nazmKuch Alfaaz

ye vaqt kya hai ye vaqt kya hai ye kya hai aaKHir ki jo musalsal guzar raha hai ye jab na guzra tha tab kahaan tha kahii to hogaa guzar gaya hai to ab kahaan hai kahii to hogaa kahaan se aaya kidhar gaya hai ye kab se kab tak ka silsila hai ye vaqt kya hai ye waqie haadse tasaadum har ek gham aur har ik masarrat har ik aziyyat har ek lazzat har ik tabassum har ek aañsu har ek naghma har ek KHushboo vo zakham ka dard ho ki vo lams ka ho jaadu KHud apni awaaz ho ki maahol ki sadaaein ye zehan men banti aur bigadti hui fazaayein vo fikr men aa.e zalzale hon ki dil ki halchal tamaam ehsaas saare jazbe ye jaise patte hain bahte paani ki satah par jaise tairte hain abhii yahaañ hain abhii vahaañ hain aur ab hain ojhal dikhaai deta nahin hai lekin ye kuchh to hai jo ki bah raha hai ye kaisa dariyaa hai kin pahaadon se aa raha hai ye kis samundar ko ja raha hai ye vaqt kya hai k abhii k abhii main ye sochta hooñ ki chalti gaadi se ped dekho to aisa lagta hai doosri samt ja rahe hain magar haqeeqat men ped apni jagah khade hain to kya ye mumkin hai saari sadiyaan qataar-andar-qataar apni jagah khadi hon ye vaqt saakit ho aur ham hi guzar rahe hon is ek lamhe men saare lamhe tamaam sadiyaan chhupi hui honna koi aaindana guzishta jo ho chuka hai jo ho raha hai jo hone vaala hai ho raha hai main sochta hooñ ki kya ye mumkin hai sach ye ho ki safar men ham hain guzarte ham hain jise samjhte hain ham guzarta hai vo thama hai guzarta hai ya thama hua hai ikaai hai ya bata hua hai hai munjamid ya pighal raha hai kise khabar hai kise pata hai ye vaqt kya hai ye kaaynaat-e-azeem lagta hai apni azmat se aaj bhi mutain nahin hai ki lamha lamha vasi-a-tar aur vasi-a-tar hoti ja rahi hai ye apni baanhe pasaarti hai ye kahkashaon ki ungliyon se naye khalaon ko choo rahi hai agar ye sach hai to har tasavvur ki had se baahar magar kahii par yaqeenan aisa koi khala hai ki jis ko in kahkashaon ki ungliyon ne ab tak chhua nahin hai khala jahaan kuchh hua nahin hai khala ki jis ne kisi se bhi kun suna nahin hai jahaan abhii tak KHuda nahin hai vahaañ koi vaqt bhi na hogaa ye kaaynaat-e-azeem ik din chhuegi is an-chhue khala ko aur apne saare vujood se jab pukaaregi kun to vaqt ko bhi janam milega agar janam hai to maut bhi hai main sochta hooñ ye sach nahin hai ki vaqt ki koi ibtida hai na intiha hai ye dor lambi bahut hai lekin kahii to is dor ka sira hai abhii ye insaan uljh raha hai ki vaqt ke is qafas men paida hua yahiin vo pala-badha hai magar use ilm ho gaya hai ki vaqt ke is qafas se baahar bhi ik fazaa hai to sochta hai vo poochta hai ye vaqt kya hai

Related Nazm

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Faiz Ahmad Faiz

160 likes

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

meri dastaan vo din bhi kitne ajeeb the jab ham dono qareeb the shabab-e-hizr na tu na main sab apne-apne naseeb the tu hi meri duniya thii main hi teraa jahaan tha mujhe tere hone ka gurur tha tujhe mere hone par gumaan tha tere saath bitaaye the woh din vo raate kitnii haseen thius kamre men thii jannat saari ek bistar par hi zameen thii teri god men sar rakhkar main gazle apni sunaata tha tu sunkar shayari so jaati thii main teri khushbu men kho jaata tha meri kaamyaabi ki khabren sun mujhse zyaada jhooma karti thii vo bewajah baaton-baaton men meraa maatha chooma karti thii meri har pareshaani men woh meri hamdard thii,हमसाया thius se badhkar kuchh na tha bas vahii ek sarmaaya thii mulaqaat na ho to kahti thii main kaise aaj so paaoongi mujhe gale laga kar kahti thii main tumse juda na ho paaoongi ik aaina thii woh meraa usse kuchh bhi nahin chhupa tha har cheez jaanti thii meri meraa sab kuchh use pata tha yaar vahii chehre hain apne vahii ehsaas dil men hai phir kyuuñ dooriyaan badh si gaii kyuuñ rishte aaj mushkil men hai kaii sawaal hain dil men ek-ek karke sab sunogi kya main shuroo karta hooñ shuroo se ab sabka javaab dogi kya kyuuñ lautaa dii angu thii mujhe kyuuñ badal ga.e sab iraade tere kya hua teri sab kasmon ka ab kahaan ga.e sab vaade tere tere in mehn dii waale haathon men kisi or ka ab naam hain ik haadsa hain mere li.e ye maana tere li.e inaam hain apne hijr ki vo pahli raat tab khayal to meraa aaya hogaa aayi hogii sab yaaden puraani meri baaton ne bhi rulaaya hogaa jaise mujh men koi cheekh raha hain meri rooh-rooh tak so rahi hain main apni daastaan likh raha hooñ aur meri shayari ro rahi hain bas yahii iltijaa hain KHuda se koi itnaa bhi pyaara na bane kaii sooraten ho saamne nazar ke par koi hamaara na bane

