ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona
Related Sher
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain itnaa darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain mod hota hai jawaani ka sambhalne ke li.e aur sab log yahiin aa ke fisalte kyun hain
Rahat Indori
133 likes
tumhaari aankhoñ ki tauheen hai zara socho tumhaara chaahne vaala sharaab peeta hai
Munawwar Rana
123 likes
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
132 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
tum un ke wa'de ka zikr un se kyun karo ghalib ye kya ki tum kaho aur vo kahein ki yaad nahin
Mirza Ghalib
123 likes
More from Munawwar Rana
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
itni tavakkuat zamaane ko hamse hai utni to umr bhi nahin laaye likha ke ham
Munawwar Rana
30 likes
tum bhi saabit hue kamzor munavvar raana zindagi maangi bhi tumne to davaa se maangi
Munawwar Rana
31 likes
duniya bhi jaise taash ke patton ka khel hai joker ke saath rahtii hai raani hi kyuuñ na ho
Munawwar Rana
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







