ghulaami men na kaam aati hain shamshirein na tadbeerein jo ho zauq-e-yaqeen paida to kat jaati hain zanjeeren
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
mujh se mat poochho ke us shaKHs men kya achha hai achchhe achhon se mujhe meraa bura achha hai kis tarah mujh se muhabbat men koi jeet gaya ye na kah dena ke bistar men badaa achha hai
Tehzeeb Hafi
566 likes
More from Allama Iqbal
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi faash kar diya main hi to ek raaz tha seena-e-kaayenaat men
Allama Iqbal
21 likes
yaqeen mohkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam jihaad-e-zindagaani men hain ye mardon ki shamshirein
Allama Iqbal
22 likes
duniya kii mehfilon se ukta gaya hooñ ya rab kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
Allama Iqbal
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







