dariyaa ho ya pahaad ho takraana chahiye jab tak na saans toote ji.e jaana chahiye
Related Sher
dil se saabit karo ki zinda ho saans lena koi suboot nahin
Fahmi Badayuni
139 likes
toofaanon se aankh milaao sailaabon pe vaar karo mallaahon ka chakkar chhodo tair ke dariyaa paar karo
Rahat Indori
144 likes
ye ishq nahin aasaan itnaa hi samajh lijye ik aag ka dariyaa hai aur doob ke jaana hai
Jigar Moradabadi
114 likes
akshar hi zakhm ishq men pale hain auratein par kitne toote mard sambhaale hain auratein
Abhishar Geeta Shukla
64 likes
leta nahin jo saans bhi ik baar chain se karta raha hai guftagoo beer kii kain se
nakul kumar
69 likes
More from Nida Fazli
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar aakhiri saans tak be-qaraar aadmi
Nida Fazli
16 likes
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi
Nida Fazli
33 likes
ek mehfil men kaii mahfilein hoti hain shareek jis ko bhi paas se dekhoge akela hogaa
Nida Fazli
31 likes
duniya jise kahte hain jaadu ka khilauna hai mil jaa.e to miTTi hai kho jaa.e to sona hai
Nida Fazli
43 likes
itnaa sach bol ki honton ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hogaa
Nida Fazli
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's sher.