"Nadeem khan' Kaavish"

16 likes

nasri nazm nasr abbaa nazm amaan dono ko inkaar hai ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-waar hai sirf lafzaazi pe mabni hai ye tajree dii kalaam jis men anqa hain maani lafz parda-daar hai nasr hai gar nasr to vo nazm ho sakti nahin nazm jo ho nasr ki maanind vo be-kaar hai qaafiye ki koi paaban dii na hai qaid-e-radif be-dar-o-deewaar ka ye ghar bhi kya purkaar hai bahar se azaad qaid-e-wazan se hai be-niyaaz waah kya madar pidar azaad ye dildaar hai martabe men meer o mumin se hai har koi buland in men har be-bahr ghalib se badaa fankaar hai jis ke chamche jitne zyaada hon vo utna hi azeem aaj kal misra uthaana ek kaarobaar hai daad sirf apnon ko dete hain giroh-andar-giroh un ke tole se jo baahar ho gaya murdaar hai ban gaya ustaad-o-allaama yahaañ har be-shuur kor-chashm ahl-e-nazar hone ka daavedaar hai shaayri juz-shairi hai hai zaraa mehnat-talab aur mehnat hi vo shay hai jis se un ko aar hai paap-music ke li.e mauzoon hai nasri shaayri har rivaayat se baghaavat ki ye daavedaar hai tabb-e-mauzoon gar na bakshi ho KHuda ne aap ko shaayri kyun kijeye aaKHir kya KHuda ki maar hai daad dena aisi nazmon ko ba dii be-daad hai jo na samjha aur kahe samjha badaa makkaar hai

Aasi Rizvi

13 likes

chaar zindagi sabko mila hai chaar zindagi ka safar maa ka pet aur duniya ka ghar chhoti si qabr aur maidan-e-hashr pahli zindagi ka tasavvur agar maa ka pet tumko aayega nazar nau maheene jisne kiya tha sabr tumne diya kya uskaa ajr doosri zindagi duniya ka ghar jis men basaaya tumne shahar thii chaar din ki zindagi magarus par laga dii poori umr mili jab maut ki sabko khabar pachtaane lage phir hua ye asar ahl-o-ayaal bhi roye idhar hua taiyaar janaaza udhar teesri zindagi jiska pet qabr honge sab door tujhe dafan kar aayenge farishte fauran qabr par lagega sawaalon ka ek ambar dena javaab tab KHud ke bal par jab pahunchegi duniya us mod par qayamat tak hai qabr ka safar chau thii zindagi maidan-e-hashr jidhar milega neki-ba dii ka ajr saamne hogaa pul-siraat safar tezi se guzrega vo hi uspar jo padhta namaaz maghrib se asar jisne kiya baitullah ka safar jisne banaya nabi ko rahbar jannat men honge mahal aur shajar aur dozakh men honge aag ke ambar na maaloom kitnii hai baaki umr aayegi maut kabhi bhi zafar jitni hai baaki laga deen par sabko mila hai chaar zindagi ka safar

ZafarAli Memon

14 likes

More from Javed Akhtar

mere raaste men ik mod tha aur us mod par ped tha ek bargad ka ooncha ghana jis ke saa.e men meraa bahut vaqt beeta hai lekin hamesha yahii main ne socha ki raaste men ye mod hi is li.e hai ki ye ped hai umr ki aandhiyon men vo ped ek din gir gaya hai mod lekin hai ab tak wahin ka wahin dekhta hooñ to aage bhi raaste men bas mod hi mod hain ped koi nahin raaston men mujhe yuñ to mil jaate hain meherbaan phir bhi har mod par poochta hai ye dil vo jo ik chaanv thii kho gaii hai kahaan

