dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main
Related Sher
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
kuchh baat hai ki hasti mitati nahin hamaari sadiyon raha hai dushman daur e zamaan hamaara
Allama Iqbal
354 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
333 likes
More from Jigar Moradabadi
yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
9 likes
husn ko bhi kahaan naseeb jigar vo jo ik shay mirii nigaah men hai
Jigar Moradabadi
22 likes
koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha
Jigar Moradabadi
13 likes
tire jamaal ki tasveer kheench doon lekin zabaan men aankh nahin aankh men zabaan nahin
Jigar Moradabadi
17 likes
sadaqat ho to dil seenon se khinchne lagte hain waiz haqeeqat KHud ko manvaa letii hai maani nahin jaati
Jigar Moradabadi
17 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







