dukhe hue logon ki dukhti rag ko choona theek nahin vaqt nahin poocha karte hain yaaron vaqt ke maaron se
Related Sher
apne samaan ko baandhe hue is soch men hooñ jo kahii ke nahin rahte vo kahaan jaate hain
Jawwad Sheikh
85 likes
yaqeen kar vo tire paas laut aayega jab us ka uthne lagega yaqeen logon se
Varun Anand
72 likes
qasmen vaade darwaaze to theek hain par khaamoshi ko tod nahin saka hooñ main
Tanoj Dadhich
69 likes
ye ham hi hain ki kisi ke agar hue to hue tumhaara kya hai koii hogaa koii tha koii hai
Irfan Sattar
66 likes
itnaa ooncha udna bhi kuchh theek nahin paaban dii lag jaati hai parwaazon par tujhko choo kar aur kisi ki chaah rakhe hairat hai aur laanat hai aise haathon par
Varun Anand
71 likes
More from Vashu Pandey
aap jo theek samjhte hain vo kariye sahab aise mausam men main daftar to nahin aa saka
Vashu Pandey
30 likes
baaki saare kaam bhulaakar ishq kiya subah se lekar shaam barabar ishq kiya ghalti ye thode thii ishq kiya ham ne ghalti ye thii gair biraadar ishq kiya
Vashu Pandey
29 likes
b-juz KHuda ke kisi ka ham pe karam nahin hai ye kam nahin hai kisi ka sajda jabeen pe apni raqam nahin hai ye kam nahin hai hamaari chuppi ye hai ghaneemat wagarana ye jo kiya hai tum ne yaqeen maano hamaara maatha garam nahin hai ye kam nahin hai
Vashu Pandey
30 likes
itne kahaan naseeb ki isse pyaas bujhaayein khel karen dariyaa ham jaison ko apne paas bitha le kaafi hai
Vashu Pandey
34 likes
ye kab kahte hain ki aakar hamko gale laga le vo mil jaa.e to rasman hi bas haath mila le kaafi hai itne kahaan naseeb ki isse pyaas bujhaayein khel karen dariyaa ham jaison ko apne paas bitha le kaafi hai
Vashu Pandey
37 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vashu Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Vashu Pandey's sher.







