jahl-e-khird ne din ye dikhaaye ghat ga.e insaan badh ga.e saa.e
Related Sher
raatein kisi yaad men kattee hain aur din daftar kha jaata hai dil jeene par mael hota hai to maut ka dar kha jaata hai sach poochho to tahzeeb haafi main aise dost se aaziz hooñ milta hai to baat nahin karta aur phone pe sar kha jaata hai
Tehzeeb Hafi
307 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga
Tehzeeb Hafi
285 likes
mujhe azaad kar do ek din sab sach bataa kar tumhaare aur uske darmiyaañ kya chal raha hai
Tehzeeb Hafi
222 likes
aur phir ek din baithe baithe mujhe apni duniya burii lag gayi jis..ko aabaad karte hue mere maan-baap ki zindagi lag gayi
Tehzeeb Hafi
207 likes
geet likhe bhi to aise ke sunaayein na ga.e zaKHm yoon lafzon men utren ke dikhaayein na ga.e aaj tak rakkhe hain pachhtaave ki almaari men ek do vaade jo dono se nibhaayein na ga.e
Farhat Abbas Shah
63 likes
More from Jigar Moradabadi
ya vo the KHafaa ham se ya ham hain KHafaa un se kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
Jigar Moradabadi
15 likes
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
jab mili aankh hosh kho baithe kitne haazir javaab hain ham log
Jigar Moradabadi
29 likes
yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
9 likes
sab ko maara jigar ke sheron ne aur jigar ko sharaab ne maara
Jigar Moradabadi
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







