yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Related Sher
zindagi kahte hain jis ko chaar din ki baat hai bas hamesha rahne waali ik KHuda ki zaat hai
Unknown
65 likes
maut ka bhi ilaaj ho shaayad zindagi ka koi ilaaj nahin
Firaq Gorakhpuri
75 likes
juda hue hain bahut log ek tum bhi sahi ab itni baat pe kya zindagi haraam karen
Nasir Kazmi
75 likes
ye na thii hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota agar aur jeete rahte yahii intizaar hota
Mirza Ghalib
67 likes
bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai meraa chhodo main nain thakta meraa kaam yahii hai lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai
Tehzeeb Hafi
272 likes
More from Jigar Moradabadi
jahl-e-khird ne din ye dikhaaye ghat ga.e insaan badh ga.e saa.e
Jigar Moradabadi
13 likes
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
ya vo the KHafaa ham se ya ham hain KHafaa un se kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
Jigar Moradabadi
15 likes
yuñ dil ko tadapne ka kuchh to hai sabab aaKHir ya dard ne karvat li ya tum ne idhar dekha
Jigar Moradabadi
29 likes
apna zamaana aap banaate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jinko zamaana banaa gaya
Jigar Moradabadi
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







