ya vo the KHafaa ham se ya ham hain KHafaa un se kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
ye alag baat ki KHaamosh khade rahte hain phir bhi jo log bade hain vo bade rahte hain
Rahat Indori
484 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Jigar Moradabadi
yahii hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhii ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
9 likes
koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha
Jigar Moradabadi
13 likes
le ke khat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin thartharaate hue haathon ne bharam khol diya
Jigar Moradabadi
20 likes
subh tak hijr men kya jaaniye kya hota hai shaam hi se mire qaabu men nahin dil meraa
Jigar Moradabadi
28 likes
jahl-e-khird ne din ye dikhaaye ghat ga.e insaan badh ga.e saa.e
Jigar Moradabadi
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







