hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Related Sher
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
aur phir ek din baithe baithe mujhe apni duniya burii lag gayi jis..ko aabaad karte hue mere maan-baap ki zindagi lag gayi
Tehzeeb Hafi
207 likes
vo mere chehre tak apni nafraten laaya to tha maine uske haath choo men aur bebas kar diya
Waseem Barelvi
101 likes
hijr men tumne keval baal bigaade hain hamne jaane kitne saal bigaade hain
Anand Raj Singh
83 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa saktaa nahin mahv-e-hairat hooñ ki duniya kya se kya ho jaayegi
Allama Iqbal
7 likes
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
ghulaami men na kaam aati hain shamshirein na tadbeerein jo ho zauq-e-yaqeen paida to kat jaati hain zanjeeren
Allama Iqbal
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







