azaan ho rahi hai pila jald saaqi ibadat karen aaj makhmur ho kar tis the call to prayer, hasten, pour me wine today inebriated, i'll worship the divine
Related Sher
chalti phirti hui aankhoñ se azaan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai maa dekhi hai
Munawwar Rana
88 likes
himmat se sach kaho to bura maante hain log ro-ro ke baat kehne ki aadat nahin rahi
Dushyant Kumar
69 likes
chaand ne odh li hai chadar-e-abr ab vo kapde badal rahi hogii
Jaun Elia
77 likes
kabhi allah miyaan poochhenge tab unko bataaenge kisi ko kyuuñ bataayen ham ibadat kyuuñ nahin karte
Farhat Ehsaas
53 likes
jabse bola usne haay muhabbat se li phir deewaanon ki raay muhabbat se aate dekh chhupa karti thii jo ladki usne aaj pilaai chaai muhabbat se
Rohit Gustakh
63 likes
More from Unknown
lagta hai kaii raaton ka jaaga tha musavvir tasveer kii aankhoñ se thakan jhaank rahi hai
Unknown
0 likes
ye saal bhi udaasiyaan de kar chala gaya tum se mile baghair december chala gaya
Unknown
18 likes
chal diye ghar se to ghar nahin dekha karte jaane waale kabhi mud kar nahin dekha karte seepiyaan kaun kinaare se utha kar bhaaga aisi baate samandar nahin dekha karte
Unknown
25 likes
bosa jo talab main ne kiya hañs ke vo bole ye husn ki daulat hai lutaai nahin jaati
Unknown
25 likes
kuchh khushiyaan kuchh aañsu de kar taal gaya jeevan ka ik aur sunhara saal gaya
Unknown
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Unknown.
Similar Moods
More moods that pair well with Unknown's sher.