Javed Akhtar

0 likes

ghar men baithe hue kya likhte ho baahar niklo dekho kya haal hai duniya ka ye kya aalam hai sooni aañkhen hain sabhi KHushiyon se khaali jaise aao in aankhoñ men KHushiyon ki chamak ham likh den ye jo maathe hain udaasi ki lakeeron ke tale aao in maathon pe qismat ki damak ham likh den chehron se gahri ye maayusi mita ke aao in pe ummeed ki ik ujli kiran ham likh den door tak jo ha men veeraane nazar aate hain aao veeraanon par ab ek chaman ham likh den lafz-dar-lafz samundar sa bahe mauj-b-mauj bahr-e-naghmaat men har koh-e-sitam hal ho jaa.e duniya duniya na rahe ek ghazal ho jaa.e

Javed Akhtar

1 likes

ye aa.e din ke hangaa men ye jab dekho safar karna yahaañ jaana vahaañ jaana ise milnaa use milnaa hamaare saare lamhe aise lagte hain ki jaise train ke chalne se pahle railway-station par jal dii jal dii apne dabbe dhoondte koi musaafir hon jinhen kab saans bhi lene ki mohlat hai kabhi lagta hai tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka khayal aa.e kahaan itni bhi furqat hai magar jab sang-dil duniya meraa dil todti hai to koi ummeed chalte chalte jab munh morati hai to kabhi koi khushi ka phool jab is dil men khilta hai kabhi jab mujh ko apne zehan se koi khayal inaam milta hai kabhi jab ik tamannaa poori hone se ye dil khaali sa hota hai kabhi jab dard aa ke palkon pe moti piroota hai to ye ehsaas hota hai khushi ho gham ho hairat ho koi jazba ho is men jab kahii ik mod aa.e to vahaañ pal bhar ko saari duniya peeche chhoot jaati hai vahaañ pal bhar ko is kath-putli jaisi zindagi ki dori toot jaati hai mujhe us mod par bas ik tumhaari hi zaroorat hai magar ye zindagi ki khoobsurat ik haqeeqat hai ki meri raah men jab aisa koi mod aaya hai to har us mod par main ne tumhein ham-raah paaya hai

Javed Akhtar

1 likes

dil vo sehra tha ki jis sehra men hasratein ret ke teelon ki tarah rahtii theen jab hawadis ki hawa un ko mitaane ke li.e chalti thii yahaañ mitati theen kahii aur ubhar aati theen shakl khote hi nayi shakl men dhal jaati theen dil ke sehra pe magar ab ki baar saanehaa guzra kuchh aisa ki sunaaye na bane aandhi vo aayi ki saare teele aise bikhre ki kahii aur ubhar hi na sake yuñ mite hain ki kahii aur banaaye na bane ab kahii teele nahin ret nahin ret ka zarra nahin dil men ab kuchh nahin dil ko sehra bhi agar kahiye to kaise kahiye

Javed Akhtar

1 likes

vo jo kahlaata tha deewaana tira vo jise hifz tha afsaana tira jis ki deewaron pe awezaan theen tasveerein tiri vo jo doharaata tha taqreerein tiri vo jo KHush tha tiri KHushiyon se tire gham se udaas door rah ke jo samajhta tha vo hai tere paas vo jise sajda tujhe karne se inkaar na thaus ko dar-asl kabhi tujh se koi pyaar na thaus ki mushkil thii ki dushwaar the us ke raaste jin pe be-khauf-o-khatr ghoomte rehzan the sadaa us ki ana ke dar peus ne ghabra ke sab apni ana ki daulat teri tahveel men rakhwa dii thii apni zillat ko vo duniya ki nazar aur apni bhi nigaahon se chhupaane ke li.e kaamyaabi ko tiri tiri futuhaat tiri izzat ko vo tire naam tiri shohrat ko apne hone ka sabab jaanta tha hai vujood us ka juda tujh se ye kab maanta tha vo magar pur-khatr raaston se aaj nikal aaya hai vaqt ne tere barabar na sahi kuchh na kuchh apna karam us pe bhi farmaaya hai ab use teri zaroorat hi nahin jis ka daava tha kabhi ab vo aqeedat hi nahin teri tahveel men jo rakkhi thii kalus ne ana aaj vo maang raha hai waapas baat itni si hai ai saahib-e-naam-o-shohrat jis ko kal tere KHuda hone se inkaar na tha vo kabhi teraa parastaar na tha

Javed Akhtar

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Akhtar's nazm.