aata hai ji men saqi-e-mah-vash pe baar baar lab chuum luun tira lab-e-paimana chhod kar
Related Sher
kisi gali men kiraye pe ghar liya usne phir us gali men gharo ke kiraye badhne lage
Umair Najmi
162 likes
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kehna ki yuñ hota to kya hota
Mirza Ghalib
149 likes
shaakhon se toot jaayen vo patte nahin hain ham aandhi se koi kah de ki auqaat men rahe
Rahat Indori
435 likes
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
More from Jaleel Manikpuri
shab ko may khoob si pee subh ko tauba kar li rind ke rind rahe haath se jannat na gaii
Jaleel Manikpuri
23 likes
lutate hain vo daulat husn ki baawar nahin aata ha men to ek bosa bhi badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
19 likes
aañsu hamaare gir ga.e un ki nigaah se in motiyon ki ab koi qeemat nahin rahi
Jaleel Manikpuri
22 likes
aata hai jee men saaqi-e-mah-wash pe baar baar lab choom luun tira lab-e-paimaana chhod kar
Jaleel Manikpuri
25 likes
baat ulti vo samjhte hain jo kuchh kahtaa hooñ ab ke poocha to ye kah dooñga ki haal achha hai
Jaleel Manikpuri
34 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's sher.







