dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal men ik aina tha tuut gaya dekh-bhal men
Related Sher
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii
Tehzeeb Hafi
331 likes
ab in jale hue jismoon pe KHud hi saaya karo tumhein kaha tha bataa kar qareeb aaya karo main uske baad mahinon udaas rehta hooñ mazaak men bhi mujhe haath mat lagaaya karo
Tehzeeb Hafi
295 likes
More from Seemab Akbarabadi
dil kii bisaat kya thii nigaah-e-jamaal men ik aaina tha toot gaya dekh-bhaal men
Seemab Akbarabadi
10 likes
hai husuul-e-aarzuu ka raaz tark-e-aarzoo maine duniya chhod dii to mil gaii duniya mujhe
Seemab Akbarabadi
0 likes
duniya hai KHvaab haasil-e-duniya khayal hai insaan KHvaab dekh raha hai khayal men
Seemab Akbarabadi
0 likes
umr-e-daraaz maang ke laai thii chaar din do aarzoo men kat ga.e do intizaar men
Seemab Akbarabadi
60 likes
maazi-e-marhoom kii naakaamiyon ka zikr chhod zindagi kii fursat-e-baaqi se koii kaam le
Seemab Akbarabadi
11 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Seemab Akbarabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Seemab Akbarabadi's sher.







