is raaste pe chalne ka yahii inaam hota hai magar is raaste par zakham khaane ka maza kuchh aur hai sun le yahaañ par jaañ dene ki jazaa kuchh aur hai sun le agar tu azm kar le bas zara sa hausla kar le to phir kal kya pata jab phir koi haq ka ho joinda nishaan raaste lahu ke tere koi naqsh-e-pa kar le ki ye duniya to faani hai ye jaañ to yuñ bhi jaani hai talaash-e-haq hai gar tujhko nazar ko teeron ke rukh par laga de tu

Dharmesh bashar

7 likes

More from arjun chamoli

aap ke li.e kabhi hansta tha khil-khil kar kabhi thii zindagi meri ye majboori ye ruswaai ye barbaa dii hui meri main apne aap men ab tanhaa pahchaane hain anjaane ghutan ke saath ab hai ye simatti zindagi meri gunaahon kii saza hoti to sah leta khushi se main khata ke bin jahannam sii hai nazm-e-zindagi meri mujhe kya ilm tha ilzaam jhoota bhi lagaate hain jalan duniya kii itni qatl kar dii shakhsiyat merina ghutkar maut aati hai na ghutkar koii jee saktaa mujhe mehsoos hota hai ye zinda laash hai meri kabhi dushman nahin the sab kabhi thii dosti sab sena koii dost lagta ab na koii dushmani meri mere dil men na kuchh baaki jo ab bhi toot saktaa ho ye tukde jee rahe kyoon-kar hain hairaani badhi meri mujhe nafrat hui KHud se main kyuuñ kamzor hooñ itnaa main KHud aaya tere dar pe ya qismat laai hai meri bahut kuchh kah nahin paata bahut kuchh kah bhi jaata hooñ samajh men jo nahin aa.e vo bas tasleem hai meri tujhe aaghaaz karna hai tujhe anjaam hai dena mile manzil nahin mujh...ko to ye taqdeer hai meri mujhe manzoor hai m itnaa mujhe manzoor marna par mujhe jeene kii khaatir chahiye aawaargi meri tu utri aasmaañ se hai yahaañ dharti pe aayi hai farishta lag rahi hai tu zaroorat ban gaii meri chalo ye baat chhoden ab chalo vo baat karte hain ki KHushboo ban ke phaile kaamyaabi kii mahak teri

arjun chamoli

3 likes

chhoti sii mulaqaat ham bachpan men khelte hue yuñ jawaan ho ga.e armaan bina kahe hi sab bayaañ ho ga.e bachpan men khelte the jo chhupne ka khel ham chahte the na Dhoondh paa.e koii chhupte the aise ham ek din pata chala ki haara nahin hai koii Dhoondhaa to ek ne tha pakde ga.e the ham saansen to chhoo rahi thii chup chup khade the ham maana ki dhadkanoon ko roke rahe the ham dil ne na maani baat paseene se naha ga.e dhadkan thii itni tez darne lage the ham aisi mulaqaat kabhi mehsoos na kii thii dono ne kabhi aisi koii baat na kii thii khafa hooñ zindagi se vo waqt beet kyuuñ gaya uske guzar jaane kii koii baat na kii thii uske guzar jaane kii koii baat na kii thii

arjun chamoli

3 likes

kabhi waqt tha kabhi waqt tha dekha tha use sharmaate hue apne aanchal ko mere haathon se bachaate hue akelaa milne par mujh ko rijhaate hue mere haathon se apni ungaliyaan chhuaate hue sunsaan jagah par KHud ko peechhe hataate hue jaani pahchaani jagah par shokhi badhaate hue vo daur tha KHush the ek dooje ko sataate hue aur thak jaate the naaraaz ko manaate hue pyaar hai ya nahin darte the ye bataate hue qareeb rahte the apne armaan jagaate hue vahii waqt phir se chahta hai arjun baanhon men le-le vo mujh pe haq jataate hue

arjun chamoli

3 likes

kabhi pyaar banke dua to kar meri zindagi meri bandagi kabhi pyaar banke dua to kar meri zindagi meri bandagi kabhi pyaar banke dua to kar teri bebasi se dara hooñ main kabhi dil se dar ko fana to kar ye badaa haseen hai ishq bhi tu haseen bahut ye suna to kar ye mahak hai ishq kii jaañ meri ki tu phool banke khila to kar kabhi raushni kii talash men tu bhi ishq karke jala to kar meraa dil tere hi qadam pe hai kabhi lab se lab bhi chhua to kar ye milan bhi ishq kii chaah hai kabhi paas baith kaha to kar meri aarzoo meri ban gaii tu banii hai jo vo banaa to kar ye gulaab jaisa badan teraa mujhe baanh men bhi bhara to kar meri zindagi meri bandagi kabhi pyaar banke dua to kar

arjun chamoli

2 likes

dhabba jab jism-o-jaan ye mil rahe the saath men khilte rahe aaghaaz tha vo aashna ka roz ham milte rahe vo roz-e-bah ka daur tha be-fikr dono the kabhi jab saath hona zindagi thii saath ham chalte rahe kiski nazar hamko lagii jo ishq men dhabba laga rusva hue dono hi jab to saath se bachte rahe maasoomiyat ko jab samajhdari hawa dene lagii dushwaar tab milnaa hua to ajnabi bante rahe thanda lahu padne laga niklaa janaaza ishq ka vo daur tha zalim badaa us daur men marte rahe jab hausale ne haar maani aur tanhaaii badhi sehra banaa gulshan hamaara zakham bhi badhte rahe jab sochte hai aaj hota hai gilaa hamko yahiin matlab zamaane ko na tha ham bewajah darte rahe duniya kii aadat hai ki har aashiq ko ruswaai mile khoon ishq ka hamne kiya duniya ko ham kahte rahe ye paap apne sar pe hai dhona bhi hamne hai ise kuchh sochna baqi nahin is baar bas milte rahe

arjun chamoli

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on arjun chamoli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with arjun chamoli's nazm.