yaqeen mohkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam jihaad-e-zindagaani men hain ye mardon ki shamshirein
Related Sher
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
132 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte
Farhat Ehsaas
124 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
suhaagan bhi bataa degi magar tum poochho vidhwa se ye mangalsutra zever ke alaava bhi bahut kuchh hai ye kya ik maqbare ko aakhri had maan baithe ho mohabbat sang-e-marmar ke alaava bhi bahut kuchh hai
Zubair Ali Tabish
126 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
6 likes
urooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sah men jaate hain ki ye toota hua taara mah-e-kaamil na ban jaa.e
Allama Iqbal
30 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







