bhool shaayad bahut badi kar li dil ne duniya se dosti kar li
Related Sher
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
hamko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai
Mirza Ghalib
489 likes
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Bashir Badr
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
agar furqat mile paani ki tehriroon ko padh lena har ik dariyaa hazaaron saal ka afsaana likhta hai
Bashir Badr
40 likes
shohrat ki bulan dii bhi pal bhar ka tamasha hai jis daal pe baithe ho vo toot bhi sakti hai
Bashir Badr
40 likes
agar talash karoon koi mil hi jaayega magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega
Bashir Badr
40 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







