har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
chaandni ka saath keval raat bhar main teraa jaana bhi jaanaan sah gaya
nakul kumar
67 likes
tanhaaii ye tanj kare hai tanhaa kyuuñ hai yaar kahaan hai aage peeche chalne waale
Vishal Singh Tabish
62 likes
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
teraa milnaa khushi ki baat sahi tujh se mil kar udaas rehta hooñ
Sahir Ludhianvi
62 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
yaqeen mohkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam jihaad-e-zindagaani men hain ye mardon ki shamshirein
Allama Iqbal
22 likes
anokhi waz'a hai saare zamaane se niraale hain ye 'aashiq kaun si bastii ke ya-rab rahne waale hain
Allama Iqbal
34 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







